Topics
sawal: rasikh al ilm kisay kehtay hain? admi ilm me kis
tarhan rasikh hosakta hai? wazahat farmayn.
jawab: wo loog jo ilmi aitbar se mustehakm zehen rakhtay
hain yani aisa zehen jis me shak o shuba ki gunjaish nahin hai aisa zehen jo
shetani waswason se paak hai aisa zehen jis k andar kasafat or ilmi alodgiyan
nahin hain ilmi kasafat or ilmi alodgi se muraad ye hai k is ilm se bandon ko
takleef pohunchay jis ko arf e aam me takhreeb ka ilm kaha jata hai or wo loog
jo ilmi aitbaar se aisi masnad par qayam farma hain jis par shakoko shabahat ki
chap nahin hai wo kehtay hain k hamara yaqeen or emaan hai k har cheez jis ki
duniya me khuwa koi bhi hesiyat ho choti ho bari ho rahat ho takleef ho har
cheez ALLAH ki taraf se hai is ayat mubarka me mukhtasaran do rohon ka tazkirah
is tarhan hai k kuch loog hain jo rasikh fil ilm hain or in logon ka kehna ye
hai ya in logo ki pehchan ye hai hai ya in logon ki tarz e fikar ye hai k ye
baat in k mushahiday me hoti hai k kainat me jo kuch mojod hai jo kuch hochuka
hai ho rha hai ya honay wala hai is ka barah e rast talluq ALLAH se hai yani
jis tarhan ALLAH k zehen me hai isi tarhan is cheez ka is amal ka muzahirah
horha hai falsafyana tarz e fikar ko nazar andaz kartay huy amyana satah par
hum is baat ko chand misaloon me peesh karna chatay hain.
tarz e fikar k baray me ye baat wazeh tor par samnay achuki hai k zindagi ka har amal apni ek hesiyat rakhta hai is hesiyat me mani pehnana dar asal tarz e fikar me tabdeeli hai hamara ye emaan hai k har cheez jis ka wajod is duniya me hai ya aindah hoga wo loh mehfoz par likkhi hoi hai yani duniya me koi cheez is waqt tak mojod nahin hosakti jab tak k pehlay se loh mehfoz par mojod na ho koi admi is liy peda hota hai k wo peda honay se pehlay loh mehfoz par mojod hai zindagi k nashaib o faraz se is liy guzarta hai k zindagi k nashaib o faraz din or maah o saal k waqfay loh mehfoz par mojod hain ye alag baat hai k in waqfon me time ki hesiyat kiya hai?ek admi jab aqil baligh or ba shaoor hota hai to is ki zindagi guzarnay k liy wasail ki zarorat peesh ati hai or wasail ko hasil karnay k liy rupay pesay buniyadi hesiyat rakhta hai baat kuch is tarhan hai k ek admi k liy ALLAH nay ek lakh rupay mutaiyun kiy or wo ek lakh rupay loh mehfoz par likkhay gay jis tarhan ek lakh rupay kisi bank me jama kar diya jata hai isi tarhan ek lakh rupay pehlay se loh mehfoz par jama hai wasail ko istemal karnay k liy admi jiddo jehed or koshish karta hai jesay jesay koshsih or jiddo jehed kamiyabi k marahil tay karti hai is ko rupiay milta rehta hai or zaroriyat pori hoti rehti hai lekin ye baat apni jagah atal hai k agar looh mehfoz par is k hissay ka zar mubadla mutaiyyun na ho to isay is duniya m kuch nahin milsakta ek tarz e fikar ye hai k admi ba wajod is k k zameer malamat karta hai apni rozi ko haram tareeqay se hasil karta hai dosra admi is baat ki koshish karta hai k rozi halal ho rizq halal me bhi wo do roti khata hai or rizq haram me bhi wo shikam seri karta hai lekin ye baat apni jagah muslima hai k is duniya me isay jo kuch mil raha hai wo loh mehfoz se mil raha hai or loh mehfoz me wasail is k liy pehlay se mutaiyyun hain ek admi mehnat mazdori kar k zameer ki roshni me rupiya hasil karta hai dono surtoon me isay itna hi paisa mil raha