Topics

WASAIL KI FARAHMI

sawal: insan ALLAH par bharosa karta hai or isi jazbay k tehet jiddo jehed karta hai or wasail ikatthay karta hai is ki wazahat farmayn.

jawab: buniyadi zaroriyat me sub se ahem hawa'pani'dhoop;chand ki chandni shamil hain agar insan apni zaroriyat ka khud kufail hai to is k pas aisi kon si taqat hai kon ca ilm hai k wo dhoop ko hasil kar sakay zameen k andar agar pani k sotay khushk hojayn to insan k pass aisa kon ca ilm hai taqat hai aqal hai k wo zameen k andar pani ki negrein jari karde yehi haal hawa ka hai hawa agar band hogay ALLAH ka nizaam wo nizaam jo hawa ko takhleeq karta hai or hawa ko gardish me rakhta hai is baat se inkar karde k hawa ko gardish nahin to zameen par mojod arboon kharboon makhlooq ek minute me tabah o barbar hojayn gi ye kesi be aqli or sitam zarifi hai k buniyadi zaroriyat ka jab tazkirah ata hai to hum kehtay hain k hamara is par koi ikhtiyar nahin hai or jab roti kapray or makan ka tazkirah ata hai to hum kehtay hain k agar hum apna ikhtiyar istemal na kren to ye cheezein humy kesay faraham hongi? in marozaat se mansha ye har giz nahin hai k insan ye samajh kar k me be ikhtiyar hoon hath pair tor kar beth rahay is k aza munjamad hojayn gay mansha sirf ye hai k zindagi me har amal or har harkat ko man janib ALLAH samjha jay jiddo jehed or koshish is liy zarori hai k k aza munjamad na hojay or admi apahij na hojay admi jis munasbat se jiddo jehed karta hai jis munasbat se amli iqdaam karta hai be shak isay wasail bhi sisi munasbat se naseeb hotay hain lekin is ka matlab ye har giz nahin hai k qanoon qudrat par isay dastaras hasil hogai qanoon ye hai k ALLAH ny insan k liy zameen asmaan or zameen asman k andar jo kuch hai sub ka sub kukhar kardiya hai magar tareeq ye hai k ALLAH ki is taskheer ko sirf or sirf madi hadood me istemal kiya jaay or dosra ahsan tareeqa ye hai k wasail ko is liy istemal kiya jay k ALLAH ny ye tamam wasail insan k liy peda kiy hain.

