Topics
sawal: ALLAH ka qurb hasil karnay k liy humay kiya karna
chahiy? jawab: rawan dawan pani ko dekh kar admi is liy mutassir hota hai k is
k la shaoor me ye baat mojod hai k pani zindagi ko qayam rakhnay k liy ek ahen
uzar hai khanak lateef hawa k jhonkon se admi is liy pur kaif hojata hai k wo
ye janta hai k lateef or khushk hawa admi ki buniyadi zarorat oxygen faraham
karti hai khushnuma libaas pehen kar admi is liy apnay andar farhat mehsos
karta hai k is k zeheen me ye baat mojod hai k khush numa cheezein dosroon ko
mutassir karti hain or khushnumai khus insan k liy behtreeen khushi ka zariya
hai chotay chotay bacchon ko dekh kar is me hewanat ya insan ki koi takhsees
nahin admi k upper ek be khudi ki si kefiyat tari hojati hai ye is liy hota hai
k is k zehen me is ka apna bachpan mehfoz hai ba alfaz e degar hum is baat ko
is tarhan kahen gay k ek bara burha admi bacchay ko dekh kar apnay mazi k
bachpan me lout jata hai kiyun k bacchay fitri or jibli tor par khush rehtay
hain is liy jab ek 60 sala 20 sala ya 25 sala admi apnay bachpan me dakhil hota
hai to is k upper wahi tamam tasurat ghalib ajatay hain jo bacchon ki zindagi
ka khasa hain is k bar aks jab admi khizan rasidah darakht ko dekhta hai jab is
k upper pattay nahin hotay shagofay nahin hotay phal nahin hotay shadabi nahin
hoti to is darakht se wo in halaat ki tarhan mutassir nahin hota jis tarhan wo
bahar k mosam me darakht se mutassir hota hai is ki wajah bhi yehi hai k koi
admi khud ko khizan rasidah dekhna nahin chahta koi admi ye nahin chahta k is
ki nasal zameen par na phelay koi admi nahin chahta k is k ghar me shagofay na
kheilein koi admi khud ko bemar dekhna nahin chahta jab k khizan rasidah
darakht ek tarhan se bemari ka khaka peesh karta hai hum aisay pani ko dekhtay
hain jo pani intehai darja talkh hai ya intehai darja garam hai to hamaray
upper yaqeenan wo tassuraat qayam nahin hotay jo sheerein safaid or thanday
pani ko dekhnay k baad tari hotay hain is ki wajah zahir hai yehi hai k koi
admi karwa pani peena nahin chahta koi admi intehai garam pani se ghusal karna
nahin chahta or is se agay barhayn to hamaray qudrat ka ek ajeeb inkeshaf hota
hai wo ye k pani ek aisa matter hai jo jis dai me daal diya jaay usi k mutabiq
dhal jata hai is baat se qanoon ka inkeshaf hota hai wo ye k daiyan mukhtalif
hai matter ek hai pani jab kelay k darakht ki sharyanoon raggoon or pathhon se
guzar kar kelay ki dai me jam jata hai to kela ban jata hai is matter ko jab
anaar ki dai me daal diya jaay to anaar ban jata hai aaam ki dai me daal diya
jaay to aam ban jata hai admi k andar fit dai me ja kar jab ye pani jamta hai
to admi ban jata hai bakri gaay bhes k andar fit sanchoon me jab ye pani jam
jata hai to to is pani ki shakal kahin bakri ban jati hai kahin gay ban jati
hai or kahin bhes ban jati hai qudrat ki kitni bari sanai hai k matter ek hai
daiyan kharab ha kharab hain sath sath sath dai k andar shakal o surat ki
mojodgi me rang bhi tabdeel hotyay hain kahin ek rang hota hai kahin das rang
hotay hain kahin mukammal rang hotay hain halankay darakht ki jaroon ko jo pani
serraab karta hai us ka rang ek hai anaar k darakht me jo pani dala jat hai wo
safaid hai lekin jab hum anaar ko kholtay hain to humay wahan ALLAH ki ajeeb
sift nazar ati hai aisi khobsurti se danay jaray hotay hain k aqal heran reh
jati hai wo rangeen hotay hain kalay hotay hain safaid hotay hain zard hotay
hain yahan se ek nay qanoon ka inkeshaf hota hai wo ye k dai k andar ALLAH nay
ye ilm wadiyat kiya hai k is dai nay safaid pani ko kiy mani pehnanay hain kia
rang dena hai kiya zaiqa denahai matab bilkul saaf or wazeh hai k jis tarhan ek
admi shaoor rakhta hai anaar ko bhi ALLAH nay ye shaoor diya hai k is k andar
dornay walay pani ko isay kiya rang dena hai kiya zaiqa dena hai kiya shakal
deni hai baat phir wahin isi ayat par ati hai.
