Topics
sawal: istaghna kiya hai? aam tor par khuwahishat se dast
kashi ko istaghna kaha jata hai rohaniyat ki roshni me is ki wazahat farmayn.
jawab: science ki mojodah jitni bhi taraqqi ab tak samnay
achuki hai jab hum is k afadi pehloaon par nazar daltay hain to hamaray samnay
ye baat ati hai k nou insani ki fala wa behbod k parday me is taraqqi ka
mahasil duniyawi lalach hai jitni bhi science ny taraqqi ki is taraqqi se nou
insan mustafaiz hoi lekin jon logon ny ejadat kin in k peesh e nazar me mali or
duniyawi munafat rahi hum tarze fikar k baray me wazeh tor par ye bayan kar
chukay hain k duniya me jo kuch mojod hai is ka talluq bara h e rast tarz e
fikar se hai ek tarz e fikar wo hai jis ka talluq barah raast ALLAH ki zaat se
hai or ek tarz e fikar wo hai jis ka rabta ALLAH se qayam nahin hai ALLAH ki
tarz e fikar ka mushahidah har aan or har ghari hota hai ALLAH ny khud quran me
farmaya hai hamari nishaniyoon par ghoor karo or tafakkur karo or aqil baligh
ba shaoor samajh daar or faheem loog wo hain jo hamari nishaniyon par ghor
kartay hain ALLAH ki nishaniyon me zahir hawas se dekhay janay wali nishaniyan
jin se hum har waqt mustafaiz hotay rehtay hain wo hawa pani dhoop or rang hain
zameen k nash o numa or nai nai cheezein takhleeq krnay ki salahiyat hai ALLAH
ny is ki kokh se asii aisi cheezein peda kin jin cheezon par na sirf ye k nou
insani bulkay zameen k uppe jitni bhi makhlooq mojod hain is ki zindagi ka daro
madar hai hawa ek aisi nishani hai jis se zameen par rehnay wala ek mutfans bhi
mehroom nahin hai pani ek aisi nishani hai jo insan ki zindagi ko feed na karay
to zindagi khatam hojay gi na sirf ye k insani zindagi khatam hojay gi pora
saiiyarah zindagi se mehroom hojay ga yehi haal dhoop ka hai yehi haal chandni
ka hai yehi haal darakhton k sar sabz shadab honay ka hai or yehi haal ran ba
rangay phoolon ka hai ye sari cheezein barah e rast ALLAH ki takhleeq kardah
hai in takhleeqat par jab tafakkur kiya
jata hai to bajuz is k koi baat samnay nahin ati k in tamam takhleqat se ALLAH
ka mansha or maqsab ye hai k nou insani ko faidah pohunchay aisa faidah jis
faiday k peechay koi gharz koi sila koi maqsad koi lein dain or koi karobar
nahin hai agar ye kaha jay k ALLAH ny ye tamam cheezein is liy peda ki hain k
banday ALLAH ki hakmiyat ko tasleem kartay huy is ki ibadat karen to phir hum
ye kesay tasleem karen gay k jo loog ALLAH ki zaat wa sifaat ka inkar kartay
hain or barmila kufr ki zindagi basar karhay hain hawa in ko bhi zindagi de
rahi hai pani se wo bhi seraab ho rahay hain dhoop me jo hayatein or tawanai
mojod hain in se bhi inhen faidah pohunch raha hai nou insani se hat kar sanp
biccho or kan khajoray or beshumar hashraat al arz bhi ALLAH k is muft inam se
mala mal hain is mukhtasar se tamheed se ye baat pori tarhan wazeh hojati hai k
ALLAH ki tarz e fikar ye hai k wo jab inam farmatay hain to makhlooq ko bila
takhsees is se faidah pohunchta hai or ALLAH ko makhlooq ki taraf se kisi sila
ya sataish ki gharz nahin hoti bas ye in ki shan e kareemi hai k inhon nay
makhlooq ko peda kiya or is makhlooq ko zindah rakhnay k liy itnay wasail
faraham kardiy k al waqiya makhlooq is ka shumar bhi nahin kar sakti.
