Topics
sawal: shariyat tarqiyat marfat me kia farq hai? wazahat
farmayn.
jawab: jab hum quran paak ka mutalla kartay hain or is k
andar tafakkur kartay hain ek to is tarhan mutalla karna hai k parhtay jayn or
quran pak me ghor o fikar kar k is ki hikmat ko talash kiya jaay ye asal me
quran ka mansha hai jo banday quran paak ko tarjumay k sath parh kar is me
hikmat talash kartay hain in k samnay ye baat ati hai k quran me beshumar uloom
bayan kiy gay hain in ko mukhtalif hisson me taqseem kia ja sakta hai in me se
ek hissa is baray me hai k hewan me or insan me kis tarhan imtiaz qayam ho or
is imtiaz ko qayam karnay k liy insan ko kia karna hai maslan jahan tak zindah
rehnay ka talluq hai ek bhens bhi zindah rehti hai isay bhook bhi lagti hai
piyas bhi lagti hai wo bhi pani pi kar piyas bojhati hai bhens k bhi bacchay
hotay hain bhens apnay bacchay ko doodh bhi pilati hai jis tarhan insan apnay
bacchay ko doodh pilata hai bhens apnay bacchay ki tarbiyat bhi karti hai
parwarish bhi karti hai bhens ko garmi sardi bhi lagti hai or is ko nahanay ki
bhi zarorat peesh ati hai ab hum insan or bhens ki zindagi ka tajziya kartay
hain to humay sari batein e si nazar ati hai lekinjab hum quran ki ayat me
tafakkur kartay hain to bawajod ye k insan or hewan ki zindagiyan yaksan hai
insan ek mumtaz makhlooq ban kar samnay ata hai or quran ye batata hai k insan
kis tarhan zindagi guzaray kis tarhan pakezgi ikhtiyar kare kis tarhan
hamsaiyon k haqoq poray karen husool muash me i baat ka khayal rakkhay k dosron
ka hissa na mara jay dosron ki haq talfi na ho be emani na ho bacchon ki
tarbiyat kesay ho insan ibadat kesay karay wagherah wagherah dosray hissay me
tareekh bayan ki gai k nou insani me kis qisam k loog peda huy ALLAH k
peghambaron ki batein in peghambaron ki kiya taleemat thinlogon nay in
peghambaron ko kis had tak suna or kis had tak roka ya logon nay na sirf ye k
ALLAH ki baat nahin suni bulkay ALLAH k peghambaron ko qatal bhi kiya wagherah
wagherah or in tareekhi haqaiq me ye baat samnay i k qoumon ka arooj o zawa is
baat par munhesar hai k qoumain kitni jiddo jehed karti hain kitni koshishen
karti hain tesrah hissa muad kehlata hai roh kia hai?is hissay me sari guftogu
roh par hai kahan bani kesay bani roh k kitnay roop hain alam e arwah me sagar
roh thi to zameen tak anay me is ko kin kin madraj se guzarna para phir is
duniya me anay k baad kin kin madraj se admi guzar kar borha hua or bila akhir mar gaya marnay k
baad kahan chala gaya or marnay k baad ki zindagi ka naqsh phir insan is tarhan
zindah hojay gajis tarhan marnay se pehlay thahisaab kitab hoga hashar nashar
hogajannat o dozakh wagherah wagherah to quran k teen hissay hamaray samnay ay
ek hissa ye k insan ALLAH k mansha par chaltay huy pakezah zindagi kis tarhan
guzaray dosri tareekh or teesra hissa muad hai muad ka jo hissa hai is me sub
se pehli baat ye k insan fil waqiya gosht post ka jisam ka naam nahin hai
bulkay ye jab lenay k baad k gosht post ka jisam asal nahin bulkay is ki roh is
ka asal hai ye ilm janna buhut zarori hai k roh kia hai jab ap nay roh ko
samajh lia to yahan ye sawal peda hua k roh banay wala kon hai jab roh k
bananay walay k baray me ap sochayn gay to is hansti ko ap dhondayn gay ye khoj
lagana talash karna ye sub tarqiyat k dairay me ata hai insan hewanat se mumtaz
ho kar zindagi guzaray acchai burai haram halal wagherah ye sub shariyat hai
shariyat ka matlab ye hai k insan apnay liy wo laiya e amal muntakhib karay jis
laiya e amal se ALLAH nay apnay peghambaron k zariy insan ko mutarruf karaya
ALLAH nay insan ko aqal e saleem ata ki wo aqal e saleem is ko kehti hai k k to
soch or talash kar k peda honay se pehlay kahan tha or marnay k baad to kahan
chala jata hai or tu peda kiyun hota hai or chahta ye hai k mein kabhi na maron
