Topics
sawal: jannat ki seer me syedah khatoon azeemi nay ek
jaga khuwab bayan kartay huy farmaya hai k farishtay jin duaon ko maqboliyat k
qabil nahin samajhtay inhyn asman se phenk detay hain jaab k irshad e khua
wandi hai k logo mujhay pukaro me sunon ga mujjh se dua mango me ddon ga insan khuda
se dua k zariy mangta hai dua k zariy khuda ko pukarta hai to farishtay dua ko
qubool kiyun nahin samajhtay asman se kiyun phenk detay hain?wazahat farma den.
jawab:
baat seedhi hai k har cheez k adaab or asool hain dua mangnay k bhi adaab hain
kuch bhi mangnay k asool hain maslan beta baap se kahay k abay abba paisay
nikal abba isay paisa nahin dengay bulkay thappar mar den gay or kahyn gay k
jaoi door hojao dafa hojao or agar wahi beta ye kahay ga k abba gi mujhay
paisay chahiy mujhay paison ki zarorat hai to abba do rupoon ki bajay isay
panch rupay den gay mojodah door me jo duayn mangi jatin hain aap is par zara
ghoor karen k is k andar na gudaz hota hai na ajizi na inkisari hoti hai bulkay
ek order hota hai ALLAH miyan ye kar de ALLAH miyan ye kar de is me na adab hai
na ehtraam hai na gudaaz hai na yaqeen hai to wo duayn farishtay asman se
neechay phenken gay to kiya karen gay?me 60 saal se ek baat sunta arnha hoon k
ya ALLAH bani israel ka berah gharq kar de hajj me bhi yehi dua hoti hai har masjid
me bhi yehi dua hoti hai har madarsa me yehi dua hoti hai or lakhon karoron
admi ameen kehtay hain lekin ye dua qubool nahin hoi 60 saal to hogay hum ko
suntay huy jitna dua mangtay hain k bani israel ka berah gharq hojay itna hi
bani israel ka urooj horha hai akhir kia matlab hai ?60 saal kia kisi dua k
qubool honay k liy kam waqt hai karoron musalman ye dua mang rahay hain k bani
israel ka bera gharq hojay magar bani israel ka bera gharq nahin hita jabkay
ALLAH nay farmaya hai k mujh se mango me dunga me qubool karonga tum dua mujh
se mango to sahi jab aap dua k adaab hi poray nahin karen gay ALLAH k upper
yaqeen nahin hai ALLAH zubani jama kharch ko nahin mangta quran kareem me hai
amal se qoumon ki taqdeeron me raddo badal hota hai is waqt surat e haal ye hai
k hamaray amaal hi quran k mutabiq nahin hain har admi janta hai k jhoot bolna
gunah hai magar wo jhoot bolta hai har admi janta hai k kisi ki dil azari karna
buhut bara paap hai lekin har shohor biwi ki dil azari karrha hai aap ghoor
karen k muashray me kis qadar buraiyan dakhil hogain gain is muashray me kesay
ap ki dua qubool hogi kis baat par aap ALLAH se ye tawaqqa rakhtay hain k wo
apki dua qubool karen gay musalman har wo kaam karrha hai jo rasool alehe
salato wasalam ko napasand hai jin logon se ALLAH ka talluq hai bila shuba
ALLAH in ki dua qubool kartay hain aisa nahin hai k sub ki duayn rad hojati
hain jin logon ka ALLAH se talluq hai
ALLAH us ki dua qubool karta hai mera beta salam arif azeemi bata raha tha k
jama masjid rawalpindi me ek molvi sahab taqreer karraahy thy inhon nay dua
karai ya ALLAH aisa kar k bani israel ka bera gharq kar de aisa kar k kufar is
duniya se neest nabood hojayn joosh khitabat me kehnay lagay k ya ALLAH bani
israel ki topon me keeray daal de yani toop ko ALLAH insan bana de ata bana de
or is me keeray daal de ye kitni bari be adbi or gustakhi hai k admi ko ye bhi
pata nahin hai k me kis k samnay khara hoon or kia mang rahay ho to dua kesay
qabool hogi ?dua wahi rad hoti hai jis k sath gudaz na ho jis k sath dili
talluq na ho or jis k sath yaqeen na ho agar dua me gudaz hai agar dua me apka
dil shamil hai agar dua k sath sath yaqeen hai to wo dua zaror qubool hogi
haqeeqat ye hai k ALLAH khali dua ko nahin mantay ALLAH farmatay hain k pehlay
amal karo phir dua karo phir me dua qubool karon ga huzoor alehe salato wasalm
ki zindagi hamray samnay hai huzoor nay pehlay amal kia phir dua farmai aap ko
jitnay mujahid mayassar ay inhyn lay kar medan me jehad k liy tashreef lay gay
phir arz kiya ay meray ALLAH me itnay banday hi lasakta tha ab aap hamari madad
karen ALLAH nay dua qubool kar k farishtay nazil kar diy to baghair amal k dua
qubool nahin hoti amal k sath sath gudaz hona chahiy yaqeen hona chahiy to aisi
duayn qubooliyat k darjay par faiz hoti hain.