Topics

TASAWWUF KI TA’REEF

Baatini Mushahidaat

Sufi Riyazat o Mujahidah ke baad mehboob ka deedaar kana chahata oy. Dhiyaan awr muraaqbo ke Zariya as ke andar io yaqeen raasakh ho jata hai ke zndagi ka maqsad sirf aur sirf ALLAH ka Irfan hai.

Tasawwuf aik aisa Ilm hai jo rooh main baalidgi paida karta hai aur makhlooq ka khaaliq kainaat se qareeb karta hai. Ruhaaniyat ya tasawwuf ke raaste ka musafir baatini kefiyaat aur mushahidaat se ALLAH ko dekh leta hai aur isay ALLAH sy humklaami ka sharf naseeb ho jata hai.

Ibdaal Haq Hazoor Qalandar baba Oliya (R.A) ny jismaani wazaif ke sath rooh ke Irfan ke amaal o ashgaal ko tasawwuf kaha hai. Islam main shariyat aur tariqat ka tasawaur bhi yahi hai ke ansaan ibaadat main jismani pakeezgi aur amaal ke saath Zehni tafikar ke zariye apni zaat se waqfiyat haasil kare ta ko as ke mushahidey main yeh baat aa jaaye ke ansaani zaat (Rooh) darasal kisi ansaan ke andar mawiraai  dunaiyaon main daakhil hone ka naam hai, choon ke rooh Allah ka aik hissa hai. Yani kul ka juz hai. Jab juz ka mushahidah hota hai to ( haqeeqat mutlaqah) saamne aa jaati hai.

Allah tala farmate hain:

“ Pas jo shakhs apne rab se Malaqaat ka aarzumand ho, asy lazim hai ke amaal saalehah kare aur apne rab ki ataa’t o farma’n bardaari main ksi ko shareek na kare.”

(Surah Kehf.Ayiat:110)

Muhabbat ( Allah ki tajjali) , toheed, taqwa aur tasawwuf ki buniyaad hai. Quran Paak ki taleemaat ka khulasa yeh hai ke Allah wahada la shareek hai aur Allah apni makhlooq se mohabbat karta hai. Quran paak ka nazool as waqt hua jab duniya shirk, kufar aur bt parasti ke andheron main gum ho chuki thi.

Insaan khud parasti, kubar o nakhuwat aur zar parasti main mubtila ho gaya tha. Fitri aqdaar ke munaafi khawishaat ko pura karny ky luy 360 button ko ma’bood bana liya gaya tha.

 Is pur’aashoob….be yaqeen …… fsaad sy bharpur aur waswason ke daur main quran ne elaan kia:

“Bas wohi har shey ka awwal hai…. Aur wohi har shey ka aakhir hai…..aur wohi har shey ka zaahir hai… aur wohi har shey ki knah ko janne wala hai.”

Tasawwuf, taqwa par amal karne ki ta’keed karta hai. Quran kehta hai key yeh kitaab mataqi logon ke liye hadayat hai.

“Be’shak Allah in logon ke saath hai jo mataqi hain aur mohsin hain.”

(Surah nehal.Ayat:128)

Tasawwuf, ishq o muhabbat ka sumandar hai aur muhabbat Hasool e maqsood ka zariya hai. Momin ko eeqaan haasil hota hai. Yaqeen mushahida se mashroot hai. Yeh kitaab is main koi shak nahin hai. Aur yeh kitaab hadayat deti hai in logon ko jo mataqi hain aur mataqi woh log hain jo geb par yaqeen rakhte hain aur salaat qaaim karte hain aur jo kuch kharch karte hain in ky yaqeen main yeh baat hoti hai keh yeh sab Allah ka diya hua hai.

           

            “Aur woh log jo emaan laaye is par jo kuch naazil hua teri tarf aur is par jo kuch naazil hua tujh se pehle …. Aur aakhrat par yaqeen rakhte hain wohi log hain hadayat par apny RAB ki tarf se aur wohi hain muraad ko pohnchne wale.”

