Topics
sawal: faiz se kia muraad hai murshad jab apnay mureed ko
faiz muntaqil karta hai to wo kia cheez muntaqil karta hai kia is ka talluq
mawrai lehroon se hai mawrai lehrein agar muntaqil hoti hain to mureed k upper
kis qisam k tassuraat qayam hotay hain?
jawab: dosray uloom ki tarhan rohaniyat bhi ek ilm hai
koi bhi ustaad apnay shagird ko ilm muntaqil karta hai jis tarhan duniya uloom
ka ustaad kisi ko apna ilm muntaqil karta hai isi tarhan rohani ustaad is k
naam peer o murshad ho is ka naam rohani ustad ho behr e haal wo rohani ustaad
hai jis tarhan duniyawi uloom ustaad apnay shagird ko muntaqil karta hai isi
tarhan rohani ustaad rohaniyat muntaqil karta hai farq sirf itna hai k duniyawi
uloom me ustaad ki jo tarz e fikar hai is se admi kafi had tak mutassir hota
hai apnay ustaad ki jo tarz e fikar hai is ko qubool kar k is k mutabiq chalta
hai lekin jab rohani ustaad ya rohani shagird ka tazkirah ata hai or koi rohani
ustaad rohaniyat muntaqil karta hai to ustaad ki tarz e fikar muntaqil hojati
hai maslan ek rohani admi k liy zarori hai k is ka tawakkal ALLAH k upper ho is
k andar istaghna ho jab achay halat
hotay hain ALLAH ka shukar adaa karta hai or jab wo kharab halaat se guzarta
hai to ALLAH se ruju karta hai ALLAH se mafi mangta hai astaghfar karta hai or
ye bhi sochta hai k is me bhi koi behtri hai ab jo pareshani lahaq hai is me
bhi ALLAH ki taraf se behtri hai lekin hum kamzor hain zaeef hain in
pareshaniyon ko bardasht nahin kar saktay aap humay muaaf karden hamaray liy
accha rasta khool den maqsad ye hai k rohaniyat ek tarz e fikar hai or rohani
uloom ka talluq tarz e fikar se hai or wo tarz e fikar ye hai k rohani admi ka
zehen hama waqt ALLAH ki taraf mutawajja rehta hai tamam peghambaron ki
taleemat par agar ghoor kiya jaay or alhami kitaboon ka agar khulasa bayan kia
jaay to ek hi haqeeqat samnay ay gik bandah ka ALLAH k sath ek rishta hai ek
talluq hai bandah makhlooq hai ALLAH khaliq hai jab banday or ALLAH ka rishta
istewar hojata hai to bandah apnay har amal ko ALLAH ki taraf moor deta hai
maslan agar wo khana khata hai to khana khanay k baad ALLAH ka shukar ada karta
hai k ALLAH nay mujh ko wasail mohaiia kiy pehlay accha khana khaya phir ye k
ALLAH nay mujh ko accha hazma diya ye nahin hua k me khana kha kar qay kardoon
khana kha kar ishaal hojaon matlab ye k khana menay khaya wo pait me rahn or
hazam hua or is ka khoon bana khoon se energy ban karjisam me door rahi hai wo
musalsal ghoor o fikar sabar shukar k amaal se ye jaan leta hai k zindagi me
bandah ka apna zati amal dakhal kuch nahin hai ek admi khana khata hai agar
andar ki machinery band hojay agar antein chalna band hojayn to khana hazam
nahin hoga bandah ki ye tarz e fikar ban jati hai k insan dar bast ALLAH k tabe
hai or jo kuch horha hai wo ALLAH karrha hai or jo bhi kuch is ko mil raha hai
wo ALLAH ki taraf se mil raha hai muttaqi logon ki ye pehchan hai jin ka emaan
mukammal hai wo kehtay hain k jo kuch bhi hai sub hamaray rab ki taraf se
hai.(al quran)
agar ALLAH barish na barsay zameen na banay ALLAH dhoop
na nikalay ALLAH chand na nikalay ALLAH zameen me pani na peda kare to zameen
me koi cheez uug hi nahin saktiaap zameen nahin bana saktay aap pani nahin bana
saktayaap beej nahin bana sktay agar gehon ka beej zameen se na peda hojay to
batayn wo kon si aisi science hai jo beej bana degi jo bhi cheez aap istemal
kartay hain wo behr e haal qudrat ki peda kardah hogi hum zameen ki pedawaar
barhanay k liy khaad istemal kartay hain agar qudrat zameen me wo cheezein peda
na kare jin se khaad banti hai to khaad kesay ban sakti hai maslan aap apni
marzi se peda bhi nahin kar saktay agar ALLAH na chahay kon admi peda hosakta
hai ALLAH pedaishi pagal peda karde kon sa aisa aisa elaaj hai jo pagal pan ko
sahi kar de pagal pan ka koi elaaj hi nahin hai nai nai bemariyan peda hoti
hain maslan cancer cancer ka abhi tak elaaj hi darfiyat nahin hua hai itnay
baray baray science daan hain wo kehtay hain hum chand par chalay gay khala me
chehel qadmi kar aay hain or ye hogya hai wo gaya hai in k baray saray margay
wo sciencei ejadaat se mout k hath me kiyun panja na daal sakay? mout ko kiyun
nahin marsakay jab hum ghoor kartay hain apni zindagi par zameen ki zindagi par
aindah mustaqibil k upper mazi k or is k siwa humay kuchnahin ata k jo kuch
horha hai ALLAH k hukum se horha hai or ALLAH karrha hai maslan jab baccha peda
hota hai ALLAH maa baap k dil me muhabbat daal deta hai agar maa k dil me ALLAH
muhabbat na dalat to baccha ki parwarish hi nahin ho sakti.
