Topics
sawal: insan ko ALLAH nay apna naib or khalifa muqarrar
farmaya or isi insan se dosri mahklooqat se ashraf tehra rohani uloom ki roshni
me is ki wazahat farmayn.
jawab: shaoor ka
tajziya agar kiya jaay to hum is tarhan bayan karen gay k har wo cheez jo
mutahhrik hai gardish karrhi hai or irtiqai manazil se guzar rahi hai shaoor
rakhti hai ba alfaz e degar kisi cheez ka mutahrrik rehna barhna ghatna sar
sabz o shadab hona ya khushk hona peda hona ya mar jana mosam k garam o sard se
mutassir hona or is cheez k upper awazoon ka asar andaz hona shaoori kefiyat
hai jesay jesay kefiyat me tezi ati rehti hai usi munasbat se shaoor barhta
rehta hai shaoor barhnay se muraad ye hai k ilm me izafa hota rehta hai yani
ilm me izafa dar asal shaoori irtiqa hai adam ki pedaish se ab tak nou insani
nay jis qadar aqli ilmi ya shaoori taraqqi ki hai hum is ko irtiqai manazil is
liy kehtay hain k nou insani k uloom me izafa hua hai baat buhut seedhi hai
yani adaam ko jo ilm hasil tha wo aj adam ki aulaad ko ilm hasil hai or is ilm
me be andaza izafa hua hai ba alfaz e degar adam ki aulad nay jab wo uloom
hasil kar liy jin uloom se adam ya adam ki aulaad waqif nahin thi to nou insani
taraqqi yafta surat me zahir hoi science kiya hai?ye bhi uloom ki ek irrtiqai
shakal o surat hai nou insani me se koi bandah ya ya koi science daan peda hua
is nay kisi ilm ki buniyaad rakkhi abhi ilm k khado khaal pori tarhan wazeh bhi
nahin huy thy k wo mar gaya is science daan ki theory ko anay wali nasloon nay
ilmi or aqli aitbaar se agay barhaya or natejay me ilm ki ek aisi thoos or
masbat shakal samnay agai jis ko hum nay koi naam dediya maslan tele phone
radio tele vision wagherah irtiqai manazil se guzar kar hi koi nai cheez ejaad
hoti hai is surat e haal peesh e nazar ye baat zahir hoti hai k koi cheeez jo
mutahrrik hai or aqal o shaoor rakhti hai agar aqal o shaoor k dairay me reh
kar jiddo jehed or koshish karti hai to is se nai nai ejadaat samnay ati hai
nou insani or dosri nouon me shaoori aitbar se jo had fasil qayam hai wo ye hai
dosri nouayn ek makhsos shaoor or makhsos jabat me reh kar zindagi guzarti hai
or insan chunkay ALLAH k ilm ka ameen hai is liy wo nai nai ikhtiraat k liy
jiddo jehed or koshish karta rehta hai or ye koshishein bar awar hoti hain in
tamam koshishon k natejay me jo cheez wajod me ati hain wo humay is tafakkur ki
dawat deti hain k koshish or jiddo jehed se insan buhut kuch sekhta hai buhut
kuch banata hai or dosri nouon se mumtaz hojata hai lekin agar nou insani me
koi ek qoum ya ziyadah aqwam tafakkur se kaam nahin leti to in ki hesiyat
hewanon ki si hoti hai jis tarhan ek bakri ek makhsos tarz me zindagi guzarti
hai isi tarhan nouyn insani ki qoum ek do makhsos tarzon me zindagi guzar kar
mar jati hai is tarhan nou me se jo afrad jo qoumain justojo or jiddo jehed
karti hain ALLAH ki nishaniyon me se oe nishaniyan talash karti hain to in se
nai nai chezein wajod me ati hain ye surat e haal jo is waqt hamaray samnay hai
ye hai k aqwam alam me wahid qoum musalman hai jo ilmi aitbar se intehai darja
past or intehai darja peechay hai.
hum nay zameen or asmaan ko is k andar jo kuch hai sub ko
insan k liy maskhar kardiya hai or taskheeri formula ki kitaab quraan me in sub
batoon ko wazahat k sath bayan kardiya hai or quran samajhnay k liy asaan
kardiya.
