Topics

KAAM OR ARAAM

sawal: ALLAH farmatay hain k me nay din kaam karnay k li or raat aram keliy banai hai aap apni kitabon me likhtay hain k la shaoor ko bedaar karnay k liy neend kam karni chahiy bab taj ud diin raat ko maraqba kartay thay raat me jagnay se la shaoor bedar hosakta hai koi shakhs is tarhan kare to bemar to nahin hoga kehtay hain k loog raat me ibadat kartay hain ALLAH k qareeb hotay kitni neend karni chahiy kis waqt soyn kis waqt utthayn la shaoor ko bedar karnay k liy neend kam karnay se bemar to nahin hoongay?

jawab: neend or khanay peenay ka talluq adat se hai maslan ek admi apni khuraak 16 rotiyan kar le to wo 16 rotiyan khata rahay ga jisam is ka phelta rahay ga aisay bhi loog apnay dekhayn hongay menay to apnay peero murshad ko dekha hai wo choti choti do tikiyan ek tikiya subah or ek tikiya shaam ko khatay thay chaltay phirtay bhi thay kaam kaj bhi kartay thy namaz roza ghusal khana jana apna chota mota kaam karna wo sub kartay thy to ghiza ka jo masla hai wo aisa hai k is ko jitna chahay barha lo or jitna chahay chaho ghata lo hazrat Ali ka qool hai k mujhay herat hai k loog khatay hain or mar jatay hain itnay loog talwar se halak nahin huy jitnay khanay se halak huy hain yani wo itna khatay hain k bemar hojatay hain or mar jatay hain ab yehi surat e haal neend ki hai jo ghiza ki hai kam karen ya ziyadah karen 16 rotiyan khayn 4 rotiyan bhi kha saktay hain do subah khayn do sham khayn apki sehet acchi rahay gi aap apni ghiza ko kam bhi karsaktay hain or aitedal se hat kar ziyadah se ziyadah bhi kar saktay hain yehi haal neend ka bhi hai menay aisay loog bhi dekhay hain jo 16 16 ghantay bhi sotay hain in ki kamar hi nahin dekhti to is ka matlab hai k inhon nay apni neend barha li hai or aisay bhi loog hain jo teen ghanta sotay hain or teen ghantay sonay k baad bhi chak o chopand hotay hain or hazir dimag bhi rehtay hain buhut kaam kartay hain khud mein jab shuru shuru me kalam likhta tha amoman 19 ghnatay roz kaam karta tha ye aap k jo khatot atay hain wo mein saray khud likha karta tha ab to mujhy mashaAllah buhut saray loog mil gay hain in se bhi pora nahin hota jab k me akela kar karta tha 19 ghantay me kabhi nahin thaka is me zoq o shoq ka bhi bara dakhal hota hai meray peer o murshad qalandar baba aulia naay mujh se ye farmaya k ALLAH se dosti karni hai to makhloq se mohabbat karo khidmat karo to zoq o shoq me neend ka koi ghalba nahin hota tha.

ALLAH nay huzoor se farmaya:

ya aiyuhal muzammil o quran e kareem ki ayat

tarjuma: ay peghambar kambal orhnay wala!ALLAH apnay habib ko nat nay namon se yaad kartay hain apnay mehboob ko baray baray khitaab diy kabhi hum keh diya kabhi yaseen keh diya to kabhi ya aiyuhal muzammil o keh diya apnay habib apnay habib apnay mehbob ko jis tarhan bhi yaad karen.

ay peghambar raat ko adhi raat guzar jaay ya adhi raat se kam guzar jay ya thori ziyadah guzar jaay uttho or uth kar quran parho.

is ka matlab bhi ye hai k neend par control hasil karen to ziyadah sona jo hai jis tarhan admi kam sonay se bemar hota hai yani itnakam soyn ek ghanta hi soyn to lazmi bemar hojayn gay lekin farz karen ek admi ki neend ka waqfa 5 ghanta hai or wo char ghantay soy to bemar nahin hoga adat par jay gi or ek admi bilkul sota rehay to wo bemar par jay ga rohani loog ye kehtay hain k 5 ghahta se ziyadah nahin sona chahiy.

admi agar ek dam jagnay ki practice shuru karde to bemar hosakta hai ahista ahista agar practice ki jaay to 5 ghantay ki neend insan k liy kafi hai admi chust bhi rehta hai khush bhi rehta hai sehet bhi acchi rehti hai bhook bhi ziyadah lagti hai aap kabhi tajarba karlen k kam sonay walay bandon ko bhook ziyadah lagti hai kis liy k is liy k jitna kaam karen gay harkat hogi khana ziyadah hazam hoga agar kisi cheez ko aitedal se hat kar kiya jaaay to admi bemar hojay ga or agar kisi cheez ko aitedal me reh kar kiya jaay ahista ahista kiya jaay or sath sath ye k is k peechay koi rehnuma bhi ho ustad bhi ho to is me koi nuqsan nahin hogor na hi koi takleef hogi.

jis tarhan zindagi k taqazay poray karnay k liy hum aitedal kartay hain agar isi surat se neeend ki kami karden neend ki kami se bil shuba la shaoor bedar hota hai neend ki kami is had tak karlen k jitni humy zarorat hai agar humay 5 ghanta neend ki zarorat hai to 6 ghnatay khiyun soyn agar humay 6 ghanaty ki neend ki zarorat hai to humay chahiy k 6 ghantay soyn 7 ghanta kiyun soyn in 7 ghanton me duniya ka kaam karen mutalla ALLAH k naam ko phelanay k liy tableegh ka kaam karen beswein kaam karsaktay hain admi aitedal se hat kar koi bhi kaam kare ga bemar hojay ga wo neend ho chahay wo khana ho khana aap aitedal se hat kar khayn gay bemar hojayn gau or agar aitedal me reh kar kaam kiya jaay to wo kaam khushi ka bais ban jata hai or is se sehet mandi hasil hoti hai.


Taujeehat

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI


DIL ALLAH KA GHAR HEY IS GHAR MEIN, MEIN NEY AZEEMI KEHKASHAN DEKHI HEY. ALLAH KI MAARFAT AS MUNAWAR TEHRER KO AZEEM KEHKASHAUN KEY ROSHAN CHARAGHON KEY SUPERD KERTA HOON TAKEH WO IS NOOR SEY APNEY DILON KO MUNAWAR KAREN