Topics
sawal: rohaniyat ko ek makhsos tarz e fikar ka husool ya
muntaqli keh kar bayan kiya gaya hai tarz e fikar ki ye muntaqli kiyun kar or
kis qanoon k tehet amal me ati hai ? is ko bayan farma den.
jawab: ALLAH k qanoon k tehet ye baat hamaray hai k har
nou me bacchay is makhsos nou k maqsh o nigaar par peda hotay hain ek billi aap
se kitni hi manoos ho lekin is ki nasal billi me hi hoti hai kis nay ye nahin
dekha k bakri se gay peda hoti hai ya gay se kabotar peda hota hai kehna ye hai
k shikam e madar me ek taraf noui tasawwurat bacchay ko muntaqil hotay hain or
dosri taraf maa k ya baap k tasawwurat bacchay ko muntaqil hotay hain ye alag
baat hai k in tasawwurat me ALLAH k irshad k mutabiq miqdarein mutaiyyun hain.
teswein paray me ALLAH ny farmay hai "paak or buland
martaba hai wo zaat jis ny takhleeq kiya or miqdaroon k sath hidayat
bakhshi" ye miqdarein hi kisi nou ko alag karti hain or nouon me afrad ko
alag karti hain.
is nuqta nazar se jab hum syedna huzoor alehe salato
wasalmki basat k baray me ghoor kartay hain to ye baat wazeh tor par hamaray
samnay ajati hai k hazrat ibrahim alehe salam ki aulad hain yani hasil e kainat
alehe salato wasalam ko hazrat ibrahim se hazrat esaa tak tama ambiyay karam ki
moiyun miqdarein muntaqil hoin yani tama ambiya ka wo zehen jis me ALLAH basta
hai huzoor ko bator e wirsay k muntaqil hua is baat ko is tarhan bhi kaha ja
sakta hai k syedna huzoor alehe salato wasalm ka zehen mubarak basat se pehlay
hi tamam ambiya ki manazil tay kar chuka tha or jab ALLAH ny apna karam farmaya
to to huzoor ko wo maqam ata hua jo kisi ko hasil nahin huadosri baat ye baat
buhut ziyadah ghor talabn hai quran paak me jitnay ambiya ka tazkirah hai wo taqreeban
hazrat ibrahim ki aulad hain yani ek nasal ki tarz e fikar barabar muntaqil
hoti rahi.
chunkay nabowat khatam ho chuki hai or ALLAH ka qanoon
jari o sari hai quran k irshad k mutabiq ALLAH ki sunnat me na tattul hota hai
na tabdeli waqiya hoti hai ALLAH is sunat ko jari o sari rakhnay ka program
huzoor ny apnay wirsa ko muntaqil kiya jo ALLAH k dost hain or jin ko arf e aam
me aulia ALLAH kaha jata hai sheikh ya muraad ALLAH ki ais tarz e fikar ka
waris hota hai jab koi bandah ya mureed apnay sheikh ki tarz e fikar hasil
karna chahay to is k liy sub se pehlay zarori ye hai k wo sheikh ki nisbat
hasil karay sheikh ki nisbat hasil karnay me pehla sabaq "tasawwur e
sheikh"hai.
jab mureed ya salik ankhein band kar k har taraf se zhen
hata kar apnay sheikh ka tasawwur karta hai to is k andar sheikh ki tarz e
fikar muntaqil hoti rehti hain tarz e fikar dar asal roshniyon ka wo zakhirah
hai jo hawas banati hai shaoor banati hai zindagi ki ek nehej banati hain jab
hum apnay iraday k tehet apnay sheikh ka tasawwur karen gay to tasawwur me
gehrai peda honay k baad sheikh k andar kaam karnay wali wo roshniyan jo isay
syedna huzoor alehe salto wasalm se muntaqil hoin hamaray andar muntaqil hojayn
gi.
aisay
be shumar waqiyat hain k jab koi mureed apnay sheikh k tasawwur me gum hogya to
is ki chaal dhaal guftogu or shakal wa surat me ais numayan shabahat peda
hojati hai k ye pehchanna mushkil nahin rehta k ye apnay sheikh ka aks hai
kiyun k sheikh ka tasawwur sheikh k andar kaam karnay wali tarz e fikar ki
muntaqli ka bais banta hai is liy is tasawwur ki gehrai k sath sath huzoor ki
tarz e fikar ki tarz e fikar bhi muntaqlu hoti rehti hai is liy k sheikh huzoor
ki tarz e fikar ka aks hai.