Topics
sawal: mah e ramzan k akhri ashray me loog aitekaaf me
beth tay hain aitekar ki kia ehmiyat hai? wazahat farmayn.
jawab: hamaray deen k jitnay bhi arkaan hain aagar in par
ghooor kia jaay to arkan e islam ki ek hesiyat infiradi hai or sath sath is
rukun ki hesiyat ijtemai hai agar tafakkur kiya jaay to islam ka pegham ye hai
k ijtemai hesiyat ko qayam karo infiradi soch se nikal kar ijtemai sooch ko
ikhtiyar karo is liy panch waqt ki namaz ba jamat ada karnay ka hukum diya gaya
hai har mohallay k loog panch waqt
masjidd me ikhattay ho namaz e bajamat ada kartay hain is tarhan namaz e jumma
k baad namaz e eidein ati hain jis tarhan kisi mohallay k afraad kisi ek jama
masjid me ja kar jummay ki namaz ada kartay hain isi tarhan saray sheher k afrad
ek jaga jama ho kar namaz e eid ada kartay hain is tarhan haj ek aisa farz hai
jis me duniya se lakhon farzandan e touheed khana kaba me hazri detay hain or
fareeza haj ada kartay hain ye bhi ijtemai amal hua ramzam ka program bhi
ijtemai amal hai aisa program k sari ummat e muslima ALLAH k liy pora din
bhooki piyasi rehti hai ALLAH k liy is nay roza rakkha yani is nay khana peena
chor dia isliy k ALLAH ye chahta hai k tum subah se sham tak bhookay raho to wo
ijtemai tor par subah se sham tak bhookay rehtay hain jab ALLAH nay ye chaha k
ab tum bhookay nahin raho to wo iftar kar letay hain ye bhi ek ijtemai amal hai
rozay se ye baat samnay ati hai k bhook or piyas se ALLAH k kia talluq hai is
ka saaf matlab hai k aap nay pait k taqazon ko ALLAH k liy waqf kar lia to ab
ye jo bhook piyas ka shadeed taqaza hai
ye ALLAH se hum rishta ho jata hai jis
ki wajah se bandah ALLAH ki zaat se qareeb hojata hai.
ye ek faidah hua dosra faidah ye hai k jab insan bhooka
or piyasa rehta hai sara din to is k zehen me is k bhookay piyasy rehnay k
adaab bhi hain is ko ye maloom hai k rozah rakh k admi jhoot bolay to rozah
nahin hota isay ye bhi maloom hai k roza rakh kar agar be imani ki jaay to
rozah nahin hota to is k zehen me ye baat ati hai k sara din bhooka rehnay k bawajod
bhi agar mera roza nahin hua to is k bhookay piyasy rehnay ka kia faidah to
nateja ye nikalta hai k wo rozay me ziyadah se ziyadah is baat ki koshish karta
hai k jhoot na bolay or ziyadah se ziyadah is baat ki koshish karta hai k wo
ibadat kare.
teesra faidah rozay ka ye hai k insan ki sehet acchi
rahay gi bemariyan peda hoti hain is ka kisi na kisi tarha talluq pait se hota
hai agar insan ka pait sahi hai to wo bemar bhi nahin hota jo loog khanay
peenay me ehtiat kartay hain in ka nizam e hazam durust rehta hai wo bemar
nahin hotay wo in logon k muqablay me kam bemar hotay hain jo khanay peenay me
be ehtiyat hotay hain ye baat hum sub jantay hain to jab hum subah se sham tak
bhookay rahay gay is ka nateja ye hoga k hamaray nizam e hazam ko taqat milay
gi or hamari sehet bhi bahal hogiek sehet mand admi duniyawi kaam ho ya deeni
kaam ho sahi tareeqay se sir anjam de sakta hai .
cotha faida rozay ka jo rohani nuqta nazar se wo ye hai k
insan jab bhooka rehta hai or wo bhook ALLAH k liy hoti hai to is k andar
ALLAH k anwar zakherah hojatay hain
ALLAH nay khud farmaya hai k:
"rozay ki ajza me khud hoon"
yani ALLAH ki sifaat ALLAH k anwar o tajliyat or
roshniyan insan k andar muntaqil hona shuru hojati hain or jesay jesy wo
roshniyan insan k andar zakherah hoti hain isi munasbat se roh k andar baledgi
peda hoti hai roh k andar taqat peda hoti hai to pehlay ramzan se 19 ramzan tak
har roza dar k andar aisi salahiyatein badar or mutahrrik hojati haain jin ka
talluq barah rast ALLAH k anwar or rasool alehe salato wasalm k noor nabowat se
hai or roh noor nabowat k anwar se mamoor hojati hai ab jo 19 din bhooka rehnay
se anwar or roshniyan zakherah hoon gi in se faidah bhi uthana chahiy.
maslan apkay paas ek behtreen gari hai is k andar petrol
nahin hoga to gari nahin chaly gi ya agar petrol kam hai to gari chalay gi or
bar bar rukay gi ab is gari ki tenki ko apnay fill kara liya hai ab tenk jab
fil hogya to iska matlab ye hai k gari apkay safar me sahi tarhan kaam aygi or
agar ap isay nahin chalayn gay to petrol bhara rahay ga or mumkin hai buhut
ziyadah din guzar jayn to wo urh hi jaay misaal naqis hai lekin samjhanay k liy
deni parti hai yani musalman rozay dar jab 19 din me apnay andar ALLAH k anwar
tajliyat ka zakherah kar leta hai to ab is ka istemal zer e behes ata hai
istemal se muraad ye hai k ALLAH ki roshniyan roh ko parwaz ki taraf mail karti
hain ab roh ki alam bala ki taraf parwaz honi chahiy.
