Topics
sawal: aap aksar logon ko mukhtalif takleef k azalay k
liy negeto beeni ka mashwarah detay hain me ye pochna chahta hoon k negeto
dekhnay se kia faidah hota hai?
jawab: duniya me koi bhi tareeqa elaaj ho ailo pethi
yonani homeo pethi wagherah har tareqqa elaaj k peechay ek thoery hoti hai or
is theoty k paas e manzar me logon ka tajarba hota hai.
koi admi ye keh sakta hai bukhar konain ki ek goli kha
lenay se kis tarhan utar jata hai to zahir hai is ka jawab yehi hoga k is dawa
me bukhar ko kaam karnay ki taseer mojod haiisi surat se aiko pankchure ek
tareeqa elaaj hai or china me hazaron saal se raij hai inhonnay jisam par kuch
points muqarrar kiy huy hain soi se in points ko chera jata hai is ka nateja ye
hota hai k k ek point se dosra point chunkay jura hua hai to soi ki nook jab ek
siray par lagti hai to jisam k andar ek khaas qisam ka current flow hota hai
apnay dekha hoga k pair me soi lagti hai to poray dimag me jhunjhunahat si hoti
hai kabhi apko cunti kaat lay to dimag me
jhunjunahat si mehsos hoti hai jis system k upper ye jisam qayam hai is
system ko cher denay se chemical changes peda hoti hain or in chemical
tabdeelion ki buniyad par insani jisam me tabdeeli hojati hai.
isi surat se yonani elaaj hai inka tareeqa elaaj ye hai k
wo ye kehtay hain k sahab jisam k andar agar kuchaisi ratobatein jama hojayn
jin ka kharij hona zarori ho to is se kai qisam ki bemariyan peda hojati hain
jin se yani is tareeqa elaaj me jo akhlaat zaid hojayn in ka tadraak kia jata
hai ab ye bhi sawal hai k jari boti jisam me ja k kesay khilat ko saaf kardeti
hai is ka bhi jawab yehi hai k har jari boti k andar apni ek khasiyat hoti hai
is khasiyat ki buniyad par jisam k andar jo zaid ratobatein hoti hain wo nikal
deti hai or jin cheezon ko mehfoz rakhna hota hai un ko mehfoz kar leti hai.
to ab baat ye samnay ay k is zameen par jo kuch bhi hai
nabatat hoon jamadaat hon ya hewani ajza hoon har ek ki apni ek khasiyat hoti
hai ek tareeqa elaaj to ye hua k marz ki kefiyat dekh karaisi koi dawa tajweez
ki jaayjis me ye khasiyat ALLAH nayrakh di ho k is makhsos marz ka is se azala
hojata hai ye ek madi elaaj hai.
is k bar aks ek or elaaj hai jis ko aap rohani elaaj
kehtay hain madi elaaj me or rohani elaaj me kuch farq hai go k rohani elaaj
walay bhimadi cheez ka sahara letay hain cheez ki khasiyat ko badalnay me tabdeeli
hojati hai maslan jesa k abhi wajahat sahab nay sawal kia k negetive bana kar
dekhnay se kis tarhan ka faidah hojata hai kis qisam k marz khatam hojatay hain
nafsiyati amraz me maslan depression tension neend na anay ki shikayat khouf
waghrah bator rohani elaaj hum nay kai
martaba negeto bini ka mashwarah diya hai jesa k menay tamheed me ap se bayan
kiya k har cheez me khasiyat hoti hai is kaliya k tehet negeto me bhi kuch
khasiyat mojod hai is me do batein zer e behes ati hain ek to ye k ye elaaj ziyadah
tar dimagi amraaz me istemal hota hai maslan depression me k ek shakhs ko
mukhtalif munfi khayalat atay hain maslan ek admi ko khayal ata hai k meray
upper jaddu hai to is ka matlab ye hai k is mareez ka zehen ek munfi khayal par
teher gaya dilchasp baat ye hai k wo ek taraf to is kefiyat se nikalna chahata
hai lekin sath sath wo nikalna nahin bhi chahta.
