Topics
sawal: ay giroh jinnat or insan agar tum nikal saktay ho
to asman or zameen k kinaron se nikal kar khao tum nahin nikal saktay magar
sultann k sath sultan kia hai or hum is ko kis tarhan hasil kar saktay hain? wazahat
farmayn.
jawab: surah rehman me ALLAH farmatay hain.........
tarjuma: ay giroh jinnat or ay insanon k giroh tum agar
zameen or asman k kinaroon se nikal saktay ho to nikal kar dikhao agar tum
asmanon or zameen k kinaron se bahar ja saktay ho to ja kar dikhao tum nahin ja
saktay tum nahin nikal saktaymagar sultan k zariy matlab ye hai k aap agar
sultan hasil kar len to aap zameen or asmanon k kinaron se bahar ja saktay
hain.
is ayat e mubarka me buhut ziyadah ghor o fikar karnay ki
zarorat hai ALLAH farmatay hain ek surat or ek salahiyat insanon k andar aisi
hai k agar wo is salahiyat ko talash kar len or apnay aura ko bedar or
mutahrrik kar len to insan ghaib ki duniya
me dakhil ho saktay hain is aayat se ye baat sabit hain k agar insan ko sultan hasil hojay to wo
ghaib ki duniya me dakhil hojata hai asmanon or zameen k kinaron se tum nikal
saktay hoasman k kinaron se nikalna kia mani rakhta hai surat e haal ye hai
kinaron se bahar khala hai.
jo cheez nazar nahin ati ya jis cheez k baray me humay
ilm nahin hai wo ghaib hai jab zameen k kinaron se bahar or asmanon me hai
ghaib me saat asmanon k kinaron k baad arsh hai is ka matlab ye hua k har insan
k andar ALLAH nay ye salahiyat rakkhi hai k agar wo sultan hasil kar lay to
zameen or asman k kinaron se nikal jaay to arsh is k samnay ajata hai arsh par
ALLAH apni sifaat k sath qayam pazeer hain.
is ka mafhoom ye nikla k har bandah ALLAH ko dekh sakta
hai kuch loog ye sawal kartay hain k ALLAH ko koi kesay dekh sakta hai jab kay
musa alehe salam bhi nahin dekh sakay jab wo koh e tor par ALLAH ki tajalli ka
nazool hua to musa alehe salam tajalli dekh kar behosh hogay nahin dekh sakay
to ek aam admi kesay dekh sakta hai pehli baat to ye hai k musa alehe salam nay
kuch nahin dekha to wo behosh kesay hogay buhut ziyadah ghor e talab baat ye
hai k musa nay ALLAH ko dekha zaror lekin musa ka shaoor in ko bardasht nahin
karsaka is liy wo behosh hogay musa alehe salam ka behosh hona is baat ki
alamat hai is musa alehe salam nay is tajalli ka dedaar to kia lekin bardasht
nahin kar sakay.
aap 100 waat ka bulb dekhtay hain or dekhnay k adi hain
or ek dam apkay samnay 5000 waat ka bulb roshan kar diya jaay to is ka ye
nateja niklay ga aap ki ankhein k samnay andher ajay gaphir wahi bulb agar aap
bar bar dekhein gay to aap adi hojayn gaymusa alehe salam jab bhi ALLAH se baat
kartay thy to wo koh e toor par tashreef lay jatay thay ALLAH ki batein suntay
thylogon k peghab lay jatay thy logon k liy jawabat latay thy40 raat or 40 din
inhon nay koh e toor par qayam kia or to raat kitab laay is baray me quran
kareem ki ayat:
tarjuma: ay giroh e jinnat or ay giroh insan kia tum is
baat ki istetaat rakhtay ho k tum nikal jaoasmanon or zameenon k kinaron se
nikal jaoto is ayat me nuqta hai k ALLAH nay zameen pehlay nahin kaha halankay
baat zameen par ho rahai hai lekin ALLAH pehlay samawat ka tazkirah karrahay
hain k kia tum asmanon k kinaron or zameen k kinaron se nikal saktay ho.
pehlay
asman hai or phir zameen hai tum nahin nikal saktaymagar sultan k zariy sultan
kia haiinsan k andar is ki apni roh hai jab ALLAH nay insan ko peda kiya peda
karnay k baad khud ALLAH nay apni zaat ko insan se mutarruf karanay k liy ALLAH
nay ye kaha alastu berabbikum me tumhara rab hon jab insanon k zehen me ye baat
pari k me tumhara rab hoon to saray
insanon k zehen is taraf mutawajja hogay k ye bolnay wali hansti kon hai ye awaz
kahan se arahi hai jab insan is awaz ki taraf mutawajja huy to inhon nay dekha
k ALLAH ki hansti in k samnay mojod hai to inhon nay dekh kar kaha qalo bala ji
han aap hamaray rab hain is ka matlab ye hua k alam arwah me hamari roh nay
ALLAH ki awaz suni or ALLAH ko dekha bhi or ALLAH ko dekhnay k baad ALLAH ki
rabobiyat ka iqrar bhi kia pas sabit hua k hamari roh ALLAH ko pehlay se dekhay
huy haior pehlay se janti hai agar hum is roh ko talash kar len jis nay ALLAH
ko dekha tha ALLAH ki awaz suni thi ALLAH ko pehchan lia tha hamaray andar wo salahiyat
muntaqil hojay gi or salahiyat hi ka naam to ALLAH nay sultan rakkha hai sultan
se muraad ye hai k agar tum apni roh ko talash kar lo or is roh ko jis roh nay
alam arwah me hamari rabobiyat ka iqrar kia hai to tum asmanon or zameen k
kinaron se nikal saktay ho.