maa chahay billi ho bakri ho bhens ho insan ki maa ho jin
ki maa ho kisi ki bhi maa ho ek nizaam hai k jab baccha peda hotaa hai is ki
parwarish k liy is ki nasho numa k liy ALLAH maa baap k dil me muhabbat daal
deta hai agar ALLAH maa baap k dil se mohabbat nikaal lay to koi baccha
parwarish nahin pa sakta pedaish se pehlay ALLAH maa k seenay ko doodh se bhar
deta hai is me maa kon ca qirdar ada karti hai doodh banay may aap jitna bhi
gehrai me tafakkur karen to apko ek hi baat nazar aygi k insan kuch nahin
karrha hai sub kuch ALLAH karrha hai ye insan ki nadani hai k insan samajh raha
hai k sub kuch me krraha hoon accha sub kuch aap karrahay hain to karobar me
nuqsan kiyun hota hai aap bemar kiyun hotay hain hazrat Ali se kisi nay pocha
ap nay ALLAH ko kesay pehchana to inhon nay farmaya k idaron ki nakami se jo
nahin chahta wo hota hai or jo me chahta hoon wo nahin hota.
iradahtak to aap ko ikhtiyar nahin hai aap dekhtay hain
aap apni zindagi ka tajziya karen bhook hai bhook khud lagti hai koi admi bhook
par control hasil nahin kar sakta k me to saari zindagi roti nahin khaon ga mumkin
hi nahin hai khana khana paray ga isay me pani nahin peeta pani peena paray ga
isay mafhoom wazeh hai agar is ko zindah rehna hai to pani peena hi paray ga
koi admi saari zindagi so hi nahin sakta uthna paray ga koi admi saari zindagi
bedar nahin reh sata sona paray ga koi
admi saari zindagi bekar nahin beth sakta chalna paray ga kon sa aisa maqam hai
aap ki zindagi me meri zindagi me zameen ki zindagi me k hum keh saken hamari
zindagi hamari apni zati zindagi hai is phulsapha ko to aap aqli tawajjiha or
daleel k sath bayan bhi nahin karsaktay aap nahin keh sakay k aap ALLAH k
mohtaj nahin hain maslan sciencei ejadaat mezael atom bum or dosri aam ejadaat
in ka talluq ksi bhi shuba se ho sari ejadaat cheezon se bani hain jo pehlay se
mojod hain agar gandhak na ho noshadar na ho to barood na banay ga aap ek
patakha bhi nahin bana saktay koi
science daan zameen bana kar dekha de or zameen k andar jitni salahiyatein hain
jitni madniyat hain wo bana kar dekha de zameen k upper pehlaay se mojod
uranium daryaft hoi to atom bum bana kar ALLAH zameen me uranium na peda kartay
to atom bum nahin ban sakta tha is me lohay ki zarorat hai loha na ho to mizael
to bari baat hai aap keel bhi nahin bana saktay jitni bhi kainat me cheezein
hain or jitni bhi ejadaat or taraqqi hoi adam se ly kar ab tak is me wasail
zaror zer e behes ayn gay zameeni wasail ko agar aap nazar andaz karden to koi
ejaad mumkin nahin hai ALLAH khud chahtay hain k nai nai ejadaat hoon wo khud
dawat de rahay hain k science daan wasail istemal karen quran paak me ALLAH
miyan ka irshad parhayn hum nay loha is liy nazil kia hai k loog is se ziyadah
se ziyadah faidah uthayn ab aap dekhyn k aap jahan bethyn hain wahan apko das
jagah loha nazar ayga chat me lohay ka gard darwazay me kundi khirki me griil
kunwayn k upper dool khinchnay k liy charkhi pani lay janay k liy paip zameen
khodnay k liy belcha kharpa baar katnay k liy lohay ki bari saari kenchi or
janad lohay se muraad dhaat hai is me aluminuim bhi hai tamba bhi hai petal bhi
hal agar tamam dhatoon ka ek naam loha rakh liya jaay to aap dekhein k k har
jagah lohay ka istemal aap ko milay ga atom bum me mezael me rail ki patri me
pani k jahaz me wagherah wagherah ALLAH khud keh rahay hain k menay jo wasil
peda kardiyin ko tum istemal karoor ye wasail k liy peda kiy gay hain k in k
istemal se insan nai nai ejadaat kare gharz ye k zameen par kuch bhi takhleeq
ho ALLAH k banay huy wasail se hi takhleeq hoti hai.rohani ustaad jo ilm
muntaqil karta hai wo ye hai k bandah ka ALLAH se aisa rabt or talluq qayam
hojaay k bandah behtreen ghiza khaay behtreen libaas pehnay behtreen ghr me
rahay behtreen khushbo behtreen bagh lagay darakhtoon k saay tewar ki awazein
sunay hua se jhoomtay darkhtoon k saaz sunay lekin zehen ALLAH se idher udher
na ho.
