Topics
sawal: kharq adat sirf auliya or ambiya se hi to sabit
hain jadu garon or sahiron ny bhi kai baar kharq adat k muzahiray kiy hain in
me buniyadi farq ki wazahat farma den?
jawab: shahood ki teen qismain hain (1)ilm al yaqeen
(2)ain al yaqeen (3) haq al yaqeen.ilm al yaqeen k dairay me dakhil honay k
baad insan par pehli baat jo munkashif hoti hai wo ye hoti hai k hamara khaliq
ALLAH hai aisa ALLAH jis ny hamari tama zaroriyat ki kafalat apnay zimmay li
hai zaroriyat pora hona or musalsal pora hona or baghair kisi madi qanoon k
pora hona admi ko bila akhir ye sochnay par or yaqeen karnay par majboor kar deta
hai k fil waqiya raziq ALLAH hai fil waqiya rab ALLAH hai fil waqiya zindagi
denay or zindagi denay or zindagi lenay wala ALLAH hai ALLAH hi izzat deta hai
ALLAH hi zillat deta hai ALLAH hi ibtida hai ALLAH hi inteha hai ALLAH hi zahir
ALLAH hi batin hai or ALLAH hi har shay ko moheet hai is manzil me dakhil huy
baghair admi k andar kabhi istaghna peda nahin hota or jis banday k andar
istaghna peda nahin hota wo rah e sulook ka bhatka hua musafir hota hai is ki
koi manzil nahin hoti duniya me aisay beshumar log hai jinhon ny apni batni
quwatoon ko bedar or mutahrrik kar k aisay kamalat or kharq adaat ka izhaar
kiya hai k loog heraan hain pareshan hain baaz batein in se is qisam ki bhi sar
zad hoti hain baray baray sahab ilm loog in ki is rohani quwat par emaan lay
atay hain or raasta bhatak jatay hain me arz ye karna chata hoon k admi apni
istetaat apni salahiyat apni istedaad peda nahin hota kiya aap ny aisay loog
nahin dekhay k jo jadu tonay ka kaam karta hain logon ko pareshan kartay hain
or logon k banay huy kamoon ko kharab kardetay hain lekin fees letay hain kiya
aap nay aisay amil nahin dekhay k peeri ki gadi par bethay huy hain surat
shakal farishtoon jesi banai hoi hai qaal ALLAH or qaal rasool ka charcha hai
libaas ain islam k mutabiq hai jabay qabay me dhakay huy hain lekin logon se
paisay wasool kar rahay hain abhi pichlay dinon meray paas ek khatoon tashreef
layn inhoon ny jo amil sahahb ka naqsha khencha is se zahir hota tha k koi
buhut hi abid zahid zindah shab bedaar hai masail or mushkilaat ka haal ye
batay k sadqa karo khatoon ny pocha kis cheez ka sadqa kron? peer sahab ny
batay k oont ka sadqa kardo or 3000 rupay k liy meray murshad qareen huzoor
qalandar baba auliya ny ek sail k sawal k jawab me irshad farmaya k peer or
faqeer hai faqeer ki tareef ye hai k is k andar istaghna milay ga is k andar
duniyawi lalach nahin hoga wo is baat par yaqeen rakhta hai k is ka kufail sirf
or sirf ALLAH hai ALLAH is ko itlas wa kakhwaab pehna deta hai wo khush ho kar
pehen leta hai ALLAH is ko khaddar pehna deta hai.is me bhi wo khush rehta hai
ALLAH is ko langoti pehna deta hai wo is me bhi khush rehta hai ALLHA is is se
se langoti cheen leta hai wo is me bhi khush rehta hai or dosri pehchan ye
farmai k jab tak bandah fil waqiya kisi faqeer ki sohbat me rehta hai is ka
zehen sirf ALLAH ki taraf mutawajja rehta hai shaz o nadir hi isay duniya k
kaam ka khayal ata hai.
