Topics
sawal: kiya madday ki buniyad rangeen roshniyan hain? hum
mukhtalif rangon se kis tareeqay par ghiza hasil kar saktay hain? kia gandumi
rang ki roshniyan ghizay zaroriyat pori karti hain?rohaniyat k hawalay se is
par roshni dalen.
jawab: agar gandum k andar bhook door karnay wali energy
ki roshniyan agar ap maloom karlen or inhen istemal karna seekh lyn to nateja
to wahi hoga magar sawal ye hai aap to cycle ki bhi naqal kartay hain jo qoum
khurafat me pari hoi hai jis k andar research or talash nahin hai wo roshniyon
ki kis tarhan talash kare gi.
kainat me jitni bhi ashiya hain in sub ki buniyad roshni
hai or is baat ko ALLAH nay quran me irshad farmaya hai k ALLAH zameen or asman
ki roshni hai ALLAH nay zameen or asman or is k andar jo kuch hai wo roshniyon
se takhleeq kiya hai ALLAH khud noor hain yani roshni hain to jo kuch bhi
program duniya ka bana zahir hai k is k elawah kuch nahin kaeh saktay k ye sara
program ALLAH k zehen me mojod tha is ka matlab ye hua k sara program noraniyat
or roshni hai ALLAH nay apnay zehen k mutabiq is program ko zahir karna chaha
to ALLAH nay kaha kun noor k andar se niklay huy alfaz bhi noor hotay hain
roshni hotay hain ALLAH ki awaz ko noor or roshni k elawah kuch nahinkaha ja
sakta quran paak k mutabiq pori kainat roshni hai is poray ruku me is ki
wazahat ki gai hai ALLAH nay is ruku me roshni ka ka pora formula bayan kia hai
roshni kis tarhan bani roshni kia hai insan k upper roshniyon k kitnay parat
hai kitnay ghilaf hain or phir roshni me ek taraf garmi hai ek taraf thandak
hai quran ki ayat k wo noor k upper noor hai ghilaf dar ghilaf admi roshni ka
bana hua hai or ALLAH jis ko chahta hai is ko wo noor dikha bhi deta hai ab
gandum ki roshniyan koi maloom kar ly or in roshniyon ko kisi bhi surat se
apnay andar dakhil kar le to admi ki ghizai zarorat pori hojati hai ye mera
apna tajarba bhi hai kuch arsa tak admi baghair khana khay reh sakta hai agar
aap ko ye pata chal jay k saib kitni roshniyon se bana hua hai or mushahidati
tor par wo baat apko nazar bhi ajay k saib itni roshniyon se bana hua hai to ap
is saib ki roshniyon ko apnay andar jazb kar k apnay andar muntaqil kar k saib
se ghizaiyat hasil kar saktay hain saib ba zaat khud kuch nahin hai saib roshni
hai admi gandum khata hai fazla nikal jata hai asal me gandum jin roshniyon se
bana hua hai wo roshni humay energy faraham karti hain insan roshniyon ka bana
hua hai rohani loog jisay jisam misaali kehtay hain science daan isay aura ka
shadow.
roshni roshni ko khati hai agar admi adha kilo giram
gandum rozana khata haito is nay ek mah me pandrah kilo giram gandum khaya hai
to saal bhar me ek so assi kilo giram is k ghiza bani jab k saal bhar me is ka
wazan itna nahin barha agar aap fizla ka waza karen to ek mah me fizla pandrah
kilo giram nahin hota qanoon ye hai k admi (quantity)nahin kha raha bulkay
roshni kha raha hai.
quran taskheer e kainat ki dastaween hai ye ilmiya hai k
hum taskheeri formula maloom karnay k liy quran nahin parhtay yahan to masla ye
hai k har musalman girohon me bat gaya koi diyo bandi hai koi barelwi koi ahl e
hadees or pata nahin kia kia hai or har firqa k danish war quran ko apnay
tafarqay me istemal karrahay hain
tafarqa bazi me istemal honay ki wajah se musalman quran k andar se
quran ki hikmaton se or qurani formuloon se mehroom hogay hain ALLAH farmatay
hain k is rassii ko mazboti semuttehdah ho kar ek jagah jama ho kar pakar lo
apas me tafarka na dalo lekin ab islam naam hi sirf tafarqay ka hai diyo bandi
hazrat barelwi hazrat k peechay namaz nahin parhtay barelwi hazrat diobandi
ulma k peechay namaz nahin parhtay or jitnay firqay hain har firqa apnay aap ko
jannati or dosron ko doszkhi kehta hai halankay kisi ko nahin pata k kon
jannati hai or kon dozkhi hai ?ye to ALLAH miyan faisla karen gay k kon jannati
hai or kon dozkhi hai hamara to ye haal hai k hum firqon me jannat or dozakh ko
bant rahay hain to jab hum quran parhayn gay nahin or quran k andar taskheeri
formulay talash nahin karen gay to quran ko kia zarorat pari hai k wo apnay formulay
hamaray upper zahir kare ALLAH ka farman hai k hum nay sari duniya me jo kuch
bhi hai miqdaron k sath takhleeq kiya hai homio pethic ki itni si goli hoti hai
khashkhash k barbar is goli ki taqat ek lakh hojati hai kahan se is me itni
taqat peda hogaik agar matter me sabhi kuch hai to homip pethic ki ek lakh ki
taqat ki itni choti goli aap k jisam me kesay tabdeel kar deti hai matlab ye
hua k quantity ki hesiyat nahin hai aap jab gehon khatay hain to jo miqdarein
ALLAH nay gehon k andar mutaiyyan kar di hain wo aap khatay hain rohani admi ko
ibtedai taleemat me ye batay jata hai k gehon kesay bana ? rohani ustad apnay