ALLAH TALLAH ny farmayya hum nay apni amanat samawat
paharoon or zameen par peesh ki in sub ny inkar kardiya ALLAH farmatay hain k
samawat zameen or pahar bhi aqal o shaoor rakhtay hain aqal o shaoor ka ye alam
hai k wo is baat ko samajh gay k ALLAH hamaray upper jo zimma dari dalna
chahtay hain hum is k mutahmil nahin hosaktay.
wo
ALLAH se arz kartay hain hamaray andar itni istetaat or sakat nahin hai hum nay
agar aap k irshad k mutabiq is amanat ko apnay upper utha bhi liya to hum rezah
rezah hojayn gay hamara wajod rezah rezah hojay ga ye baat kehna k hum is ilm k
mutahmil nahin hain or agar huum nay ilm ko utha liya to hum rezah rezah hojayn
gay is baat ki khuli daleel hai k samawat o arz wa jibaal ko pora pora shaoor
hasil hai arz dar asal ek tarhan maa ka pait hai jis tarhan koi baccha shikam e
madar s peda ho kar shaoor hasil karta hai shaoor is waqt hasil karta hai jab
is k andar shaoor bananay ki machine ya shaoor banay ka pattern mojod ho isi
tarhan jab zameen ki kooskh se koi darakht tolad hota hai is k andar bhi shaoor
hota hai or ye kahan se aya?kis nay banaya ? kis tarhan wajod me aya? ye sub
batein hamaray samnay hain jis nay zameeen banai jis nay pani banay jis nay dai
banai jis nay dai ko ye shaoor bakhsha k mujhy is tasweer k andar jo meray andar
parwarish pa raahi hai kiya shakal o surat dni hai kiya rang dena hai isi zaat
mutalliq nay shaoor ata kiya ab agar hum is zaat e muatlliq se mutarruf hona
chahtay hain to humay is baat par yaqeen karna paray ga k ek hi zaat e mutalliq
hai jis nay humay or sari kainat ko sambhala hua hai or isi zaat e mutalliq k
zehen ki aqasi nai nai shakal o surat me namu daar horhi hai ab jab hum is
yaqeen par pohunch jatay hain k zaat e mutalliq ek hai to hamaray andar az khud
ye justojo pedda hojati hai k is zaat ya hansti ko dekhna chahiy is zaat e
mutalliq ko khud qareeb karna chahiy or aisay amaal karnay chahiy jin se zaat e
mutalliq hum se khud qareeb hojay qurbat k liy zarori hai k hum ziyadah se
ziyadah kaam karen wo adaat wa atwaar ikhtiyar karen jo is hansti k andar mojod
hain jis hansti se hum qareeb hona chahtay hain ek admi agar kisi namazi se
dosti karna chahta hai or is se intehai darja qurbat ka khuwahan hai to wo jab
is k sath namaz ada karnay lagta hai to az khud is ki dosti namaz se hojati hai
ek sharabi k sath dosti karna maqsod hai to is k sath sharab peenay se intehai
darja qurbat hasil hojati hai ek admi shatranj ka shouqeen hai or is ki zindagi
ka ehem maqsad shatranj ban gaya hai to is k sath shatranj khelnay se ya
shatranj me dilchaspi lenay se is se dosti or qurbat peda honay lagti hai kisi
cenema k shoqeen se dosti karnay k liy ye buhut asan tareqa hai k is k sath
film dekhna shuru kardiya jaay ala hazal qayas jis admi se aap qareeb hona
chahtay hain to agar uski adaat wa atwaar ikhtiyar kar len to dosti ziyadah
hogi or or is ki adatein iss tarhan ikhtiyar kar li jayn gi k is dost me or
khud me koi farq nahin rahay to wo dono dost ek jaan do qalb hojayn gay ab
dekhna ye haik zaat mutalliq jis nay ye saari kainat banai hai kiya kaam karti
hai ?tadabbur or tafakkur se kaam liya jaay to ek hi baat samnay atai hai k
ALLAH apni makhloqat ki khidmat kartay hain wo chahtay hain k makhlooq araam o
asaish kizindagi or khush rahay jab koi bandah ALLAH ki makhlooq ki khidmat ko
apni zindagi ka ahem maqsad qarar de leta hai or ALLAH ki makhlooq ki kidmat is
tarhan karta hai k is khidmat k pas pardah koi khidmat koi sula ya koi gharz
nahin hoti to dar asal banday nay wahi kaam shuru kardiya hai jo ALLAH karrahay
hain is khidmat is amal ya is kaam jitna ziyadah inhemak hojata hai jitna
ziyadah admi agay barhta hai usi munasbat se wo ALLAH se qareeb hojata hai is
liy k banday nay wo kaam shuru kardiya hai jo ALLAH karrahay hain ALLAH jab ye
dekhtay hain k jab hamaray banday nay aisi zindagi ikhtiyar kar li hai jo zindagi
hamaray liy intehai darjapasandedah hai to ALLAH is banday ko pasand kartay
hain or is ki pasand dedgi k natejay me banday ko god me brtha letay hain
huzoor alehe salato wasalm ka irshad hai k ALLAH bandoon se khush ho kar inhen
uchak letay hain.