ALLAH wasail be had o hisaab ata farmatay hain is k bar
aks jab hum scienci tarqiyat par nazar daltay hain to humay science ki har
taraqqi me zati munfaat or duniyawi lalach milta hai ye wo tarz e fikar hai jo
ALLAH ki tarz e fikar k mutazad hai zahir hai jo cheez ALLAH ki tarz e fikar k
mutabiq nahin hai wo ALLAH k liy pasand dedah nahin hai jitna qarb ALLAH se
banday ko hota hai isi munasbat se banday me ALLAH ki tarz e fikar muntaqil
hoti rehti hai or is se aisay amaal sar zad hotay rehtay hai jin se makhlooq ko
faidah pohunchta hai lekin is banday ka apna zati faidah kuch nahin hota tamam
aulia karam ki zindagi is baat ki shahid hai k inhon nay nou insani ki jo bhi
khidmat ki us khidmat k peechay in ka apna koi zati faidah nahin tha or agar
kisi banday ka zati faidah hai to wo har giz aulia ALLAH ki sif ka bandah nahin
hai koi admi apni koshish apni riyazat se apnay andar rohani salahiyaton ko
bedar kar k yaqeenan kharq adaat ka izhaar kar sakta hai lekin agar is ki tarz
e fikar ALLAH ki tarz e fikar se hum ahang nahin hai to ye tasawwuf nahin hai
ek scine hai aisi science jo la mazhab loog ikhtiyar kar saktay hain or jesa k
is zamanay me ho rha hai europe me jo rohaniyat k upper research ho rhi hai ya
rohani nuqta nazar se baqol in k jo taraqqiyan hamaray samnay arhi hai in
taraqqiyon me ek ye baat lagti hai wo ye k is taraqqi se hum nou insani ko kis
tarhan tabah kar saktay hain is taraqqi se hum apna iqtidar kis tarhan mazbot
kar saktay hain is taraqqi se hum dosray logon ko shikast khor wo qoum kis
tarhan bana saktay hain yani admi apnay khaol k andar band aisi ijadaat ko jin
aijadaat ka faidah barah e rast ALLAH ki makhlooq ko nahin pohunchta or agar
kisi takhleeq ka faidah pohunchta bhi hai to wo bhi ba amar majbori pohunchta
hai ab tak k halat shahid hain k jin logon nay scienci taraqqi hasil ki hai or
jo qoumain duniya me sub se agay hain wahan ek hi kashmakash milti hai k hum
kis tarhan dosron ko nest o nabod kar k ghalib ajayn.ye is waqt hai jab koi
taraqqi barah e rast taraqqi nahin hai jo bhi taraqqi ab tak hoi hai ya aindah
hogi ya ho chuki hai is k masala par ghor kiya jaay to is masala ki takhleeq
koi nahin bijli ALLAH ki ek takhleeq hai bijli ko daryaft karnay ka sahara be
shak admi k sir par bandha hua hau lekin ye k bijli is ny peda kar di hai ye
baat sahi nahin hai bijli ALLAH ka ek inam hai sawal ye hai k agar ALLAH zameen
k sotay khushk kar den ya paharoon se absharein girna band hojayn badal barsna
chor den saray samandar khushki ban jayn is waqt bijli kaha se peda hogi bijli
peda hona to ek jumla mafroza hai zindagi hi khatam hojay gi ambiya karam ki
talimaat par rohani nuqta nazar se or qalbi mushahiday k sath ghor kiya jaay to
pata chalta hai k ambiya ki sari taleemat ka nichor ye hai k banday ki zindagi
ko ALLAH ki taraf mor dia jaay yani agar bandah infiradi tor par zindah rehta
hai to is liy zindah na rahay k is ko is ki marzi k baghair ALLAH ny peda kiya
is liy k ALLAH chahtay hain k wo zindah rahay agar ALLAH nny is k andar
salahiyaton ka zakherah jama kar diya hai to jab ALLAH isay tofeeq den or in salahiyaton
ka istemal karen to is k zehen me ye baat rahi k meri salahiyaton ka izhar is
liy horha hai k is se ALLAH ki makhlooq ko faidah pohunchay ye kehna k istaghna
ka matlab ye hai k admi apni khuwahishat ko khatam karde har giz sahi nahin hai
ye sarasar kotah aqli ki daleel hai is liy k zindagi bajay khud khuwahishat ka
naam hai zindagi se khuwahishat ko nikaal diya jaay to zindagi roshniyon me
tehleel hojay gi kuch bhi baqi nahin rahay ga kia pani peena bhook lagna sonay
or jagnay ka taqaza bacchon ki khuwahish peda hona bacchon ki tarbiyat karna
ALLAH k samnay jhukna ka taqaza peda hona khuwahishat nahin hain ye sub
khuwahishat hain?muraad ye hai k tamam khuwahishat pori ki jaay magar
khuwahishat ko pora karnay me insan ka zehen ye ho k ALLAH chunkay ye chahtay
hain is liy hum ye karrahay hain istaghna se muraad ye bhi nahin hai admi sari
zindagi rozah rakhta rahay istaghna se muraad ye bhi nahin hai k ALLAH wasail
ata farmayn or admi sokhi roti khata rahay istaghna se muraad ye hai k jo kuch
karay ALLAH k liy karay ALLAH agar atlas wa kamkhuwab k kapray pehnata hai to
wo kapray is liy pehnay k ALLAH ny pehnay hain ALLAH agar taat k kapray pehnay
to admi is se bhi itna hi khush rahay jitna wo itlas or kam khuwab k kapray
pehen kar khush hota hai admi ko ALLAH murgi khilay to wo murgi khay lekin agar
halat k taqazay k tehet admi ko chutny se roti milay ya ek waqt roti milay to
is me bhi itna hi khush rahay jitna wo murgi kha kar khush hua tha or ye surat
haal is waqt peda hoti hai jab admi k zehen me ye baat rasikh hojay k hamari
zindagi ki harkat par amal hamari guftar ki buniyad ALLAH ka ek inam hai ALLAH
ny humay bolnay ki salahiyat di hum boltay hain.ALLAH nay humay sunnay ki
salahiyat ata ki hum suntay hain ALLAH ny humay sochnay samajhnay or tafakkur
karnay ki salahiyat ata ki hum sochtay hain tafakkur kartay hain or jo kuch
kartay hain is liy kartay hain k ALLAH chahtay hain k aisa kiya jaay.