or hum logon k upper quran ka samjhna asam kar diya hai
hai koi samajhnay wala?hai koi samajhnay walay se muraad ye hai k jab bandah
quran paak k mafhoom me tadabbur or tafakkur kare ga to baat samajh ay gi or
quran paak ki ayaat me tafakkur or tadabbur nahin kiya jaay ga to quran samajh me nahin ayga
jab quran samajh me ajay ga to quran me kainat ki taskheer k mutalliq jo formula
bayan kiy gay hain wo bhi samajh me ajayn gay mojodah science ki taraqqi k
upper agar nazar dali jaay to science ki har taraqqi me ALLAH ki banai hoi
ashiyan ka amal dakahal hai science ki koi taraqqi aisi nahin hai or na kabhi
aindah hogi k jo ALLAH ki banai hoi ashiya se masni ho maslan bijli bijli ka
main source pani hai pani ALLAH ki ek takhleeq hai bijli ko mazbot rakhnay k
liy or bijli ko rawan rakhnay k liy taroon ki zarorat peesh ati hai jis dhaat
se bantay hain wo ALLAH ki banai hoi takhleeq hai bari bari machinery choti
choti machinery chotay se chota purza ya baray se bara purza dhaat se banta hai
ye dhaat bhi ALLAH ki baani hoi hai ala hazal qayas duniya ki taraqqi aisay
mumkin nahin hai jis me pehlay se mojod ALLAH ki ki banai hoi cheezon ka amal
dakhal na ho insan jis ALLAH ki banai hoi kisi takhleeq me tafakkur karta hai
wo tafakkur k sath is cheez ko agay barhata hai to isi ek cheez se hazaroon
lakhon cheezin wajod me ajati hain lekin lohay k andar ba wajod is k aisi
salahiyat mojod hai k wo hazaron lakhon ashiya me tabdeel hojat ahai ye
salahiyat is me mojod nahin hai k wo az khud ashiya me tabdel hojay lohay ko
nai nai cheezon me dhalnay k liy ALLAH ki sub se acchi takhleeq insan hai yani
ALLAH nay insan ko aisi salahiyaton par takhleeq kiya hai k wo ALLAH k masnooat
se dosri beshumar masnoaat tayyar karta rehta hai tasawwuf ya rohaniyat insan
ki apni salahiyaton ki pehchan ka naam admi ka apna irfan hai rohaniyat humay
batati hai k insan ka sub se pehla farz mansibi ye hai k wo apnay andar chupi
hoi makhfi taqatoon ka surag lagay or in salahiyaton ko apnay andar mutahrik
karde jin salahiyaton ki buniyad par wo khaliq hai ALLAH apnay baray me irshad
farmatay hain ahsan ul khaliqeen me takhleeq karnay waloon me behtreen khaliq
hoon matlab wazeh hai k ALLAH k elawa ALLAH k banday bhi takhleeqi salahiyat
rakhtay hain or jab wo takhleeqi salahiyaton kaam letay hain to nai nai
cheezein wajod me ajati hain lekin agar insan apni salahiyaton se mutarruf huy
baghair in salahiyaton ko kisi tarhan mutarruf karde to is se jitni bhi
takhleeqat amal me ati hain wo nou insani k liy falajh o behbod ka zariya
bannay ki bajay halakat or pareshaniyon ka peesh khema ban jati hain is liy k
admi apni salahiyaton se waqif honay k baad ye raaz maloom karlena hai k asal
khaliq ALLAH hai or bandah jin salahiyaton se dosri cheezein takhleeq karta hai
wo ALLAH ki di hoi salahiyatein hai ye koi mushkil baat nahin hai is ki misaal
ye hai k aag ki salahiyat jalna hai aag ko jis jagah me daal diya jaay ga wo
cheez jal jay gi lekin ek admi aag ki tapish aag k andar shiddat garmi or is
garmi se dosri cheezon ko pighlanay ki salahiyat se waqif hai to aag se
beshumar aisi cheezein bana ly ga jo is k liy mofeed or kar amad hongi isi
surat se jab koi bandah apni zaaat ka irfan hasil kaleta hai to is k upper ye
raaz khula jata hai k admi gosht post ka admi nahin hai admi dar asal ALLAH ki
takhleeqi salahiyaton ka mazhar hai isi baat ko huzoor alehe salato wasalam nay
irshad farmaya hai yani jab bandah khud ko pehchan leta hai to wo ALLAH ko bhi