kharq adaat k zaman me aj gul sciencei nuqta nazar se jo
koshishen ki ja rahin hain in se bhi ye sabit hoti hai k insan apni zati
koshishon se or mutaiyana mashatoon se apnay andar mawrai salahiyatoon ko bedar
kar leta hai telly pethi or hepnatisim k silsilay me europe or bil khasos rosse
me jo peesh e riffat hoi hai is ko dekhtay huy insan is baat k upper yaqeen
karnay par majbor hojata hai k agar hum ibadat ya riyazat ko mawrai uloom k
husool ka zariya samjhein to ye baat bazahir kamzor nazar ati hai kiyun k rosse
jis ka mazhab par koi aqedah nahin hai mawrai uloom k husool me qabil e
tazkirah had tak taraqqi kar chuka hai tasawwuf me ek tazkirah ata hai tasarruf
karna yani sheikh apnay mureed par tawajja kar k is k andar kuch tabdeliyan
peda karta hai ye tasarruf aj ki duniya me ek science dan bhi kar leta hai or
wo telly pethi k zariy apnay hasb e mansha dosray dosray admi ko mutassir kar k
is ko wo kaam karnay par majboor kar deta hai jo is k zehen me hota hai
tasawwuf me dosri bari or ahem cheez andar dekhna hai yani admi k andar aisi
batni nazarkaam karnay lagti hai jis nazar se wo apnay saiyyaray se bahar ki
duniya ka mushahidah karta hai aj k dor me ye baat bhi hamaray samnay achuki
hai k maraqba bhi ek science ban chuka hai europr mr lakhon ki tadaad me aisi
kitabein shay ho chuki hai jo maraqba or maraqbay ki kefiyaat par ser e hasil
behes karti hain tesri cheez jo rohaniyat tasawwuf or mazhab me buhut ziyadah
ahmiyat rakhti hai wo ye hai k admi k andar aisi salahiyatein peda hojati hain
jin salahiyatoon ki buniyad par wo aisay uloom ka izhar karta hai jo uloom
bazahir kitaboon me nahin miltay science ny is silsilay me bhi kafi peesh riffat
ki hai or aisay uloom ka izhar ho chuka hai k jin par shaoor insani ny yaqeen
bhi nahin kiya or bila akhir wo cheezein wajod me ain or insan in par yaqeen
karnay par majboor hogya in halat me tasawwuf ki istelahein tawajja tasarruf
batni nigah ka khulna time and space ya zaman o makan se azadi azadi ek muamma
ban gain hain ab tak ye samjha jata raha hai k mawrai nazar ka mutahrrik
honasirf zikr o fikar or ashfal se mumkin hai in halat me ye samajhna buhut
zarori hogya hai k aisay loog jo mazhab par aqeedah nahin rakhtay tasarruf kar
saktay hain in k andar batni nigah bedar hojati hai wo nay nay uloom ki dag
bail dal saktay hain phir ye tasawwuf kiya hai?tasawwuf k sath sath mazhab ka
tazkirah bhi ata hai mazhab ki buniyadein bhi inhin usoolon par rakkhi gain
hain k admi mazhabi faraiz poray karnay k baad is qabil hojata hai k wo apni
zindagi ya dosron ki zindagi me tasarruf kar sakay is ki batni nigah ALLAH ki
nishaniyon ka mushahidah kanay lagaylekin jab hum mazhab k peron karoon ki
zindagi ka mutalla kartay hain to
hazaroon lakhon me humay ek admi bhi aisa nahin milta jis ki tasarruf ki taqat
bahal hogai ho or jis k andar batni nigah kaam karti ho ye bari ajeeb o ghareeb
baat ho k mazhabi loog in uloom se be khabar hain jin uloom ki nishan dahi
aisay logon nay ki hai jo mazhab par aqeedah nahin rakhtay ya mazhab ko ek
majbori samajhtay hain in halat me har sanjedah admi ye sochnay par majboor hai
to phir tasawwuf or mazhab kiya hai? is baat ko hum yahan mukhtasar kar k phir
apnay asal mozon istaghna ki taraf lottay hain quran paak me ALLAH ny hazrat
musa k tazkiray me wazahat k sath firon or jadu garon ka tazkirah kiya hai
firon nay jab ye dekha ki is ki khudai par harf arha hai or hazrat musa is ki
tabahi or barbadi ka zariya ban rahay hain to is nay apni mumlikat k tama jadu
garon ko dawat di k wo ayn or hazrat musa se muqabla karen is dawat me jadu
garon k liy jo mutawajja karnay ki sub se bari cheez thi wo ye thi k agar tum
nay musa ko shikast dedi to tumhay insaam wa akram se malamaaal kar diya jaay ga.