magar tu mar jata hai ye kia mamla hai k apni marzi se to peda bhi nahin ho
sakta hai apni marzi se to zindah bhi nahin rehta akhir phir teray anay ka
yahan maqsad kia hai tera to apna koi ikhtiyar hi nahin hai pedaish par tujhay
ikhtiyar nahin hai mout ka kuch waqfa k liy multavi karnay ka tujh ko ikhtiyar
nahin hai jab koi hansti chahti hai to tu peda ho jata hai or jab ko hansti
chahti hai to tu mar jata hai ab la mohala zehen me ye baat ati hai k ye ye
gorakh dhanda kia hai humay peda kiyun kia gaya hai agar humay is liy peda kia
gaya hai k khana khayn hamari aulad ho hum ma baap banayn o churiya bhi maa
baap ban rahi hai churiya bhi kha pi rahi hai churoya bhi saray kaam karrhi hai
chriya bhi ibadat karrhi hai agar insan ko is liy peda kia gaya hai k wo ghar
banay to churiya bhi ghonsla bana rahi hai chohay bhi apna bil banatay hain
aqal e saleem k tehet jab insan apna or hewanat ka mawazna karta hai k me bhi
peda ho rha hoon hewan bhi peda horha hai me bhi baccha hoon heran bhi baccha
hai hewan bhi jawan hai mein bhi jawan hoon hewan bhi marrha hai mein bhi marrha
hon to is k peechay kia baat hai to ye jo talash hai apni talsh apni roh ki
talash apnay peda karnay walay ki talash kainat ki talsh ye jo hai ye sub
tarqiyat hai is talash k natejay me jab aap is hansti ko oehchan letay hain is
hansti se waqif hojatay hain is hansti ka aap tarruf hasil karletay hainjis
hansti nay apko banaya hai is ka naam marfat hai shariyat tarqiyat or muarfat
ye teenon cheezen is tarhan hain ab ye koi insan shariyat k baghair hewanat
semumtaz nahin hosaktashariyat k baghair kisi insan me aqal e saleem nahin peda
hoti misaal hamaray samnay hai hamaray samnay jo science daan hain kia thikana
hai in k dimagon ka k wo asmanon me bhi chalay gay or bain jesi cheez inhon nay
darfiyat kar li lekin chunkay aqal e saleem abhi peda nahin hoi sisliy har
cheez ko wo ittefaq kehtay hain har cheez hadsati or ittefaqi tor par hogai
bawajod is kay k nay nay inkishaf horahay hain wo is baat ka bar mila izhar
nahin kartay k koi hansti hai k jis nay har cheez banai hai wajah ye hai k in
ka zindagi ka jo rehen sehen zindagi guzarnay ka inka jo program hai is me
peghambaron ki taleemat nahin hain jin taleemat ka naam shariyat hai aqal
saleem hasil karnay k liy peghambaron or huzoor ka diya hua program zarori hai
shariyat ka ilm or aqal saleem hasil honay k baad kainat ka khoj lagana zarori
hai or kainat ka khoj laganay k baad ALLAH ka irfan zarori hai baray peer sahab
ka ek bara mashoor waqiya hai wo kahin tashreef ly ja rahay thay k ek dam asman
me chaka chond hoi or zehen me ye baat i k me nay noor dekha roshni dekhi hai
is me se awaz i k ay abdul waqqarshum nay tum par namaz muaf kar di thori der k
liy wo sooch me par gay k ye kesay mumkin hai k huzoor k upper to koi namaz
muaf na hoi jab kay wo masoom bhi hain meray upper namaz kesay muaf hogai agar in
ko shariyat ka ilm na hota to kabhi bhi in k zehen me ye baat na ati k huzoor
masoom hain or jab in k upper namaz muaaf na hoi to kisi or k upper namaz muaf
kesay hosakti hai inhon nay kaha tu shetan hai inhon nay lahool parhi phir awaz
ai k tujhay teray ilm nay bacha lia phir ye khayal aya k huzoor k mutalliq ye
khayal ALLAH meray zehen me nahin daltato me kesay bachta mera to ilm naqis hai
or ye khayal meray zehen me nahin ata inhon nay phir tauba astaghfar ki to
baray peer sahab k waqiy se hamaray samnay ye baatati hai k jis tarhan shariyat
ka ilm hamaray liy zarori hai isi tarhan tarqiyat ka ilm bhi zarori hai namaz
ek buniyadi rukun hai 100 dafa namaz k baray me quran me tazkirah aya hai ab is
k baad jab aap nay namaz ki niyat bandhi ab namaz me ALLAH k sath talluq qayam
hojana ye tarqiyat hai agar ALLAH k sath namaz me talluq qayam na ho wo quran
paak k irshad k mutabiq har giz namaz nahin hai ALLAH quran paak me farmatay
hain.