pehchan leta hai khaliq e kainat ko pehchannay k liy zarori hai k pehlay admi
khud se mutarruf ho agar koi bandah apnay aap ko nahin pehchanta nahin janta ya
apnay andar ALLAH ki bakhshsi ki hoi in salahaiyaton se waqof nahin rakhta jin
salahiyaton ki bina pra wo kainat me aam nouaon se mumtaz hai to wo ALLAH ka
irfan hasil nahin karsakta hai rohaniyat humay sekhati hai k jo loog is sabaq
ko yaad kar k agay barh jatay hain in ko ankhon se dekha deta hai k adam ka
putla sirf gosht post ka nahin hai dar asal ye ALLAH ki sifaat se markab hai
ALLAH chunkay khaliq hain is liy ALLAH ki har sift takhleeq hai chunkay insan
ko ALLAH nay is baat ka idraak ata kardiya hai k insan ALLAH ka naib honay ki
hesiyat se beshumar takhleeqat kar sakta hai or insan k elawa dosri koi nou in
takhleeqi hadod me apnay iraday se dakhil nahin hosakti is liy insan dosri
nouaon k upper ashraf hai lekin agar insan in takhleeqi salahiyaton se waqif
nahin hai ya waqif honay k liy jiddo jehed or koshish nahin karta to is ki
hesiyat asharf ul makhlooqat ki nahin hai zameen or asman par is ki hukmorani
zer e behes nahin ati wo chunti or macchar bhi kamtar hai tasawwur e sheikh or
maraqba riyazat o majahid ishfal o azkar or tafakkur ye sub seerhiyan hain is
manzil tak pohunchnay k liy jis manzil par humay ye surag milta hai k insan ki
hesiyat kainat me ALLAH k naib ya qayam maqam ki hai naib ya qayam maqam me
hesiyat se is ko ALLAH nay ye naimat ata ki hai k wo ALLAH k diy huy ikhtiyarat
ko istemal karsakta hai or agar koi bandah in ikhtiyarat ko istemal nahin
karsakta ya iktiyarat k istemal se waqif nahin hai to is ki hesiyat ALLAH k
naib ya qayam maqam ki nahin hai.arf e aam me naib or qayam maqam ki mani ye
hai k k koi admi jab kisi ka naib hota hai ya kisi jagah ba hesiyat e qayam
maqam k bethta hai to isay wo ikhtiyaraat hasil hotay hain jis ki wo niyabat
karrha hai yani kisi mulk k sadar ka koi naib ya qayam maqam mutaqil na sahi
arzi tor par wahi ikhtiyaarat rakhta hai jo sadar k hotay hain is baat ko is
tarhan bhi kaha ja sakta hai k k kisi ba ikhtiyar hansti nay apnay ikhtiyaraat
dosray k supurd kardiy hain quran paak me ALLAH ka irshad hai k mein zameen me
apna khalifa banay wala hoon phir is naib ya khalifa ko farihton se sajda
karana farishton k aitraz par naib or khalifa ko khososi ilm ata karna jo
farishton ko hasil nahin tha or nahin hai is baat ki taraf wazeh ishrah hai
ALLAH nay apnay naib ko arzi tor par apnay ikhtiyaraat muntaqil kiy hain ALLAH
chunkay khaliq hain isi liy ALLAH k bahesiyat e khaliq k ikhtiyarat takhleqi
ikhtiyarat me shumar hongay yani ALLAH nay apnay takhleeqi ikhtiyarat apnay
naib ko muntaqil kardiy is baat ko ALLAH nay ahsan ul khaliqeen keh kar irshad
farmaya hai ALLAH farmatay hain me takhleeq karnay walon me behtreen khaliq
hoon baat bilkul wazeh hai k ALLAH k diy huy ikhtiyaraat k tehet wo loog bhi
takhleeqi ikhtiyarat istemal kar saktay hain jin logon ko ALLAH nay bahesiyat e
naib ya khalifa k ikhtiyaarat tazweez kardiy hain ikhtiyaraat do tarhan istemal
hotay hain ikhtiyaraat istemal karnay ki ek surat ye hai k admi az khud bila
kisi dosray k mashwaray in ikhtiyarat ko istemal karay ikhtiyaraat istemal
karnay ki dosri surat ye hai k admi ikhtiyaraat istemal karnay me ba ikhtiyar
ho lekin wo ikhtiyar kisi ka tazweez kardah ho jahan tak ikhtiyarat istemal
karnay ka talluq hai donon surton me is ka tareqa kaar ek hi hoga farq sirf
itna rahay ga k ek admi jo kisi k diy huy ikhtiyarat istemal karrha hai or is
hansti ki raza or mansha ko malhooz nazar rahay ga.
