Topics
sawal: insani zindagi ka daromadar itla par hai kia mout
k baad bhi itlaat ka silsila jari rehta hai? tasawwuf k hawalay se tashreeh
farmayn.
jawab: ye baat kai baar pori tarhan wazeh ki gai hai k
insani zaindagi ka daromadar mehez or mehez itla ya khabar k upper hai hum jab
zindagi me kaam karnay walay taqazon ka tajziya kartay hain to hamaray upper is
baat ka inkishaf hota hai k darasal zindagi me kaam anay wala har jazba khabar
ya itla hai ye baat bhi batai ja chuki hai k khana admi is waqt khata hai jab
isay bhook lagti hai pani admi is waqt peeta hai jab isay piyas lagti hai sonay
k liy bistar par is waqt letta hai jab isay sona hota hai neend se is waqt
bedar hota hai jab isay dimag is baat par amadah karta hai k mazeed sona
jismani or dimagi sehet k liy muzar hai apnay bacchon se piyar admi is buniyad
par karta hai k shaori or la shaori aitbar se ye baat is k ilm me hai k ye is k
bacchay hain agar cha wo dosray bacchon se bhi muhabbat karta hai or in k sath
shafqat se peesh ata hai lekin apni aulad or dosray ki auladme behre haal
imtiyaz barqarar rehta hai bacchay bahesiyat bacchon k sub barabar hain bholay
bhalay masoom chehray sub bacchon k hotay hain in ki piyari or khush karnay
wali batein bhi ek si hoti hain bacchon ka mizaj bhi taqreeban yaksan hota hai
lekin humy ye itla hai k ye bacchay hamaray hain or wo bacchay falan k hain ye
itla ya khabar muhabbat or shafqat me ek had fasil peda kar deti hai aurat ba
hesiyat e aurat k aurat hai duniya ki tamam autein ek se khado khaal par
mushtamil hain lekin jab rishta zer e behes ata hai to humy ye itla milti hai k
ye aurat hamari behen hai ye aurat hamari maa hai ye aurat hamari bewi hai
wagherah wagherah is ka saaf matlat ye hai k itla ny ek hi hansti k rishtay
alag alag mutaiyun kardiyek admi raat din mehnat kar k paseena baha kar rozi
hasil karta hai is rozi k husool k doran is k dimag me ye baat mojod hai k ye
rozi halal hai dosra admi pehly admi se buhut ziyada mehnat karta hai lekin is
k dimag me ye itla ya khabar ya ye mafhom mojod hai k ye rozi halal nahin hai
dono admi ata kharidtay hain atay se roti pakti hai or dono admi roti khatay
hain magar itla ki buniyad par ek khana halal qarar pata hai or dosra khana
haram qarar pata hai yehi haal hamari jismani sehet or bemari ka bhi hai bemar
honay se pehlay har admi k upper kam o besh ye kefiyat zaror tari hoti hai k wo
bemar hai natejay me wo bemar hojata hai ek admi acha khasa betha hua hai
tabiyat me agar kaslamandi hai aisab me zara sa khichawat hai wo is baat ka
izhar is tarhan karta hai k meri tabiyat kharab hai or mujhy bukhar honay wala
hai natejay me isay bukhar hojata hai jab tak koi admi bemari ki itla qubool
nahin kar leta wo har giz bemar nahin hota ye qanoon hai or bemari choti ho ya
bari is ki koi takhsees nahin hai ye baat bari ajeeb hai k koi admi apni marzi
se bemar hota hai lekin qanoon ye hai ya loh e mehfoz par ye likkha hua hai k
jab tak koi admi bemari ki itla ko qubool nahin karta bemar nahin hosakta yehi
haal mout ka bhi hai jab tak koi admi zehni ya shaori tor par la shaor me
zakherah mout ki itla qubool nahin karta wo har giz nahin marta ye bhi buhut
ajeeeb baat hai kiyun k admi is duniya me aisa peda nahin hua jo khud apni
marzi se marna chahta ho leki qanoon apnio jagah atal hai is liy k na sirf
zindagi bulkay mout bhi ek itla hai yahan ek aitraz kiya ja skta hai k
sahab!infaradi tor par ba amar majbori is qanoon ko maan letay hain lekin ye jo
hadsati moutein hojati hain ya jangon me hazaron lakhon admi mar jatay hain ye
to nahin chahtay k hum mar jay ek dushman ny hamla kar k in k upper mout
musallat kardi halan kay wo marna nahin chahtay thy aisa nahin hai fil waqiya
wo sub marna chahtay thy is liy mar jatay hain zindagi k tarz e amal ko agr
buhut ghor se dekha jay zindagi me kaam karnay wali tarzon ki chan phatak ki
jay or is k sath sath asmani sahaif k bayan karda qawaneen ka mutalla kiya jaay
to ye baat buhut asani se samajh ajati hai wo ye hai k admi ki zindagi hama
waqt har aan or har lamha do dairon me safar karrhi hai ek daira shaori hai or
dosra la shaori hai qudrat ny ye baat mutaiyyun kar di hai k is qisam k amal o
halat or is qisam ka tarz e amal qaoumon ko tabah kardeta hai or is qisam ka
tarz e amal qaoumon ki ragon me zindagi ban jata hai jo qoumain apni zindagi
yani roh se dor hojati hain wo qoumain mar jati hain is liy k marnay k matlat
ye har giz nahin hai k admi wajod takhleel hogya ya admi buniyadi tor p khatam
hogya mout ka matlab ye hai k insani jisam yani gosht post k jisam ka rishta