tarjuma:
or halakat hai in namaziyon k liy jo apni namaz se be khabar hain ALLAH nay ye
nahin kaha k halakt hai un namaziyon k liy jo namaz nahin parhtay wo to baat hi
alag hai namaz to ek rukun hai baat toye hai k halakat hai un namaziyon k liy
jo apni namazoon se be khabar hain halankay wo namaz to parh rahay hain lekin
in ko kuch pata nahin k wo kia karrahay hain to namaz ka parhna or namaz k liy
kharay hojana namaz k adaab poray karna ye sub shariyat hai namaz k andar zehni
yaksoi qayam hojana or ALLAH k sath rabta qayam hojana huzoor k irshad k
mutabiq ALLAH ko dekhna ya ALLAH ka banday ko dekhna ALLAH ko pukarna or ALLAH
ka us pukar ko sun kar jawab dena ye sub tarqiyat hai sirf islam qubool kar
lenay se koi insan momin k darjay par faiz nahin hosakta musalman hosakta hai
ALLAH nay quran me irshad farmaya hai ye kehttay hain k hum musalman hain
musalman beshak hain lekin abhi in k dilon me emaan dakhil nahin hua musalman
hona shariyat par amal karna hai musalman honay k baad ALLAH se rabta qayam kar
lena tamam arkan ko poray kartay huy ye emaan hai or emaan ki takmeel k baad jo
marhala hai wo irfan hai or ALLAH ki marfat hai to ye jo shariyat tarqiyat or
tassauw ki baat hai ye koi lambi chori nahin hai seedhi se baat hai shairiyat
adaab hain is raastay par chalnay k jo raasta admi ko irfan tak lejata hai aap
rastay k adaab se waqif na hoon ye pata na ho k kahan se murna hai kahan jana
hai kahan sign hai signal kahan hai aap saray rastay chaltay rahayn gay manzil
tak na pohunchayn gay raastay k addan ye hain k aap ko maloom hona chahiy k
sarak kidher hai or aap dayn bayn mur gay to to kahan pohunchayn gay or agar
aap rastay k adaab se waqif nahin hain to apka pohunchna mashkok hai pohunch hi
nahin saktay kabhi idher mur jayn gay kabhi udher mur jayn gay ehdinas siratal
mustaqeem ka matlab hai k ya ALLAH humay seedhay rastay ki hidayat aap seedhay
rastay ki hidayat mangtay hain har namaz ki har raat me aap alhumd shareef
parhtay hain to jab aap namaz k liy kharay hogay to kia aap sirat e mustaqem
par nahin hain to kia aap namaz parhnay k ba wajod seedhay rastay par nahin
hain.maqsad ye hai k hum shariyat k tamam taqazay poray kartay huy teray huzoor
me kharay hogay hain ya ALLAH ab humay tarqiyat k rastay par chala ta k hum
tarqiyat k rastay par chaltay huy aap ka irfan hasil kar len or hamaray upper
inaam karhumay in logon me shumar na kijiy jin se aap naaraz hain bulkay humay
un logon me shumar kijiy jin se aap razi hain ye kehtay hain k hum musalman
hain par abhi to in k dilon me eman dakhil nahin hua islam lana alag cheez hai
or emaan dil me dakhil hona alag cheez hai aap din me kitni baar dosra kalma
parhtay hain jis ka matlab gawahi dena hai kia aap baghair dekhay gawahi de
rahay hain jhooti gawahi de rahay hain aap ki ye duniyawi aitebar se to baghir
dekhay gawahi taslem nahin ki jati ye duniyawi mamlaat baghair dekhay gawahi k adalat
tasleem nahin karti to ALLAH aap ki gawahi kesay tasleem kare gaasal baat ye
hai k aap ALLAH ko dekh chukay hain or sub is ki rabobiyatka iqrar kar chukay
hain ALLAH nay jab aap ko peda kia to alastu be rabbikum keh karapna dedar apko
karaya or aap nay dekh kar is ki awaz sun kar ye kaha ka qalo bala ji han hun
is baat ka iqrar kartay hain k aap hi hamaray rab hai aap dekhayn to sahi baat
kia hai nazron par hamari pardah para hua hai nafs ka pardah isi ko huzoor nay
farmaya k jis nay apnay aap ko pehchana us nay apnay rub ko pehchan lia to
apnay aap ko jan lo pehchan lo is parday ko dekh lo jis pardah naytum ko or
tumharay rub ko alag kardiya or jesay hi tum is parday ko hatao gay rub
tumharay samnay hoga shariyat k baghair tarqiyat ki takmeel nahin hoti shariyat
or tarqiyat k baghair irfan ki takmeel nahin hoti apnay aap ko pechannay or
apnay rab ko pechannay k liy ye teenon cheezein lazim o malzoom hain.