isi
qisam or isi qabeel k logon k liy irshad e khuda wandi hai or wo loog jo rasikh
fil ilm me kehtay hain k ye baat yaqeen or mushahiday me hain k har baat har
cheez man janib e ALLAH hai is ayat k mafhoom par ghor kiya jaay to sochnay or
samajhnay k kai rukh mutaiyyan hotay hain tafseel me janay k bajay hum do
rukhon ka tazkirah kartay hain ALLAH ka irshad hai k wo loog almi aitbar
mustehkam zehen rakhtay hain yani aisa zehen jis me shak o shuba ki gunjaish
nahin hai aisa zehen jo shetani waswason se paak hai aisa zehen jis k andar
kasafat or almi alodgiyan nahin hai almi kasafat or almi alodgi se muraad ye hai
k is ilm se bandon ko takleef pohunchay jis ko arf e aam me takhreeb ka ilm
kaha jata hai or wo loog jo ilmi aitbar se aisi masnad par qayam farma hainjis
par shakok wa shabahat ki chap nahin hai wo kehtay hain k hamara yaqeen or eman
hai k har cheez is duniya me koi bhi hesiyat rakhti ho choti ho bari ho rahat
ho takleef ho har cheez ALLAH ki tararf se ho is ayat e mubarka me mukhtasar do
rukhon ka zikar is tarhan hai k kuch loog hain jo rasikh fil ilm hain or in
logon ka kehna hai ya in logon ko pehchan ye hai ya in logon ki tarz e fikar ye
hai k ye baat in k mushahiday me hoti hai k kainat me jo kuch mojod hai jo ho
chuka hai ho rha hai ya aindah honay wala hai is ka barah e rast talluq ALLAH
ki zaat se hai yani jis tarhan ALLAH k zehen me hain isi tarhan is cheez ka ya
is amal ka muzahirah horha hai ya falastiniya tarz e fikar ko nazar andaz
kartay huy aam satah par hum is baat ko chand misaloon me peesh karna chahtay
hain.tarz e fikar k baray me ye baat wazeh tor par samnay achuki hai k zindagi
ka har amal apni ek hesiyat rakhta hai is hesiyat me mani pehnana dar asal tarz
e fikar me tabdeli hai hamara ye eman hai k har cheez jis ka wajod is duniya me
hai ya aindah hoga wo loh mehfoz par likkhi hoi hai yani duniya me koi cheez is
waqt tak mojod nahin hosakti jab tak k pehlay se loh mehfoz par mojod na ho koi
admi is liy peda hota hai k wo peda honay se pehlay loh mehfoz par mojod hai
zindagi k nashaib o faraz se isliy guzarta haik zindagi k nashaib o faraz din
or mah o saal k waqfay loh mehfoz par mojod hain ye alag baat hai k in waqfoon
time ki hesiyat kiya hai?ek admi jab aqil baligh or ba shoor hota hai to is ko
zindagi guzarnay k liy wasail ki zarorat peesh ati hai or wasail ko hasil
karnay k liy rupay paisa buniyadi hesiyat rakhta hai baat is tarhan hai k ek
admi k liY ALLAH ny ek lakh rupay mutaiyyan kiy or wo ek lakh loh mehfoz par
likkhay gay jis tarhan ek lakh rupay bank me jama kardiya jata hai isi tarhan
ek lakh rupay pehlay se loh mehfoz par jama hai wasail ko hasil karnay k liy
admi koshish or jaddu jehed karta hai jesay jesay jaddo jehed or koshsih k
marahil tay kartay hain is ko rupay milta rehta hai or zaroriyat pori hoti
rehti hain lekin ye baat apni jagah atal hai k k agar loh mehfoz par is k
hissay ka zar mubadla mutaiyun na ho to isay duniya me kuch nahin mil sakta ek
tarz e fikar ye hai k admi ba wajod is k k zameer malamat karta hai apni rozi
ko haram tareeqay se hasil karta hai dosra admi is baat ki koshish karta hai k
rozi halal ho rizq halal se mein bhi do do roti khata hai or rizq haram se bhi
wo shikam seri karta hai lekin ye baat apni jagah muslim hai k is duniya me
isay jo kuch mil raha hai wo loh mehfoz se mil raha hai or loh mehfoz me wasail
is k liy pehlay se mutaiiyun hain ek admi mehnat mazdori kar k zameer ki roshni
