Topics
sawal: ek banday ko bait kitni umer me karni chahiykia
bait hona zarori hai? kia ek shakhs do jagah bait hosakta hai? tasawwuf k
hawalay se roshni dalen.
jawab: sochnay ki baat ye
hai k bait hona zarori bhi hai k nahin?kis umer me bait karni chahiy ye
alag baat hai lekin pehli baat ye hai k kiy admi zaror kisi se bait hodosri
baat ye hai k fil waqiya bait kia cheez hai ye do batein ziyadah ghor e talab
hainaam tor se ye samjha jata hai k koi aisa admi jo kisi surat se mawrai uloom
janta hoya isay buzurgon se koi ilm muntaqil hua ho ya wo gadi nasheen hois ki
agar sarparasti hasil kar li jaay to duniyawi kaam buhut se asan hojatay hain
or admi balaon se mehfoz hojata hai aam tasawwur ye hai k k baghair bait admi aisa
k jis k sir par saiban na hoagar bait is liy ki jati hai k is k duniyawi kaam
hotay rahayn or balaon se nijat milti rahay ya ALLAH bait k zariy se is ko
apnay hifz o aman me rakhtay hainto ye baat sahi nahin hai bait hona koi zarori
baat nahin ALLAH sub ki hifazat kartay hain.
bait
darasal ek istilah hai khud kobeech dena farokht kardena be mani hai khareed o
farokht k quran ka lafz se be se ye bara masla kharab hogya hai k jab admi kisi
ka mureed hojata hai kisi k hath par bait kar leta hai to to admi ye samajh
leta hai k bhaee ye to mera zar khareed hogya hai is nay khud apni marzi se
apnay aap ko meray hath beech dia haijo bait ki istelah k tehet ati hai pata
nahin kaha se ye lafz nikla behre haal is lafz ki koi ahmiyat nahin hai jesa j
is ko kahan jata hai k hamaray huzoor qalandar baba aulia nay is istelah ko ek
admi dosray kisi admi k hath beech de is ko khatam kardia hai hamaray silsilay
k jo qawaid o zawabit hain in qawaid o zawabit me ek baat ye bhi hai k koi aisa
admi jo silsila azeemi me kisi laiq hojay or ALLAH is k zariy dosray logon ko
faiz pohunchayn gay is k upper lazim hai k wo kisi admi ko apna muredd na kahay
bulkay apna dost kahay ek admi jis ko ALLAH nay azad peda kiawo kiyun kisis
dosray admi k hathon khud ko farokht kareis k jo lafzi mani hain wo sahi nahin
hain bait darasal ek rohani shagirdi hai kisi ilm ko seekhnay k liy jab kisi
rohani ustaad ka aap intekhab kartay hain phir ustaad k batay huy tareeqay k
mutabiq amal karnay ka ehed kia jata haito ye bait kehlati hai kiyun k kisi bhi
ilm ko hasil karnay k liy aap ko ustaad ki hidayat k mutabiq amal karna hoga
warna aap ilm nahin seekh saktay or agar aap rohani uloom nahin seehna chahtay
to bait hona koi zarori nahin huzoor qalandar baba aulia k pas jab loof aya
kartay thy to wo farmaya kartay thy k dekho bhae koi kaam hai to bata dohamaray
se ustaad shagirdi ka rishta na istewar karo warna pareshani hogi dost baanao
humay jo tumhara kaam hai kahon hum dua karen gay ALLAH pori karen gay bait to
hamaray yahan silsila azeemi me siray se hi nahin is ko hum is tarhan se
samajhtay hain k insan ko jo azmat hai azadi ki wo ek tarhan se is ko majro
karnay wali baat hai ab ye k kis umer me ap shagirdi ikhtiyar karen to rohani
uloom seekhnay k liy umeer ki koi qaid nahin hai jis tarhan or uloom hasil
karnay k liy umer ki koi qaid nahin hai is tarhan rohani uloom seekhnay k liy
umer ki koi qaid nahin hai aam tor se 5 6 saal k umer k bacchay ko aap school
me dakhil karatay hain is k baad wo parhta hai likhta hai is ka ek shaoor ban
jata hai jab bhi wo shaoor k dairay me dakhil ho or wo ye jannna chahta ho k
rohaniyat kia hai to kisi bhi umer me wo apna rohani ustaad bana sakta hai or
rohani shagird ban sakta hai hamaray yahan ye surat hai hum nay azeemi silsila
ka jo faram banaya hai is me hum ye koshish kartay hain k aisay logon ko
silsilay me dakhil karen karen k jin k shaoor me pukhtugi a gai ho aisa na ho k
hum nay inko school me dakhil karlia thoray dino k baad wo chor kar chalay gay
to is ki apni mehnat bhi zaya hogaito aam tor se larkiyon me 16 saal k baad or
larkon me 18 saal k baad shaoor me pukhtugi ajati hai hum is baat ka khayal
kartay hain k admi ka shaoor baligh hojay ta k jab wo ek dafa faisla kar le to
is par qayam rahay ta k is k zehen me koi ikhtilafi baat ay to wo mutanazzil na
ho jay kisi bhi ilm ko seekhnay k liy umer ki koi qaid nahin hai sirf ek baat
ko madd e nazar rakkha jata hai k is ka shaoor faisla karnay k qabil ho to wo
ustaad or shagird ka rishta qayam kar sakta hai.