alam ghaib me dakhil ho kar alam ghaib ka mushahidah
karna chahaiy mushahiday k liy buhut ziyadah yaksoi ki zarorat hai buhut
ziyadah jismani sukoon zarori hai to jismani sukoon k liy or zehni yaksoi hasil
karnay k liy aitekaaf ka masla samnay ata hai yani insan apnay duniyawi
mashaghil tark kar k bewi bacchon se dor ho kar ghar baar chor kar ksi ek
goshay me sirf or sirf ALLAH k liy beth jaay or wo bethna das din k liy ho.
ab das dinon me 20 k baad se 21 23 25 27 ramzan al
mubarak ki ratoon me laila tul qadar ki raat hoti hai ab ALLAH nay quran paak
me farmaya:
"hum nay quran ko nazil kiya laila tul qadar
me"
quran kiya hai quran ek dastoor al amal hai aisa dastoor
al amal jo aap k liy duniyawi rehnumai bhi karta hai or aisa dastoor al amal jo
aap k liy alam bala or mawraii duniya k liy bhi rehnumai karta karta hai to
laila tul qadar kiya hai?ALLAH farmatay hain laila tul qadar ek hazar mahinon
se afzal hai.ek hazar mahinon se afzal honay ka matlab ye hai k ye raat 30
hazar din or 30 hazar ratoon se behtar hai 30 hazar din or 30 hazar ratoon ka
tazkirah jab hum kartay hain k insan din me jagta hai bedar rehta hai yani
bedar reh kar zindagi guzarta hai hawas khamsa me reh zindagi guzarta hai
jazbat o ehsasaat k sath zindagi guzarta hai or raat me bedari se hat kar
khuwab k alam me zindagi guzarta hai jab hum sotay hain to sonay k doran hawas
ki raftar din k hawas ki raftar se ziyadah hojati hai is ki misaal ye hai k hum
yahan sotay hain to sonay k doran hawas ki raftar din k hawas ki raftar se
ziyadah hojati hai is ki misaal ye hai k k hum yahan sotay hain or khud ko
london me patay hain koi admi hamara peer hilta hai to phir hum ek second k
hazarwein hissa me charpai par mojod hotay matlab ye hai k mahinon ka safar
secondon me tay hojata hai khuwab k hawas me hamari raftar barh jati hai ab hum
yun kahen gay is ko sciencei nuqta nazar se k ek raat behtar hai tees hazar
khuwab k hawason se 30 hazar din k hawas se ab is ka seedha seedha matlab ye
hua k ek raat behtar hai satth hazar din raat se yani ek insan jitna safar 60
din or raat me karta hai agar is k andar laila tul qadar k hawas ALLAH k hukum se or rasool alehe salato ki nisbat
se mutahrrik or bedar ho jayn to wahi ek bandah ek raat me sath hazar raat or
din k barabar safar kare ga.
ye jo loog aitekaaf me beth tay hain ye fil waqiya mawrai
duniya me dakhil honay ka program hai or sahi baat ye hai k agar ramzan k rozay
20 din tak sahi manoon me rakh lay or is k baad aitekaaf me betha jaay to zehni
markaziyat hasil honay k baad insan ko martaba hasil hota hai
huzoor aleh salato wasalm ka irshad hai:
"momin ko martabaehsan hasil hota hai martaba ehsan
k do darjay hain ek darja ye hai k bandah mehsos kare k mujhay ALLAH dekh raha
hai or ala darja ye hai k bandah ye mesos kare k me ALLAH ko dekh raha
hoon"
ramzan k program ki kamiyabi k natejay me agar fil waqiya
sahi manon me jiddo jehed or koshish ki
jaay to momin ko rasool alehe salto waslaam k irshad martaba ehsan hasil hojata
hai or yehi iatefkaaf bhi hai is liy aitekaf karna chahaiy.
rohani logon ka kehna ye hai k kasrat se dorood shareef
kalma tamjeed or quran paak parhna hchahiy quran paak k mani o mafhoom par ghor
o fikar karna chahiy maraqba karna chahiy maraqbay se muraad ye hai k aap jab
bhi kuch parhen thori der k liy ankhein band kar k beth jayn or ye tasawwur
karen k mujhy ALLAH dekh raha hai or jab ALLAH ki rehmat se rasool alehe salato
wasalam ki nisbat se ye tasawwuf qayam hojay k mujhay ALLAH dekh raha hai ye
char panch din me hojata hai or aitekaaf me admi bethay to phir baqaya din jo
hain isay is baat ka maraqba karnachahiy k me ALLAH ko dekh raha hoon or
ALLAH dor to nahin ALLAH nay khud
farmaya:
"me tumhari rag jan se ziyadah qareeb hoon"
ab ye hai k hum isay dekhein to sahi isay pukarein to
sahi ALLAH nay bhi yehi farmaya hai k jahan tum ek ho wahan me dosra hoon jahan
tum do ho wahan me teera hoon ALLAH nay ye bhi farmaya hai
"me nay to tumhay ahata kia hua hai me to ek dairah
hoon tum is k andar ho"
to ye ALLAH ko jo farman hai jab hum is par ghoor o fikar
karen gay ALLAH ko talash karen gay ALLAH kahin door nahin hai ALLAH to hamaray
andar bastay hain.
ALLAH
dil me bastay hain rag jaan se ziyadah qareeb hain to ramzan aitekaaf hai is k
buhut ziydah fazilat hai ALLAH se dua karen k ALLAH humay ramzan ki barkat se
faizyab kare or humay day k hum ziyadah se ziyadah aitekaaf me bethyn or
ziyadah se ziyadah maraqba karen maraqba
me ye tasawwur karen k mujhy ALLAH dekh raha hai ye me ALLAH ko dekh raha
hoon..