quran paak me jahan takhleeqi formuloon ka tazkirah milta
hai is me buniyadi baat jo ALLAH nay irshad farmai hai wo surah yaseen shariif
k akhri ayatoon me mojod hai ALLAH farmatay hain k is ka amar ye hai k jab wo
iradah karta hai kisi cheez ka to kehta hai kun or wo cheez hojati hai yani
ALLAH jab kisi cheez ko takhleeq karna chahtay hain to ALLAH ka amar pehlay is
cheez ko wajod me lanay k liy iradah karta hai phir ye iradah mutahrrik ho kar
is cheez ko hukum deta hai k hoja or wo cheez khad o khaal or jood k sath
mazhar ban jati hai formula ye bana k jab kisi cheez ko takhleeq kiya jay ga to
phelay is cheez ka khaqa is cheez k naqoosh is cheez se mutalliq zaroriyat
zehen me mojod hoongay zehen in cheezon ko wajod me lanay ka iradah karay ga
phir iraday me gehrai peda hogi or iraday me jab harkat peda hogi to to wo
cheez jo pehlay se zehen me mojof hai khad o khaal sath wajod me ajay gi ALLAH
farmatay hain is ka amar ye hai amar se muraad ALLAH ka zehen jis ko tasawwuf
ki istelah me wajib al wajod bhi kaha gay hai kainat ki takhleeq se pehlay
ALLAH k zehen (amar)me ye baat i k kainat banai hai zehen ya amar nay is kainat
ko wajod bakhshna chahayani kainat k khad o khaal jo ALLAH k zehen me mojod
thay in ko ALLAH k zehen se bahar mazhar banay ka iradah kiya is iraday nay kun
kaha yani hukum diya k is kainat ko jo kainat ALLAH k zehen me mojod thi or is
hukum k sath hi kainat tashkeel pa gai ye ALLAH ka apna zehen hai ya ALLAH ka
apna zati tarqqea hai k ALLAH k zehen jo kuch mojod tha is ko ALLAH nay zahir
karnay ka iradah kiya iraday me harkat peda hoi or ye sub jo ALLAH k zehen me
mojod tha shakal o surat k sath mojod hogya ALLAH ki wo takhleeq jis ko ALLAH
nay zeli takhleeqat ka ikhtiyaar diya hai is ki zindagi ka tajziyakiya jaay to
hum is natejay par pohunchtay hain k ALLAH ki hi zeli takhleeq bhi ALLAH ki is
sift ko ikhtiyari ya ghair ikhtiyari tor par istemal karrhi hai banday ko piyas
lagti hai piyas ka taqaza zehen k upper warid hota hai ye taqaza jab gehra hota
hai to admi pani penay ka iradah karta hai iraday me jab harkat hoti hai to
admi pani pi leta hai piyas k taqazay k sath jab admi ka iradah shamil na ho to
admi kabhi piyas nahin pi sakta is tarhan admi ko bhook lagti hai yani admi k
zehen me bhook ka taqaza martab hua bhook ka taqaza martab hota hai bhook ka
taqaza martab honay se muraad ye hai k jin ashiya se bhook rafe hosakti hai in
tamam ashiya k naqosh or khad o khaal zehen k upper martab hogay is ko barah
rast tarz me istarhan kaha jay ga k admi nay ye chaha k kuch khaya jaay ta k
bhook rafa ho ye ALLAH ka amar hai is amar nay ye chaha k bhook rafa karnay k
liy ashiya ka istemal kiya jaay chahna iradah hai jab zehen nay bhook rafa
karnay k liy iradah kiya to cheezen mojod hogain jin cheezon se bhook rafa hoti