roh se munqata hogya infiradi tor par koi fard wahid roh se rishta munqata kar
le wo bhi marna hai or ijtimai tor par pori qoum apni roh se rishta munqata kar
le wo bhi marna hai yani kisi fard ya qoum ny is itlako qubool karliya hai jis
itla ka naam arf e aam me mout rakkha jata hai musalman man hais ul qoum jab
tak apni roh k sath wabasta rahay duniya me arooj patay rahay or musalman man
hais al qoum jab apni roh se dor hogay to mar gay marnay ki buhut si shaklein
hain koi waba a kar kha jay koi dush man shab khoon mar kar halak karde koi
bari taqat luqma tar samajh kar nigal ly qanoon apni jagah qanoon hai k qoum ny
is liy wo itla jo mout ka rop dharti hai intekhab kar lia tamam ambiya ka
mishan in ki taleem or tableegh haio k insan ko ye bata diya jaay k is ka wajod
sirf or sirf itla par qayam hai roh agar kehti hai k to zindah hai to wo zindah
hai roh agar kehti hai k to murdah hai to wo murdah hai mout ki qismain hain ek
mout tabi mout kehlati hai ek mout hadsati mout kehlati hai ek mout ijtemai
mout kehlati hai kisi mout ka naam mout rakkha jata hai or kisi mout ka naam
halakat rakkha jata hai or kisi mout ka naam shahadat rakkha jata hai yahan bhi
qanoon ki wahi dafa kaam karrhi hai k mout ki itla humy kin manoon me mosol hoi
aya hum tabai mout mar rahay hain ya kuttay billi ki mout marrahay hain ya hum
shahadat hasil karrahay hain hum jab is duniya se muntaqil horahay hain to
hmara thikana jahannum hai ya hamara thikana jannat me hoga jis itla me admi
mar jata hai marnay k baad wahi itla zindagi ban jati hai jab koi admi is
duniya me pareshan haal hai wo pareeshan khayali or khalafshar k azab me maar
gaya to wo seedha dozakh me gaya isliy dozakh ki itla ambiya se jo kuch humy
mili wo pareshan hali hai darmandigi muntashir khayali takleef o aziyat hai
wagherah wagherah is k bar aks agar koi bandah sukoon o ashna zindagi me dakhil
hokar rahat o sukoon k jazbat se mutassir ho kar or adam tahaffuz or dar or
khouf k jazbat se azad ho kar maarta hai to wo seedha jannat me jata hai is liy
k ambiya se jaanat k baray me jo itla humy mili wo ye hai k rahat hogi rahat o
sukoon hoga aram milay ga tarhan tarhan ki naimtein dastarkhuwn par humy
mayassar hongi wagherah wagherah ye baat hum sub jantay hain k dozakh jis
tabqay jis ilaqay ya jis abadi me ya jis kanton bharay medan ka naam hai wahan
wo log qayam karen gay jo ALLAH k na pasand dedah hain jinhon ny kabhi ye
koshish nahin ki k hum ALLAH ko pehchanay ALLAH se hamara talluq or rabta qayam
ho humy ALLAH ka qareeb naseeb ho or hum ALLAH k dost ban jayn dosra tabqa
jannat ka tabqa hai is tabqay me wo loog rahyn gay jin logon ny ALLAH se qurbat
hasil karnay k liy jaddo jehed ki wo loog rahyngay jin logon ny in baton se
aitraz kiya jo ALLAH or is k rasool ko na pasand dedah hain jannat me wo loog
rahyn gay jinhon ny quran ki taleemat ko is tarhan samjha jis tarhan
peghambaron ny samjha apni arzi zindagu me ALLAH k diy huy iktiyar ko is tarhan
istemal kiya jis tarhan peghambaron ny apnay ikhtiyarat istemal kiy jannat k
basi wo loog hongay jin k saron par ALLAH ny dast e shafqat rakh diya hai wo
ALLAH k dost hain ALLAH k doston ki tareef ye hai k in ki zindagi me na khof
hota hai or na huzn o malal hota hai or na ghum hota hai is ayat mubarka ki
tafseer me agar tafakkur kiya jayto ek hi baat samnay ati hai or ye baat aisi
hai jis ko koi baray se bra alam e deen baray se bara masnad nasheen gadi
nasheen baray se bara peer ro nahin karsakta ye k ALLAH k doston ko na khaouf
hota hai na gham or jin logo k andar ghum hota hai or khouf hota hai wo ALLAH k
dost nahin hosaktay or jo ALLAH k dost nahin hotay jannat ki fiza inhy qubool
nahin karti wo dozakh ka aindhan hotay hain agar kisi k andar khouf or ghum hai
to ALLAH k bayan kardah qanoon k mutabiq wo jannati nahin hai rohani qadron me
kisi shagird ya rah e sulook par chalnay walay musafir ki tarbiyat is tarhan ki
jati hai k is k dil se khouf ghum nikal jay khouf or ghum is waqt tak peecha
nahin chortay jab tak admi k andar qataat or isteganmojod na ho.
qataat
or istegna koi lafzi mama nahin hai ya koi hisaab ka heer pheer nahin hai
istegna fil amal ek kefiyat hai ek haqeeqat hai aisi haqeeqat jo haqeeqat
mutassil hai jab tak koi bandah haqeeqat se mutarruf nahin hota mushahidah
nahin karleta is waqt tak is k andar istegna peda nahin hota or agar hota hai
to wo itna hota hai to wo itna hota hai kmehez is ka tazkirah kiya jasakta hai
jis admi k andar jis munasbat se qataat or istefana mojod hai us admi k andar
isi munasbat se dar khof or ghum bhi kam hota hai.