shagird ko ya mureed ko mushahidah karat ahai ka gehon ka ek dana hai ustad is
ko bara karta hai jitna bara hosakta hai jesay khurd bain choti cheez ko bara
kar k dekhati hai yani ankh khurdbain ban jati hai jab dana bara hojata hai to
to ek gehon ka dana marood k barabar hojata hai baaz aukat is se bhi bara
hojata hai ustad k hath par amrood k barabar ek gehon ka dana rakkha hua hai wo
kehta hai k is me dekho k miqdarein kitni hai is me mithas kitni hai is me
nishasta kitna hai is me bhurbura pan kitna hai is k andar rang kitnay hain
agar rang 4 hain to to sath rangon (miqdaroon)me pehlnay ki salahiyat kitni hai
is k andar pani jazb karnay ki salahiyat hai ustad is k baad dikhata hai k roti
banay k liy aag bardasht karnay karnay ki is k andar kitni salahiyat sari
miqdarein mushahidah kara k zameen k andar gehon ka dana daal diya hai shagird
ko pata chal jata hai k gehon koi cheez nahin hai bulkay asal cheez is ki
miqdarhai miqdar se muraad hai k hum nay ye samajh lia hai mithas ki ek miqdar
hai to rohani loog kehtay hain k mithas me kitni miqdarein kaam karti hain to
phir mithas ka tazkirah kar k is mithas ki miqdar ka taiyyun kartay hain phir yr
kehtay hain k gehon k andar pani jazb karnay ki salahiyat mojod hai to wo ye
dekhtay hain k pani jazb horha hai to kitni miqdar me jazb horha hai wo tajarba
kartay hain k gandum k dana ka formula ye bana k is me itna pani hai inti
shakkar hai itna nishasta hai itna is k andar bhubura pan hai itni is k andar
sakhti hai itna is k andar phelao hai itna is k andar karkara pan hai taqreeban
20 miqdaroon se mil kar ek gehon bana phir is ko zameen me daltay hain or isi
ki kasht kartay hain ustad nay is gehon ko pakra or pakar kar is ko fiza me
rakha to wahan shagird nay dekha k is gehon k upper fiza me jitni gas hain
jitni roshniyan hain is ka is gehon k andar jo miqdarein hoti hai is par kiya
asar hota hai wo kis tarhan ek dosray se multiply hoti hain kis tarhan ek
dosray me jazb ho kar barhti hain phir is ko neechay phenktay hain dekhein
pakri hoi cheez alag hai or upper se neechay ani wali cheez alag hai ab upper
se jab cheez arahi hai to zameen ki jo
kashish saqal hai jis ko aap gravity kehtay hain wo gehon ko khech rahin hai ab
ye batay jata hai k ye gravity ki kitni miqdarein hain is k baad zameen par
gehon gir gaya ab zameen par jab gehon gira phir fiza k andar jitni roshniyan
hain jitni ges hain wo is me shamil hogain ab zameen par jab wo gira to to sakht
zer e behes ajati hai k zameen kin anasri par tarqeeb pai hai zameen me kitnay
anasir kaam karrahay hain maslan zameen me tamba hai petal hai aluminium hai
phasphoras chandi hai sona hai or beshumar madniyat abraq hai namak hai
phitkiri hai wagherah wagherah be shumar madniyat ks is gehon par kia asar hua
or in madniyat ki alag alag kitni miqdarein jab wo sari miqdarein gehon me
shamil hogain to gehon zameen k andar chala gaya or zameen nay is zameen nay is
band kar lia phir gehon k andar kia tabdeeli waqiya hoi kis tarhan is k andar
kala phota kisi tarhan wo gehon phool kar phata phatnay k baad is me kala aya
phir patti bani phir poda is poday k
andar hazaron lakhon gehon lag gay phir ye masla zer e behes ajata hai k ek
gehon me hazar gehon kesay lag gay?
ye rohani taleemat ka ek tareeqa hai ab aap dekhein is me
siway roshni ki miqdaron k koi cheez hain hai ab wo jab gehon bana or aap nay
buhut saray gehon ikhatta kar k is ko piswaya wahan par bhi miqdarein zer e
behes again agar wo chakki k patoon me makhsos heat peda na ho to ata nahin
banta chakki chalay baghair ata banay ga ap nay dekha hoga jab ata pista hai
aap hath laga kar dekhyn acha khasa garam hota hai ungliyan jal jati hain phir
wo garam ata thanda hua phir aap nayis atay ko gondha is me pani jazb kiya is
to taway par dala ye sari cheezein miqdaron k elawah kuch nahin ab hum jo kuch
bhi kha rahay hain maddi aitebar se to hum matter kha rahay hain lekin rohani
nuqta nazar se koi admi matter nahin kha raha insan khud roshni ka bana hua
roshni roshni ko kha rahi hai ya yun kahayn k roshni roshni kojazb karrhi hai
yehi wajah hai k jitni hum khorak khatay hain i k hisaab se hamara waza nahin
barhta.
koi cheez miqdar k baghair nahin hoti or miqdar roshniyon
k elawa kuch nahin hotato roshni ko koi na koi alag naam zaror dena paray ga
agar aap kisi zariy se saib ki gehon ki papetay ki jo miqdarein hain in ko aap
dekh kar samajh kar apnay andar zakhirah kar lein to ye baat sahi hai k aap ko
khana khanay ki zarorat peesh nahin aygi jannat me bhi matter nahin hai isliy
jannat me bol o baraz nahin hota pakhana peshab nahin hota jannat me cheezein
to sub hain doodh bhi phaal bhi hain shehed bhi hai pani bhi hai ghizai intezam
wahan sara ka sara hai lekin wahan har cheez roshni se bani hoi hai .