Topics
Sawal: Tasawwuf me Tasawwur-e-Sheikh k muraqbe
ko khosoosi ahmiyat di jati hai. Tasawwur-e-Sheikh karnay walay banday ko is
amal se kya rohani faida pohunchta hai? Tasawwuf k ainay me is ki wazahat
farmayn.
Jawab: Hum jab apnay sheikh ka tasawwur kartay
hain to hota ye hai k sheikh k andar kaam karnay wali lehrein hamaray dimag k
upper muntaqil hona shuru hojati hain or jesay jesay tasawwur me inhemak barhta
hai, isi munasbat se lehron ki muntaqli me izafa hota rehta hai. Ek baat yahan
bohot ziyada ghor talab hai k, jab hum sheikh ka tasawwur kartay hain to hamari
niyat ye hoti hai k humay sheikh ka wo ilm hasil hojaye jis ilm se Allah ka
irfan naseeb hota hai. Niyat k upper har amal ka daromadar hai. Jab hum is
niyat k sath tasawwur kartay hain k humey Allah ka wo ilm hasil hojaye jo
hamaray sheikh ko hasil hai, to natijay me sheikh k andar kaam karnay wali wo lehrein jin se
is ny Allah ka irfan hasil kiya hai, hamaray andar muntaqil hojati hain. Shuru
shuru mein lehron ki muntaqli se hamaray dimag ki safai hoti hai; safai honay k
baad wo uloom jin ka daromadar be yaqeeni or shak par hai, zehen se nikaltay
hain or bil aakhir zehen paak, saaf, or ainay ki tarhan shaffaf hojata hai. Ab wo ilm muntaqil hona shuru hota hai k jis k
baray me Allah ka irshad hai, “Tum Hamari basarat se dekhtay ho, Hamari sammat se suntay ho, or Hamaray fawad se sochtay ho.”
Muraqba karnay se pehlay jin cheezon ko bohot ziyada ahmiyat hasil hai wo ye hain: zehen muntashir khayalaat se azad ho, nashist aisi ho jis me jisam or aisab k upper
bojh or wazan mehsoos
na ho, mahol aisa ho jesa k sonay k liye mozon hota hai yani andhera ho, or shoro ghul na ho. Is makhsoos mahol me aram se bethnay k baad bohot
ahista ahista or gehray sans lenay k baad, seenay me roke baghair muu k raastay
ahista ahista kharij karnay chahiye.
Is tarhan gehrai me sans lenay se zehen bari had tak yaksoo hojata hai. Jab
zehen yaksoo hojaye to Tasawwur-e-Sheikh kiya jaaye. Tasawwur-e-Sheikh se muraad
hargiz ye nahin hai k ankhain band kar k ye dekha jaaye k sheikh hamaray samnay
betha hai or sheikh ki shakal-o-surat aisi hai. Tasawwur se muraad ye hai k
zehen ko sheikh ki taraf mutawajja kardiya jaaye. Agar zehen me ye baat hai k sheikh ki surat
aisi hai, naak aisi hai, ankhein aisi hain, wagera, wagera to zehen chunkay
dekhnay me masroof hogaya, isliye, yaksoo nahin hoga. Admi jesay bekhayal hojata hai, is tarhan zehni tor be khayal hojaye.