hai jo ALLAH ny pehlay se is k liy jama kar diya hai is liy k jab tak loh mehfoz par koi cheez naqsh nahin hoti duniya me is ka muzahirah nahin hota ye bari ajeeb baat hai or intehai darja nadani or be waqofi hai k admi apni hi cheez ko haram kar deta hai qanoon ye hai k jo cheez loh mehfoz par naqsh hogai is ka muzahirah lazim ban jata hai rasikh fil ilm loog is baat ka mushahidah kar letay hain k mazhar ka talluq har wajod ka talluq har amal ka talluq har harkat ka talluq loh mehfoz se hai is liy wo bar mila is ka elaan kartay hain k har cheez ALLAH ki taraf se hai or is elaan k sath sath is baat par yaqeen rakhtay hain k ALLAH ny hamaray liy jo kuch mutaiyyun kardiya hai wo zaror milay ga is k sath sath in ki nazron k samnay ye baat bhi ajati hai k hamaray liy loh mehfoz par itna sarmaya itnay wasail makhsoso kardiy gay hain bilkul isi tarhan jesay kisi admi ko ye maloom k bank me meray naam ek carore rypiya jama hai chunkay muzahirati tor par ye baat is k yaqeen me hai k meray naam se ek carore rupiya jama hai wo is baat se mutmaen rehta hai rasikh fil ilm loog chunkay looh mehfoz k naqosh ka mushahidah kar letay hain is liy wo kisi takleef ko ya kisi be arami ko arzi kami ya arzi takleef samajhtay hain or is mushahiday k baat in k zehen me ye baat rasikh hojati hai k hamaray liy ALLAH ny jo naimtein makhsos kar di hai wo humay har haal me mayassar ayn gi or yaqeen in k andar istaghna peda kar deta hai istaghna baghair yaqeen k peda nahin hota or yaqeen baghair mushahiday k takmeelnahin pata or jis admi k andar istaghna nahin hai is admi ka talluq ALLAH se kam or mawiyat se ziyada rehta hai tasawwuf ya rohaniyat darasal aisay asbaq ki dastaweez hai jin asbaq me ye baat wazahat k sath bayan ki gai hai k sukoon k liy zarori hai k admi k andar istaghna ho istaghna k liy zarori hai k ALLAH k upper tawakkal ho tawakkal ko mustehkam karnay k liy zarori hai k admi k andar emaan ho or emaan k liy zarori hai k admi k andar wo nazar kaam karti ho jo nazar ghaib me dekhti hai ba surat e degar kisi banday ko kabhi sukoon mayassar nahin asakta aj ki duniya me ajeeb surat e haal hai k har admi duniya k peechay bhag raha hai har admi dolat k ambar apnay gird jama karna chahta hai or ye shikayat karta hai k sukoon nahin hai sukoon nahin hai sukoon har giz koi arzi cheez naahin hai sukoon ek aisi kefiyat ka naam hai jo yaqeeni hai or jis k upper kabhi mout waqiya nahin hoti aisi cheezon se jo cheezein arzi hain fani hain or jis par hamari zahirah ankhon k samnay bhi mout warid hoti rehti hai in se har giz sukoon hasil nahin hosakta maraqba is silsilay me ek aisi koshish hai jis koshish par ye tarzein mutaiyan hain k admi fani or madi cheezon se apnay zehen ko hata kar haqeeqi or la fani cheezon me tafakkur kare ye tafakkur jab qadam qadam chala kar ghaib ki duniya me kisi banday ko pohunchta hai to sub se pehlay is k andar yaqeen peda hota hai jesay hi yaqeen ki kiran dimag me phonti hai wo nazar kaam karnay lagti hai jo nazar ghaib ka mushahidah kati hai ghaib me mushahiday k baad kisi banday par jab ye raz munkashif hojata hai k sari kainat ki baag dor ek wahid hansi k hath me hai to is ka tamam tar zehni rujhan is zaat par markoz hojata hai or is markaziyat k baad istaghna ka darakht admi k andar shakh dar shakh phelta rehta hai.