ek medaan or tareekh muqarrar hoi jadu gar jama hogay
musa bhi tashreef laay jadu garon nay lathiyan bans or rassiyan medan me
phenkein wo sanp ban gay azdahay ban gay lagta tha k medan baray baray sanpoon
or azdahon se bhara hua hai har taraf cheekh o
pukar or sanpon ki phunkar thi surat e haal jab buhut nazuk hogai itni
nazuk k hazrat musa bhi ghabra gay hazrat musa ALLAH ki taraf mutawajja huy
ALLAH nay farmaya ay musa dar mat!apna asa phenk musa nay apna asa zameen par
phenk diya wo asa ek buhut bara azdaha ban kar medaan dortay huy tamam sanpon
or azdahon ko nigal gaya or is tarhan firoon jis ko apni duniyawi dolat or maal
o asbab par ghamand tha zaleel o khuwar hua or wo jadu gar jo dolat o ikram k
lalach me door daraz se hazrat musa ko shikast denay ay thay wo bhi na muraad
loot gay is waqiy me agar tafakkur kiya jaay to buhut sada baat ye hai jadu
garon nay jab bans phenkay to in se kharq adaat zahoor hua or wo sanp ban gay
hazrat musa nay jab asa phenka to wo bhi azdaha ban gaya or wo tamam sanpon ko
nigal gaya abhi hum ny arz kiya hai k admi apni koshishon or mutaiyyan tareqon
par mashqeen karnay k baad is qabil ban jata hai kwo apnay iraday or ikhtiyar
se kharq adat ka izhar karsakay jesa k jadu garon nay apnay iraday or ikhtiyar
kharq adat ko zahir kiya k ek makhlooq nay is ka mushahidah kiya lekin is me ek
buniyadi farq hai jadu gar latadad hain bans or rassiyan jo azdahay or sanp
banay wo beshumar hain jadu garon ko ek buhut baray badshah ka tawwun bhi hasil
hai hazrat musa tanha hain in ka takia in ka bharosa ALLAH k sath wabasta hai
is baat ko is tarhan samjha jay k jadu garoon k diloon me chunkay maal o dolat
ki khowahish mojod hai is liy me istaghna nahin tha hazrat musa k andar chunkay
istaghna tha is liy istaghna ki quwat or yaqeen nay jadu garon k tamam jadu ko
barbad or khatam kardiya yehi surat e haal tasawwuf me tawajja tasarruf or
batni nigah ki bhi hai agar kisi banday me ALLAH ki zaat se talluq khatir peda
nahin hua or is k andar istaghna ki qowatein nahin ubhrein to is se jo kuch kharq
adaat sadir hongi wo istad raaj hai jadu hai mazhabi ibadat ka bhi yehi qanoon
hai mazhab nay jo ibadatein farz kar di hain in faraiz ki adaygi me agar banday
ka zehen ALLAH k sath wabasta hai to ye ibadat hai warna ye ibadat nahin hai
?kalma namaz rozah haj zakat ye sub arkan is buniyad par qayam hain k ALLAH is
tarhan chahtay hain is liy hum par lazim hai k in faraiz ki adaygi me hum koi
kotahi na karen lekin agar farz ki adaygi ALLAH k sath yaqeen qayam na ho to ye
farz ki adaygi hogior bandah bil akhir nuqsanor khasaray me hoga.