hai bhook kin cheezon se rafa hoti hai ye ek ilm hai zindagi k taqazon ki
takmeel kin cheezon se hoti hai ye bhi ek ilm hai isi ilm ko ilm ul asma kaha
kiya hai ab yahan do surtein zer e ghoor hain bhook ka ilm hai or bhook ko kin
cheezon se rafa kiya jaay is ka ilm hewanat ko bhi bakri ye baat janti hai k
meeri bhook charoon se rafa hoti hai gosht khanay se mujhy koi faidah nahin
hoga lehaza bakri pattay khati hai ghost nahin khati sher ko is bat kailm hai k
is ki bhook gosht khanay se rafa hoti hai is liy wo bhook rafa karnay k liy
gosht khata hai pattay nahin khata ilm ki ek shakal ye hai k pattay khanay se
bhook rafa nahin hoti gosht khanay se bhook rafa hoti hai or pattay or gosht ko
apnay ikhtiyarat k tehet istemal kiya jasakta hai ek admi jo ikhtiyarat k
istemal se waqfiyat rakhta hai wo patton se bhi bhook rafa karleta hai or gosht
se bhi bhook mita leta hai is liy k isay bhook piyas rafa karnay k liy ilm k
sath sath ye ilm hasil hai k wo ALLAH k diy huy ilm k sath sath apnay
ikhtiyarat bhi istemal kar sakta hai lekin jahan tak takhleeqi formuloon ya
equations ka talluq hai is ka tareeqa ek hi hai farq itna hai k ALLAH ye
formula har cheez se be niyaz ho kar ba hesiyat qadir mutalliq k istemal kartay
hain or ye bandah ALLAH k takhleeqi formulon k mutabiq apnay ikhtiyarat istemal
kar k amal daramad karta hai.
insan
ko ALLAH nay apna naib or khalifa qarar diya hai or takhleeqi formulon par isay
ikhtiyar diya gaya hai inhin takhleeqi formulon par ikhtiyar ko zahir karnay k
liy ALLAH nay quran me irshad farmaya k tumharay liy arz o samawat or is k
andar jo kuch hai sub ka sub maskhar kardiya gaya hai chand ko maskhar kardiya
suraj ko maskhar kar diya najoom ko maskhar kar diya gaya hai insan ba hesiyat
e khaliq k jin formulon se markab hai wo bhi quran paak se sabit hain ALLAH
quran paak me irshad farmatay hai insan naqabil e tazkirah shay hai hum nay is
k andar apni roh dal di or wo bolta hansta chakhta mehsos karta insan ban gaya
yani jab tak ALLAH ki roh insan k andar nahin phonki gai is ki koi hesiyat
nahin thi jesay hi is k andar ALLAH ki roh i insan mutahrrik hogya is baat ko
mazeed wazahat k sath ALLAH bayan farmatay hain k tum meri samat se suntay ho
tum meri basart se dekhtay ho tum meray dimag se sochtay ho or ALLAH har cheez
par moheet hai ALLAH hi ibteda hai ALLAH hi inteha hai ALLAH hi zahir hai ALLAH
hi batin hai maqsad wazeh hai k insan ki hesiyat is waqt hai jab is andar ALLAH
ki roh kaam karti hai roh k baghair insan ki koi hesiyat nahin wo mitti k
dhelay se ziyadah hesiyat nahin rakhta roh k baray me quran kehta hai ay
peghambar!ye loog ap se roh k baray me sawal kartay hain aap in se farma dejiy
k roh meray rub k amar se hai quran paak amar ki tareff ye karta hai k is ka
amar jab iradah karta hai to kehta hai kun or jis cheez ka iradah kiya gaya hai
wo cheez mojod hojati hai.