wasail ki taqseemor ALLAH ki razaqiyat ki tareef  me ghous ali shah ny ek waqiya qalam band kiya hai farmatay hain k kisi sheher me kasad bazari is had takh pohunchi k wahan k bazar weeran hogay jab karobar chalnay ki koi surat samnay nahin i to logon ny is sheher se naqal makani karna shuru kar di is kasad bazari or naqal makani ki wajah se sheher me rehnay wlay ghareeb mazdoor nihayat pareshan or bad haal honay lagay abhi is musibat ka koui hal samnay nahin aya tha or na hi koi baat aisi ban rahin thi k bazar ki werani khatam ho kar dobarah gehma gehmi or hama hami peda hojay ek roz do soda gar bazar me warid hoy or in dono ny kharidari shuru kar di had ye hai k soi se hathi tak har cheez k daam lag gay or bazar or chehel pehel or ronnaq afzoon tar hogai is kharidari k ntejay me ghoray ,khachar ,bail gariya,mazdoor har shakhs mutahrrik hogya in dono soda garoon ny elaan kiya k hum poray ek haftay tak kharidari karen gay or apni zaroriyat ki fehrist ko itna taweel kardiya k is sheher k soda garoon ny raat din ki koshish k baad dosray shehroon se saman ki farahmi ka intezaam or band o bast kiya is ek haftay me aisa mahool peda hogya k ye sheher mulk ki sub se mandi ban gai loog khush haal hogay in k chehroon par tazgi agai jo naqal makani kar chukay thay in ko jab ye khabar mili to wo wapis anay lagay or jin logon ny naqal makani ka iradah kar liya tha unhon ny iradah multawi kardiya mazdoor khush haal hogay izteraab or bechaini aflaas or bhook ka door khatam hogya ek haftay ki kharidari k baad masla saman uthanay or jahaz me load karnay ka peesh aya loading in loading k silssilay me bhi ek makhlooq masroof hogai or is tarhanujarta hua sheher dobarah bas gaya in dono soda garoon k sath baray miyan bhi thay jo mehnat mazdori k silsilay me in sath lag gay thay jab kharida hua sara saman jahaz me rakh diya tha to soda garon ny is buzurg mazdor se kaha ab hamara tumhara sath nahin rahay ga borhay mazdoor ny in k sath chalnay par israr kiyaor kaha me tanha hoon me aap logon ki khidmat karoon ga or aap k sath zindagi guzar jaay gi soda gar or mazdoor jahaz me sawar hogay orjahaz chaltay chaltay samandar beech pohuncha to in soda garon ny is jahaz ko samadar me dobo diya or borhay mazdor se kaha k hum hum farishtay hain chunkay ek abad basti karobar na honay ki wajah se barbad horhi thi is liy ALLAH ny hamaray zariy ye intezam kiya ta k basti dobarah abad hojay or yahan k logon ko zarorat k mutabiq rizq milta rahay ye keh kar wo dono farishtay gayab hogai or borhay mazdoor ko samandar k kinaraypohuncha diya ye waqiya huzoor qalandar baba auliay ki khidmat me suna kar menay pocha k k kiya sahab taqween yani ALLAH k intezam ko chalanay walay banday is qisam k kaam kartay hain?huzoor baba sahab ny farmay ye kaaam in logon k supurd hain jin logon ko ALLAH ny quranpaak me fil arz khalifa kaha hai zameen me ALLAH ka naib or khalifa ALLAH k kin ikhtiyaraat ko istemal kar k apnay faraiz poray kartay hain ye ek alag baat hai jo inshaALLAH kisi munasib moqay par tafseel se batai jay gi is waqt hamaray peesh e nazar istagha or yaqeen ki tareef hai istaghna or yaqeen me jo buniyadi batein hain wo ye hain insani zindagi me aisay waqiyat pe dar pe sadir hotay hain jin waqiyat ki ki tawajjiha peesh na kar sakay or na hi in waqiyat k sad ro me is ki koi amli jiddo jehed ya koshish shamil ho ghous ali shsh ny jis waqiy ka tazkirah farmaya hai is waqiya me bhi ye hikmat poshidah hai k rizk ki farahmi ka bandobast darbast ALLAH k zimmay haiab ALLAH rizk pohunchanay ka koi bhi zariya ikhtiyar karen hum maa k pait me bacchay ki parwarish bacchay ki zindagi or bacchay ko mustaqbil tor par ghiza pohunchanay ki misaal day chukay hain ghor talab baat ye hai k maa k pait me baccha ghiza hasil karta hai or is ghiza se musalsal or mutawatir aitedal k sath tawazun k sath parwarish pata rehta hai yahan ye baat bhi ajeeb hai k bacchay ko ghiza pohunchanay ka jo zariya hai yani maa is zariy ko bhi ghiza pohunchanay me koi zati ikhtiyar hasil nahin hai ek maa ghiza khati hai is ghiza se bilkul gher ikhtiyari or gher iradi tor par khoon banta hai or ye khoon shariyanon or ragon me dornay k bajay bacchay ki ghiza banta rehta hai shariyanon or ragon ko khoon ki jitni zarorat hoti hai is miqdar me shariyanoon or waridon kobhi khoon faraham hota rehta hai ye sawall apni jagah ehem hai k maa k pait me bacchay ki parwarishkis iraday or kis ikhtiyar k sath ho rhi hai?banday ka is me zara sa bhi amal dakahl nahin hai bacchay ki pedaish k baad bacchay ko ghiza faraham honay ka tareeqa yaksar badal jata hai wahi khoon jo bacchay ko maa k pait me barah e rast muntaqil ho rha hai ab dosra saaf shaffaf tareeqa ikhtiyar karta hai or yehi khoon maa k seenay me behtreen ghiza doodh ban jata hai ye baat phir apni jagah ahem hai  k khoon doodh kesay bana kis ny banaya?is me admi ka kon sa ikhtiyar kaamkarrha hai?or ye baat kia ajeeb nahin hai k bacchay ki parwarish jab maqsood nahin hoti to maa k seenay me doodh nahin utarta is k baad baccha doodh ki manzil se zara sa agay barhta  ahi to isay doosh ki munasbat se kuch bhari ghizaon ki zarorat peesh ati hai in bhari ghizaon ko chabanay or peenay k liy qudrat dant faraham karti hai duniya me kon sa aisa ilm hai aisi kon ci sceince aisa kon ca bandah hai jo isay iraday or ikhtiyaar k sath aisa kar sakay jesay jesay bacchay ki nasho nyma barhti hai or bacchay k jismani nizaam ko bhari or qouwat bakhsh ghizaon ki zarorat peesh ati hai is ki antein maidah or dosrayaza isi munasbat se kaam karna shuru kardetay hain aqal o shaoor k pas aisa kon ca ilm hai jis ilm ki buniyad par wo ALLAH ki banai hoi machine ki niqali kar sakay yani wo antein bana de maidah banday dil phepray takhleeq kar de chunkay ghizaon me kasafat hai or ye ghizayn wo ghizayn nahin hain.jin ghizaon ko ALLAH ny latif kaha hai to in ghizaon se nikli hoi kasafat k ikhraaj ka bhi ihtemam hai admi agar apnay andar khud machine ka muaina karay to is baat par pori tarhan wazeh hojati hai k insani zindagi me insani ikhtiyar ko insani ilm ko koi dakhil nahin hai ab masla ye dar peesh hai kjab insan ko zindagi guzarnay par koi ikhtiyar nahin hai to phir ye jaza or saza k mamlay me ikhtiyar kiya cheez hai?saza or jaza k mamlay me ikhtiyar ya be ikhtiyari rohaniyat ka ek buhut bara baab hai is baab ko agar is waqt khool diya gaya to istaghna walay baab ki pori tarhan wazahat nahin hosakay gi hum musalsal is baat par behes karrahay hain k ALLAHki zzat par yaqeen is waqt kamil hota hai jab admi ki andar wo qouwat mutahrrik hojay jis qouwat ka naam tasawwuf ny shahood rakkha hai.


Taujeehat

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI


DIL ALLAH KA GHAR HEY IS GHAR MEIN, MEIN NEY AZEEMI KEHKASHAN DEKHI HEY. ALLAH KI MAARFAT AS MUNAWAR TEHRER KO AZEEM KEHKASHAUN KEY ROSHAN CHARAGHON KEY SUPERD KERTA HOON TAKEH WO IS NOOR SEY APNEY DILON KO MUNAWAR KAREN