ab
iska rohaniyat me tareeqa elaaj ye hai k jis admi ka zehen ek khayal par markoz
hogya or qayam hogya is banday ko is khayal se hata kar ye dosray khayal me
daal diya jaay munfi khayal se hatanay keliy rohaniyat me ye tareeqa hai k is
banday ko jis khayal me wo giraftar hai is ko ye na kaho k ye galat hai ye bhi
na kaho k is ko choro is liy k wo khud hi chorna chahta hai jab wo chornay me
nakam hota hai tab hi wo apkay pas ata hai wo ye kehtay hain k is khayal ko
hata k ek jagah se dosri jagah ly jao khayal ko kisi ek nuqtay se hata kar
dosray par markoz karna ek mashq hoi ab negetive bini k amal ki amli tawajjiha
ye hai k takhleeq k do rukh hain ek masbat rukh hai ek manfi rukh hai ek nagetive hai ek positive sari kainat bhi
negetive or positive par bani hoi hai camera se tasweer kashi k zariy is ki
misaal is tarhan di ja sakti hai k jab camera se hamari tasweer utaari jati hai
to pehlay negetive banta hai ye negetive ulta hota hai or jab is negetive ko
dosray kaghaz par palta jata hai to wo tasweer seedhi hojati hai ye ulta hona
seedha hoona ek musalsal amal hai or hamaray sath sath chal raha hai is baat ko
jab hum istarhan bayan karen gay hamaray jisam jo humay seedha naazar araha
haiye positive hai or jis negetive ki ye tasweer hai wo negetive roh hai roh
ALLAH k ek system k tehet apni ek tasweer banati hai isay jisam kehtay hain
gosht post or haddiyon k is jisam ka jab hum nay camera k zariy negetive banaya
to hua ye k hamari jo seedhi tasweer hai ye tasweer ulat gai or ulat kar
negetive hogainegetive honay ka matlab ye hua k ye tasweer negetive honay k
baid kaha jasakta hai k ye tasweer roh se qareeb hogai kiyun k roh negetive hai
or jisam positive hai jab positive ka negetive bana to jisam jo hai roh se
qareeb hogyaroh me bemari nahin hoti roh me koi pareshani bhi nahin hotiroh me
time and space bhi nahin hota roh ko nazla khansi bhi nahin hoti or roh ko
dimagi marz bhi nahin hotato jab ek mareez positive ki hesiyat se negetive ko
bar bar dekhay ga or is ki taarfa mutawajja rahay ga to is ka matlab ye hua k
ap is baat ko jaan nahin rahayn hain lekin aap jismani o zehni tor par apni roh
ki taraf mutawajja horahay hain ab jitni tawajja apki roh ki janib muntaqil
hogi jitnay ziyadah ap roh k sath yakso hojayn gay itnay hi ziyadah muntashir
khayalaat toot kar roh k ek nuqtay par markoz hojayn gay or isis hisaab se roh
ki tehreqat roh ki roshniyan positive ko muntaqil hojayn gi ab aap yun samjhayn
k ek admi ka negetive hai is negetivek upper dhabbay daal den ab aap is
negetive se ek lakh tasweerein banayn gay to is ek laakh tasweeron me dhabbay
zaror ayn gay lekin agar negetive saaf hai to jitna negetive saaf hoga utni hi
tasweer saaf ay gi khobsurat ay gi roh me dagh dhabbay nahin hain roh me bemari
nahin hai jab hum bar bar roh ki taraf mutawajja hongay to zahir hai roh ki
tehriqat bhi humay muntaqil hongi or jab roh ki tehreeqat humay muntaqil hojayn
gito jo apko khayalat sata rahay hain bemari se mutalliq o ap bhool jayn gay or
jab wo khayalat ap bhool jayn gay to sehet ki janib qadam uthayn gay to
positive ki hesiyat se ek nuqtay se hat jayn gay isi bemari se mutalliq zehen
me khayalat kamzor partay jayn gay or sehet ki taraf qadam barhayn gay.