Topics
sawal: kitaab jannat ki sair me maraqba k baray me parhez
or ehtiyat k silsilay me pehla nuqta bayan kia gaya hai k rohani taraqqi k liy
mithas kam se kam istemal ki jay magar aap aksar mithas ziyadah istemal karatay
hain or namak kam istemal karnay ka mashwarah detay hain?is ki wazahat karen.
jawab:
rohani digest me hum bemariyon ka elaaj or masail ka hal peesh kartay hain
apnay dekha hoga k hum jahan par batatay hain k namak kam se kam kar diya jaay
wo rohani taskeen k liy nahin kehtay bulkay nafsiyati mareez k liy mashwarah
detay hain dimagi mareez nafsiyati mareez pagal pan k mareez in k liy hum
kehtay hain k namak kamkardo or mithas ziyadah kardo is ki wajah ye hai k
mithas insan ki zameni shaoor ko pohunchati hai agar mithas kam hojay to insan
ka zameeni shaoori kamzor hojata hai jab shaoor kamzor hojata hai to basa aukat
isay mawrai awazein anay lagti hain mawrai duniya nazar anay lagti hai wo is
awaz k apnay hisaab se mani pehnata rehta hai chunkay amli zindagi se is ka koi
talluq nahin hota is liy ye ek qisam ka pagal pan jata hai jitna koi admi
mithas ziyadah khata hai isi munasbat seis k zameeni shaoor me kashish e saqal
peda hojati hai or phir wo duniyawi zindagi ziyadah acchi tarhan guzarta hai is
k bar aks agar is k andar shak ki ziyadti hojay to is ka shaoor kamzor hojata
hai or la shaoor mutahrrik hosakta hai or la shaoor mutahrrik (active) honay se
duniyawi kaam me khalal peda hota hai kiyun k is k peechay koi ustaad to hota
nahin hai wo is me apnay hi aap mani pehnata rehta hai is tarhan wo apnay liy
pareshani khareed leta hai or ghar walooon k liy bhi azab ban jata hai dimagi
amraaz tension , dipression(agar low blood pressure na ho)mirgi ,high blood
pressure,marz e istafa , jildi amraaz be khuwabi or shezo freniya me namak ka
ziyadah istemal buhut ziyadah muzar hai mualij k mashwarah se namak k istemal
me ehtiyat karna zarori hai.