me rupiya pesa hasil karta hai dosra admi zameer ki parwah na kartay huy rupiya
hasil karta hai dono surton me isay itna hi rupiya mil raha hai jo ALLAH ny
pehlay hi is k liy jama kardiya hai is liy k jab tak loh mehfoz par koi cheez
naqsh nahin hoti duniya me is ka muzahirah nahin hota ye bari ajeeb baat hai or
darja nadani or be waqofi hai k amdi apni har cheez ko haram kar deta hai or
apni har cheez ko halal kardeta hai qanoon ye hai k jo cheez looh mehfoz par
par naqsh hogai is ka muzahirah lazim ban jata hai rasikh fil ilm loog is baat
ka mushahidah kar letay hain k har mazhar ka talluq har amal ka talluq har
harkat ka talluq loh mehfoz se hai is liy wo bar mila is ka elaan kartay hain k
har cheez ALLAH ki taraf se hai or is elaan k sath sath is baat par yaqeen rakhtay
hain k ALLAH ny hamaray liy jo kuch mutaiyyun kar liya wo zaror milay ga is k
sath sath in ki nazron k samnay ye baat bhi ajati hai k hamaray liy loh mehfoz
par itna sarmaya itnay wasail makhsos kardiy gay hain bilkul is tarhan jesay
admi ko ye maloom ho k bank me meray naam se ek carore rupiya jama hai kiyun k
muzahirati tor par ye baat is k yaqeen me hai k meray naam se ek carore rupiya
jama hai wo is baat se mutmaen rehta hai rasikh fil ilm loog chunkay loh mehfoz
k naqoossh ka muzahirah kar letay hain is liy wo kisi takleeq ko ya kisi araam
ko arzi takleef ya arzi kami samajhtay hain or is mushahiday k baad in k zehen
me ye baat rasikh hojati hai k hamaray liy ALLAH ny jo naimtein makhsos kar di
hain wo humay har haal me mayassar ayn gi or ye yaqeen in me istaghna ki taqat
peda kar deta hai murshad qareem qalandar baba auliya ny mujh se farmaya k
istaghna baghair yaqeen k peda nahin hota or yaqeen baghair mushahiday k
takmeel nahin pata or jis admi me istaghna nahin hai is admi ka talluq ALLAH se
kam or mawiyat se ziyadahh rehta hai tasawwuf or rohaniyat dar asal aisay asbaq
ki dastaweez hai jin asbaq me ye baat wazahat k sath bayan ki gai hai k sukoon
k liy zarori hai k admi k andar istaghna ho istaghna k liy zarori hai k ALLAH
par tawakkal ho tawakkal ko mustehkam karnay k liy zarori hai k admi k andar
emaan ho or enaam k liy zarori hai k admi k anadar wo nazar kaam karti ho jo
nazar ghaib me dekhti hai basurat e degar kisi banday ko kabhi sukoon mayassar
nahin asakta aj ki duniya me ajeeb surat e haal hai k har admi duniya k peechay
bhag raha hai har admi dolat k ambar apnay gird jama karna chahta hai or ye
shikayat karta hai sukoon nahin hai sukoon nahin hai sukoon har giz koi arzi
cheez naahin hai sukoon ek aisi kefiyat ka naam hai jo yaqeeni hai or jis k
upper kabhi mout waqiya nahin hoti aisi cheezon se jo cheezein arzi hain fani
hain or jis par hamari zahirah ankhon k samnay bhi mout warid hoti rehti hai in
se har giz sukoon hasil nahin hosakta maraqba is silsilay me ek aisi koshish
hai jis koshish par ye tarzein mutaiyan hain k admi fani or madi cheezon se
apnay zehen ko hata kar haqeeqi or la fani cheezon me tafakkur kare ye tafakkur
jab qadam qadam chala kar ghaib ki duniya me kisi banday ko pohunchta hai to
sub se pehlay is k andar yaqeen peda hota hai jesay hi yaqeen ki kiran dimag me
phonti hai wo nazar kaam karnay lagti hai jo nazar ghaib ka mushahidah kati hai
ghaib me mushahiday k baad kisi banday par jab ye raz munkashif hojata hai k
sari kainat ki baag dor ek wahid hansi k hath me hai to is ka tamam tar zehni
rujhan is zaat par markoz hojata hai or is markaziyat k baad istaghna ka
darakht admi k andar shakh dar shakh phelta rehta hai.