Topics
sawal: khayali khuwab or haqeeqi khuwab me kia farq hai
neez ye k insan jab kisi k baray musalsal sochta rehta hai to wo khayal ki
surat me khuwab nazar ajata hai agar rujhan acchi batoon ki taraf hai to jo
khuwab dekhta hai is ko accha kaha jata hai lekin jab buray khayal khuwab
buntay hain ti is ko bura keh diya jata hai halankay wo bhi khayal hi hota hai
aisa kiyun hai? wazahat farmayn.
jawab: kainat me koi bhi khayal koi bhi wehem or koi bhi
tasawwur be mani nahin hai har khayal k do qisam k mani nikaltay hain is khayal
me rehmani qadroon se mutalliq mani hotay hain ya khayalat shetani qadroon se
mutalliq hotay hain uloom ki do qismain hain shetani uloom or rehmani uloom.
jitnay bhi peghambar is duniya me tashreef lay huzoor
alehe salato wasalam tak inhon nay ek hi baat kahi hai k rehmani uloom seekhnay
k baad in par amal karo ta k tum rehman se qareeb hojao shetani uloom na seekho
or shetani uloom par amal bhi na karo is liy k agar tum nay shetani uloom par
amal kiya to shetan se qareeb hojao gay zahir hai k jo bandah shetan se qareeb
hojay ga wo rehman se dor hojay ga or jo bandah rehman se qareeb hojay ga wo shtan
se door hojay ga khuwab khayal ki baat jo aap nay pochi hai is ki haqeeqat ye
hai k ek insan k khayal me 24 ghanta khayal rehta hai paisa paisa paisa is ko
paisay ki hoos hai to khuwab me wo daulat hi dekhay ga or ek admi k zehen me
ALLAH ki mohabbat peghambaron ki taleemat aulia ALLAH ki mohabbat hogi to wo
har waqt isi khayal me rahay ga k isko ALLAH or is k rasool alehe salato wasalm
ki mohabbat mil jaay huzoor ka qareeb naseeb hojay huzoor ki ziyarat hojay to
is k khuwab bhi pakezah hongay peghambaron nay shetan to rad kiya hai or
shetani khayal se door rehnay ki hidayat ki hai or ALLAH se qareeb honay k liy
or rehmani uloom seekhnay k liy pori nou insani ko dawat di hai.khuwab ki do
tarzein hain ek ye k jo khayalat har waqt zehen me gasht kartay rehtay hain wo
maskh surat ho kar nazar ajayn dosri ye k alam bila me jo pakizah khayalat
gasht kar rahay hain wo nazar ajayn maskh surat khuwab roiaay ka zaba or
haqeeqi khuwaboon ko roiaay sadqa kaha jata hai.