misaal: aap din bhar kaam kartay hain khana bhi khatay
hain chaltay bhi hain gari me safar kartay hain daftar bhi jatay hain lekin din
ki roshni me apna zehen kabhi nahin hat ta ikhtiyari tor par ya ghair ikhtiyari
tor par agar din ki roshni se apka zehen hat jaay to apkay samnay tareeki ajay
gi or aap chal phir saken gay na parh saken gayraat hoti hai raat ki tareeki
bhi ek roshni hai jitnay raat k kaam hain maslan sona araam karna zehen ka
sukoon wagherah wagherah agar raat ki roshni se apka zehen hat jaay to ap raat k
kaaam nahin kar saktay hamari zindagi ka tajarba hai k hum din me rehtay huy
ikhtiyari tor par or ghair ikhtiyari tor par roshni se alag nahin ho saktay to
aisi surat me jis ALLAH nay roshni banai is ALLAH se hum kiyun rishta nahin reh
saktay dar asal ye ek practice hai is baat ki k hamara zehen ye jaan lay k hum
roshni me chal rahay hain roshni me kha rahay hain roshni me likh rahay hain
roshni me so rahay hain haqeeqat ye hai k roshni hamaray upper moheet hai.
rohani ustaad jo apnay shagird me aisi tarz e fikar
muntaqil kar deta hai k wo kuch bhi kare shadi kare bacchon ki tarbiyat kare
karobar kare jis tarhan din ki roshni is k upper moheet rehti hai or wo saray
kaam karta hai is tarhan ALLAH is par moheet hojata hai or quran paak ki inayat
ki tasdeeq hojati hai.
tarjuma: "ALLAH har cheez par ahata kiy huy
hain"
duniyawi or rohani uloom me buniyadi farq ye hai k rohani
ustaad agar is ko rohaniyat ati hai to mureed ko wo tarz e fikar muntaqil
kardeta hai jis tarz e fikar me apka or ALLAH ka barah e rast rishta qayam hai
aap kuch bhi karen jahan bhi jayn apka zehen ALLAH ki taraf se nahin hatay ga
or apkay andar ye tarz e fikar muntaqil hojay gito zahir hai apko ALLAH se
jitni qurbat muntaqil hogiutnay hi ap ALLAH k dost ban jayn gay ALLAH k qareeb
hojayn gay dosti kise kehtay hain?qurbat or dushmani ka matlab hai doori jab
aap ALLAH se qareeb hogay ALLAH nay quran kareem me farmaya diya hai k
tarjuma: ALLAH k doston ko ghum o khouf nahin hota aap ki
zindagi jo dozakh bani hoi hai agar ALLAH se qurbat hasil hojay to ye saari
zindagi jannat ban jay gi.
jannat kia hai? jannat ki khososiyat ye hai k jannat me
tajalli ka dedar hoga agar jannat me ALLAH ka dedaar na ho to jannat ka koi
musrrif nahin rahay ga dozakh ALLAH se doori ka naam hai to is duniya me aap ALLAH
se qareeb hogay to ALLAH se apka rishta is tarhan jurgaya k aap kha rahay to ap
k samnay ALLAH hai jesay din ki roshni aap k samnay pehen rahay hain to ALLAH
aap k samnay hai jesay din ki roshni aap k samnay aap ka karobar karrahy to aap
k samnay ALLAH hai jesay din ki roshni ya raat ki tareek roshni apkay samnay
hai.
huzoor
ka irshad girami hai k har admi apni jannat dozakh sath lay phirta hai makhlooq
me se qareeb tareen bandah ALLAH ka agar koi hota hai to wo peghambar hota hai
peghambaron ki tarz e fikar jab aap ko muntaqil hogi to aap bhi ALLAH se qareeb
hojayn gay rohani ustaad ka ye buhut bara wasf hai k wo apnay shagird k andar
wo andar wo tarz e fikar muntaqil kar deta jo tarz e fikar is ko huzoor se
muntaqil hoi.