Topics

NAMAZ KI IQSAM

sawal: rohani uloom k husool k liy maraqba karna kiyun zarori hai kia maraqbay k baghair ye uloom hasil hosaktay hain?

jawab: ALLAH nay anwa o iqsam ki makhlooqat peda kiin or har nou ki takhleeq ka kuch na kuch maqsad rakha isi tarhan ALLAH nay insan ki takhleeq bhi khaas maqsad k tehet k jab ALLAH tanha tha to wo ek chupay huy khazanay ki tarhan tha is chaha k koi isay janay koi isay pehchanay koi is ki buzurgi ko manay or koi is ki azmat ka aitraaf kare isi maqsad k tehet ALLAH nay insan ko takhleeq kiya ta k insan is ki azmat o kibriyai ka aitraaf kartay huy is ki niyabat ka bojh utha lay ALLAH nay adam ko ilm al asma sikhay yani apni sifaat ka ilm ata kiya ta k insan niyabat k faraiz ba ahsan tareeq poray kar sakay.

adam nay na farmani ki to jannat se nikalay gay is ki nafarmani k natejay me inhyn jo ALLAH ki qurbat or irfan hasil tha wo bhi mutassir hua adam nay na farmani ki mafi mang li or ALLAH nay muaaf bhi kardia magar jannat se nikalay janay ki wajah se qurbat or irfan jo mutassir hua tha us ka pori tarhan azala na hosaka yehi kefiyat nasal adam ko wirsa ma mili.

ALLAH nay adam ko peda hi is maqsad k liy tha k insaan is ki zaat  o sifaat se waqif hojay is ka irfan hasil kar lay magar na farmani ki wajah se is wasf se mehroom hogya.

phir ALLAH nay insan ko marfat hasil karnay ka ek program ata kia is program k natejay me insan ki ALLAH tak rasai honay lagi is program ka zikar quran majeeb me kiya gaya hai is me do batein buhut ehem or zarori hain qayam karo salat or ada karo zakat is program k do jizo namaz or zakat hain ye roh or jisam ka wazifah hain wazifa se muraad wo harkat hai jo zindagi ko qayam rakhnay k liy lazmi hai nabi kareem alehe salato wasalam ka irshad hai:

jab tum namaz me mashghol ho ti mehsos kar k hum ALLAH ko dekh rahay hain ya ye mehsos karo k ALLAH humay dekh raha hai

is irshad se ye baat wazeh hojati hai k namaz me aza ki harkat k sath sath zehen ka ALLAH ki taraf mutawajja hona bhi zarori hai sirf qayam ruku o sajod hi namaz nahin bulkay zehen ka ALLAH ki taraf ruju hona asal me namaz hai.

is tarhan namaz do qisam hogai ek namaz to aisi hogai jis me insan ALLAH ki taraf se ghafil hojata hai jis k baray me quran me aya hai: or wo loog jo namazi hain or apni namazon se be khabar hain aisi namazein in k liy halakatein or barbadi ban jati hai.(surat al maoon)

aam tor par hota yehi hai k idher niyat baandhi or udher film chalnay lagi jisam namaz k liy mojod hota hai magar dimag ghair hazir rehta hai dimag idher udher ki batein sochta rehta hai agar jamat me shareek hai to ye nahin pata chalta k imam nay kia qirat ki or agar tanha parh raha hai to khud kiya parha baan dafa ruku me sajodd me garbar hojati hai k bandah namaz me hotay huy bhi namazon se ghafil hota hai in hi namazon ko insan k liy halakat o barbadi kaha gaya hai haqeeqat to ye hai k aisi namazein insan me buhut se naqais peda kar deti hain maslan

(1) aisay namazi k zehen me ye baat jam jati hai k wo chunkay pabandi se namaz parhta hai is liy isay ALLAH ki khusosi tawajja hasil hai.

(2) is k zehen me ye ghoror peda hojata hai k jo loog namazi nahin hain wo is se kamtar hain.

(3) or aisay namaziyon par shetani ghalba ziyadah karta hai.

(4) ye loog jins se buhut mutassir hotay hain.

(5) aisay loog qanotiyat ka shikar buhut jald hojatay hain.

(6) in k andar zehni wasat nahin hoti zehen mehdod dairay me band hota hai.

(7) aisay loog acchai par amadah der se hotay or burai se foran mutassir hojatay hain.

(8) ghair namazi kitnay hi acchay kaam karen kitni hi naiki k kaam anjam den in ki naaza me ye loog buray hi hotay hain.