zindagi
me dosra waqiya ye peesh aya k eid ka chand dikhnay k baad bacchon ki eidi k
silsilay me fikar lahaq hoi or me apnay ek dost k pas kuch rupay udhar lenay k
liy chala gaya dost ny mujh se kaha ye rupay to meray pas mojod hain lekin kisi
ki amanat hain tabiyat ny is baat ko gawarah na kiya k dost ko amanat me
khayanat karnay ka mujrim qarar diya jaay wahan se chalta hua me bazar me agya
wahan mujhy ek dost milay buhut acchi tarhan peesh ay or inhon nay peesh kash
ki k aap ko eid k silsilay me kuch rupay paison ki zarorat ho to le len meray
pas kafi raqam mojod hai na maloom tareeqay par menay in ki is peesh kash ko na
manzor kardiya inhon nay kaha k sahab menay apsay kisi zamanay me kuch rupay
udhar liy thy wo me ada karna chahta hoon or inhon ny meri jeb me satt rupay
daal diy mein ghar chala aya or in satt rupoon se eid ki tamam zaroriyaat pori
hogain is waqiya par buhut ziyadah ghoor e talab baat ye hai k dost se me tees
rupay udhar lenay gaya tha ALLAH ny mujhy itnay paisay dilwa diy jo meri
zaroriyaat k liy poray thy zahir hai agar tess rupay qarz mil jatay to
zaroriyat pori na hoti ye paisay or rupay k silsilay me do waqiyat menay goosh
guzaar kiy is qisam k beshumar waqiyat zindagi me peesh ay in beshumar waqiya peesh
anay k natejay me ye yaqeen mustehqam or pukhta hogyaor zaroriyat k wahid
kufail ALLAH TALLAH hain ALLAH ny wadah kiya hai k hum razzaq hain wo behre
haal rizq pohunchatay hain or ALLAH k wo karinday jin k baray me ALLAH ny fil
arz khalifa kaha hai is baat par car band hain k wo makhlooq ko zindah rakhnay
k liy wasail faraham karenbuhut ajeeb baat hai k ALLAH apni marzi se peda
kartay hain jab tak wo chahtay hain admi zindah rehta hai or jab wo nahin
chahtay to admi second k hazarwein hissay me bhi zindah nahin reh sakta lekin
admi ye samajh raha hai k me apnay ikhtiyar se zindah hoon mashi silsila meray
ikhtiyar se qayam hai isi silsilay me ek martaba huzoor qalandar baba aulia ny
farmaya kisan jab kheti ktta hai to jharo se ek ek danan samait leta hai or jo
danay kharab hotay hain ya ghun khay wy hotay hain in ko bhi ikhatta kar k
janwaroon k agay daal deta hai jis zameen par gehoon baliyon se alaidah kar k
saaf kiya jata hai wahan agar aap talash karen to mushkil se chand danay nazar
ayn gay lekin jab hum dekhtay hain k ALLAH ki makhlooq parinday aarbon kharboon
ki tadaad me dana chugtay hain in ki ghiza hi dana hai to ye muamma hal nahin
hota k kisan to ek dana nahin chorta in paridon k liy koi makhsos kasht nahin
hoti phir ye parinday kaha se khatay hain ?huzoor qalandar baba nay farmaya k
ye qanoon ye hai k parindon ka ghol jab zameen par is iraday se utarta hai k
humay yahan dana chugna hai is say pehlay k in k panjay zameen par lagein
qudrat wahan dana peda kardeti hai agar parindoon ki ghiza ka daro madar hazrat
e insan yani kisanon par hoga to saray parinday bhook se mar jatay dosri misaal
huzoor qalandar baba sahab ny ye irshad farmai k chopay behr e haal insanon se
buhut bari tadaad me zameen par mojod hain bazahir wo zameen par ugi hoi ghas
khatay hain darakhton k pattay chartay hain lekin jis miqdar me ghas or
darakhton k pattay khatay hainzameen par koi darakht nahin rehna chahiy qudrat
in ki ghiza ki kifayat pori karnay k liy itni bhari tadaad me darakht or ghas
peda karti hai k charinday seir ho kar khatay rehtay hain ghas or patton me
kami waqiya nahin hoti ye in darakhton or ghas ka tazkirah hai jin me insan ka
koi tasarruf nahin hai qudrat apni marzi se peda karti hai apni marzi se
darakhton ki parwarish karti hai or apni marzi se inhen sar sabz o shadab
rakhti hai ye ALLAH ki nishaniyan hain jo zameen par pheli hoi hain har insan
ki zindagi me do char waqiyat aisay zaror peeshh atay hain jin ki wo koi amli
aqli scienci tawajjiha peesh nahin kar sakta anhoni batein hoti rehti hain admi
ittefaq keh kar guzarta rehta hai halankay kainat me kisi ittefaq kisi hadsa ko
koi dakhal nahin hai.