Topics
sawal: huzoor alehe salato wasalm ka irshad e mubarak hai
jis nay apnay nafs ko pehchana is nay apnay rub ko pehchana sawal ye hai k nafs
kiya hai jis ko samajh kar hum ALLAH ka irfan hasil kar saktay hain?
jawab: ALLAH jab takhleeq ka tazkirah farmatay hain or
apni khalqiyat ka elaan kartay hain to kehtay hain wahi hai jis nay tumhay
takhleeq kiya nafs e wahid hai tasawwuf me is ka istelahi naam nasbat o wehdat
hai or is ko ek nuqta se tasbi di jasakti hai jis me tamam kainat ban hai.
badi ul nazar me hum ghoor kartay hain k nafs wahid kiya
cheez hai?to aam tarzon me ye keh diya jata hai nou insani adam se peda hoti
hai yani naf s e wahid se muraad adam hai ye tarz e fikar ya ye taweel sahi
nahin hai is liy k jab adam ka tazkirah ata hai to ALLAH k irshad k mutabiq
adam ka putla sari or abni mitti se takhleeq hua haqeeqat me nafs wahid jis k
baray me irshad e bari tala hai k hum nay tumhay nafs e wahid se taklheeq kiya
hai wo nuqta hai jo sari kainat ki buniyad hai hai or is nuqta me kainat ka ek
ek zarrah record hai koi cheez is se bahar nahin hai zarorat is baat ki hai k
admi apnay andar mojod is nuqta se waqif hojay or is ki nigah is nuqta k andar
kaam karnay lagay.
isi nuqta k baray me huzoor akram ka irshad hai jis nay
apnay nafs ko pehchan liya is nay apnay rab ko pehchan liya ALLAH k farman or
huzoor akram k irshad par tafakkur kiya jaay to is k mani mafhoom apni pori
tawanaiyan k sath hamaray samnay atay hainor hum in dono me bahimi rabt mojod
patay hain ALLAH ka irshad hai k hum nay tumhay takhleeq kiya nafs wahid or
huzoor akram is nafs k baray me farmatay hain k jis nay apnay nafs ko pehchan
lia sis nay apnay rab ko pehchan kiya mushkil ye aan pari hai k jab irfan ka
nafs ka koi masla samnay ata hai to hum in qurani ayat ko jis me irfan nafs k
mutalliq wazeh or roshan hidayat mojod hain mansha buhat keh kar guzar jatay
hain halankay is kitab me kisi qisam k shak o shuba ki koi gunjaish nahin khud
ALLAH ka farman hai k ye kitabjis me kisi qisam k shak k gunjaish nahin in
logon ko hidayat bakhshti hai jo muttaqi hain or muttaqi wo log hain jo ghaib
par emaan rakhtay hain yani ghaib in k mushahiday me hota hai in hazrat ki ek
tareef ye bhi hai k in ki aam tarz e fikar ye bhi hoti hai wo kehtay hain k hum
is baat par emaan rakhtay hain ye baat hamara yaqeen hai yani ye baat hamaray
mushahiday me hai k har baat har kaam har amal har harkat khuwah wo ibteda ho
ya inteha zahir ho ya chupi hoi ho sub ALLAH ki taraf se hai matlab ye hai k
kisi cheez k amal dar amad honay me barah e rast ALLAH ki mashiyat ka amal
dakhal hai.
ye
baat samnay a chuki hai k kainat me mojod har shay lahron k tanay banay par
qayam hai or ye lahrein noor k upper qayam hain ALLAH k farman k mutabiq zameen
o asman ALLAH ka noor hain takhleeq ki ek hesiyat noorani hai or dosri hesiyat
roshni hai in lahroon or takhleeq k noorani wasf ko talash karnay k liy ahl e
ALLAH nay insani shaoor ki munasbat se qaiday or zabtay banay hain or ek nuqtay
ko chay hisson me taqseem kardiya ta k ek salik asani se samajh sakay is nuqtay
k chay hisson ka naam tasawwuf me lataif satta yani chay latefay rakha gaya hai
panch lateefon ko chor kar akhri chata latifa jis ko akhfi ka naam diya gaya
hai har insan k andar nafs wahid hai yehi wo nuqta hai jis me dakhil honay k
baad kainat sahi manoon me insan k liy taskheer hojati hai or wo ALLAH ka
irshad samajh leta hai k him nay maskhar kardiya sub ka sub tumharay liy jo
kuch hai asmanon me or zameen me yani asmanon or zameen me jo kuch hao wo
tumhara mehkoom hai or tum is k hakim ho is irshad ki mazeed tafseel ye samnay
ati hai k hum nay tumharay liy suraj ko maskhar kardiya chand ko maskhar kar
diya sitaron ko maskhar kardiya maskhar honay se ye matlab nikala jata hai k
chand or suraj ko ALLAH nay ek duty tazweez ki hai or ye baat in k faraiz me
shamil hai k wo makhlooq ki khidmat kare chand ho suraj ho sitaray hoon nabatat
ho ya jamadat pani ho ya gas charinday ho ya parinday sub insan ki khidmat
guzari me masroof hain ye maskhar honay ki tareerf me nahin ata maskhar hona
kisi cheez par hakmiyat qayam honay k mani rakhta hai k is cheez par tasarruf
kiya ja sakay mojodah surat ye hai k insan chand or suraj k tasarruf me zindagi
basar karrha hai agar chand or suraj apna tasarruf khatam kar saktay to zameen
ka wajod baqi na rehta maslan ye k hum dhoop k mohtaj hain or hum is baat k bhi
mohtaj hain k chand apni roshni se hamari faslon ko parwan charhay humay chand
or soraj par koi hakmiyat hasil nahin hai.