(9)ghafil namazi jab dua mangtay hain to ye samajh kar k chunkay wo namazi hain is liy in ki dua qubool hojay gi maagar adam qabooliyat ki surat me sara ilzam ALLAH par daltay hain.

mandarja bala namaz aisi namaz hoti hai jisay nafs ki namaz kehna chahiy aisi namazon se faiday ki bajay ultay nuqsanaat hotay hain dosri namaz wo hai jis k baray me nabi kareem alehe salato wasaln ka irshad hai:

ALLAH nay farmaya: menay tumhari ummat par panch namazein farz ki hain or menay is ka zimma liya hai jo shakhs in panch namazon ko in k waqt par ada karnay ka ahtemam kare is to me apni zimma dari par jannat me dakhil karon ga.

wo namazein jo khush o khuzu or huzoori k sath parhi jayn ALLAH nay aisi hi namazon ki zimma dari li hai or aisi hi namazon ko jannat me dakhil kare ga aisi namazon ko haq ki namazein kehna chahiy jo loog haq ki namazein parhtay hain inhi k liy namaz rehmat ka sabab banti hai haq ki namaz parhnay walay k baray me k jab aisa admi namaz k liy qayam karta hai to jannat k darwazay khul jatay hain namazi or ALLAH k darmiyan tamam parday hat jatay hain aisi hi khuzu o khushu or huzoori namaz me jab bandah sajdah karta hai to is ka sir ALLAH k qadmon me hota hai na sirf ALLAH ki qurbat ka ehsas hota hai bulkay baaz aukat iska lums bhi mehsos karta hai aisi hi namaz ko mominon ki meraaj kaha gaya hai.

hazrat abu bakar jab namaz qayam karnay k liy kharay hotay thy to in k upper shiddat se riqqat tari hojati thi or gudaz se mamoor fiza me ghair muslim aurtein or bacchay bhi ronay lagtay thy.

hazrat umer farooq qayam salat me itnay zor se rotay thy k ronay ki awaz pichli siif tak pohunchti thi.

hazrat ali ki raan me ek teer laga or aar paar hogya jab teer nikalnay ki koshish ki gay to aap ko buhu takleef mehsos hoi kisi sahabi nay mashwarah dia k teer is waqt nikala jaay jab aap namaz me hoon chunacha aap nay namaz ki niyat bandhi or is had tak yaksoi hogay k gar do peesh ki koi khabar na rahi teer ko nihayat asani k sath nika kar marham patti kar di gai or aap ko takleef ka qatan ehsas na hua.

hazrat zain ul abdeen ek roz masjab me namaz ada karrhy thy k yakayak masjid k chappar me aag lag gai or anan fanan bharak utthi lekin ap badastoor namaz me masroof rahay ye waqiya dekh kar loog jama hogay buhut shoor machaya lekin apko khabar tak na hoi jab aap namaz se farig huy or bahar tashreef lay to logon nay arz ki k hazrat hum nay to itni zor zor se awazein din lekin ap nay parwah tak na ki aap nay farmaya k tum mujhy duniya ki aag se bachanay ki koshish karrahy thy magar me is waqt khuda k darbar me khara tha.

hazrat sufiyan ek din khana kaba k qareeb qayam salat thy jab aap sajday me gay to kisi dushman nay paon ki ungliyan kaat din salam pheera to khoon para hua dekha or phir pao me takleef mehsos ki tab ap ko maloom hua k kisi shakhs nay ungliyan kaat dali hain.

hazrat abbu al khair aqta k pao me akla tha tabibon nay mashwarah dia k pao katwa dena chahiymagar wo razi na huy ap k mureed nay tabibon se kaha k namaz ki halti me in ka pao kaat dia jaay kiyun k is waqt inhy khabar nahin hoti chunacha aisa hi kiya gaya jab wo namaz se farigh huy to dekha k pao kata hua tha.

in waqiyat se ye baat wazeh hojati hai k haq ki namaz ada karnay walay kis tarhan zehni yaksoi huzoori or khuzu o khushu k sath ALLAH k samnay hazri detay hain is waqt in ki kia kefiyat hoti hain.

ghafil namazi nafs ki namaz parhnay wala kis tarhan haq ki namaz ada karnay walay k barabar ho sakta hai ek admi amanat rakhta hai magar khayanat karta hai dosra admi na amanat rakhta hai na khayanat ka martakab hota hai.

namaz me jo khuzu  o khushu ikhtiyar nahin karta jis ka zehen idher udher bhatakta rehta hai jo ALLAH k samnay hazir ho kar dosri masroof ho ALLAH kis tarnhan ko muaf kare ga to wo ALLAH ka mujrim hai to isay ALLAH ki rehmat kis tarhan hasil hogi tark salat walay ko to hosakta hai ALLAH muaf karde magar ghafil namazi ki to apni namazein hi halakat ka sabab ban jayn gi.

zehni yaksoi k liy maraqba ki mashq ki jaay or jab zehni yaksoi ki adat ho jaay to phir wo namaz asani se ada ki ja sakti hai jis k zariy irfan hasil kia jasakta hai or ghaib ki duniya se waqfiyat hasil ki ja sakti hai.


Taujeehat

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI


DIL ALLAH KA GHAR HEY IS GHAR MEIN, MEIN NEY AZEEMI KEHKASHAN DEKHI HEY. ALLAH KI MAARFAT AS MUNAWAR TEHRER KO AZEEM KEHKASHAUN KEY ROSHAN CHARAGHON KEY SUPERD KERTA HOON TAKEH WO IS NOOR SEY APNEY DILON KO MUNAWAR KAREN