(Surah Baqra-Ayat:4-5)

 

RUHAANI TASHREEH:

            Is Kitaab main kisi qisam ka shak aur shuba nahin. Aur yeh kitaab hadayat deti hai. Mat’taqi logo ko… aur mat’taqi log woh khawateen o hazraat hain jo geb par emaan rakhte hain. Emaan, yaqeen se mashroot hai. Yaqeen ka matlab hai kisi cheez ko is tarah dekh liya jay eke is main ib’haam baaqi na rahe. Aur qaaim karte hain salaat yani logon ka Allah ke saath raabtah rehta hai. Syedna Hazoor Al’leh Asalaath ke irshaad ke mutaabiq momin dekhta hai ke woh Allah ko dekh raha hai ya wo dekhta hai ke Allah issey dekh raha hai. Momin yaqeeni tor par is baat ka idraak rakhta hai ke bandah jo kuch kharch karta hai woh Allah ka diya hua hai. Allah paida karta hai to woh is duniya main aata hai. Allah wasaail fraham karta hai to woh wasail istemaal karta hai. Momin apni marzi se na jeeta

Hai aur na apni marzi se marta hai.

Mushahidah karne wale log oi Allah se waal’haanah mohabbat karte hain.

“Aur jo log momin hain woh sab se ziyadah mohabbat Allah hi se karte hain.”       

(Surah Baqrah-Ayat:125)

(Ae Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam) musalmaano se kehe dijiye ke agar tumhain apne baap dada aur bete aur bhai aur biwiyan aur rishtedaar aur woh amwaal jo tum ne kamaye hain aur tijarat jis ky nuqsaan se tum darte ho aur woh makanat jin ko tum bohat aziz rakhte ho. Agar in main se koi cheez bhi tumhain Allah se aur is ke Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam se aur is ki raah main jihaad se ziyadah piyari ya ziyadah mehboob hai to phir intizaar karo yehan tak ke Allah ka faislah saadar ho jaaye aur yaad rakho ke Allah faasqon ko hadayat nahin deta.”

(Surah Tobah-Ayat:24)

            Sufi qurb ilahi ka sheedaai aur Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki ziyarat se musharaf hone ke liye be qaraar rehta hai. Ruhaani aadimi Allah ki tarf raagib rehta hai. Allah Ta’lah farmate hain:

“Ae Rasool! Sajdah karte raho aur qurb e haq haasil karte raho.”

 

Ilm E Shariyat:

            Shariyat hamein btati hai ke duniya ki har takhleeq Allah ke hukam se wajood main aai hai. Allah qaadir e matlaq hai jo chahe jab chahe jis tarah chahe as kea mar se ho jata hai. Shariyat par amal karne se insaan ke shaoor main geb ko samjhne ki silaahiyat bedaar hoti hai.Is ke dimaag main geb beeni ke khaliye (Cells) charge ho jate hain. Sahib e shariyat bande main ALLAH ki nishaaniyon par tafikar karne aur tazkiah nafs ka rujaan barh jata hai.

            Tasawwuf ya ruhaani aloom seekhne ke baad insaani shaoor geb ki duniya ko dekh leta hai. Ansaan ko emaan yani yaqeen haasil ho jata hai ke duniya ki ibtda, intiha, awwal o aakhir, zaahir o baatin sab Allah ke a’haate main hai. Shariyat par karband banda namaz parhta hai aur sahib e tariqat sufi namaz main Allah ka deedaar karta hai. Aik aadimi baadshah ke ahkamaat par aur is ke banaye hue qawaneen par amal karta hai dusra aadimi bhi acha shehri hai qawaneen ka ahtraam karta hai lekin isse baadshah ki qurbat bhi haasil hai. Dono ache shehri hain. Lekin jise qurbat haasil hai, is ka darjah bara hai.

            Saahib E shariyat banda ALLAH ki baadshahi main ALLAH ke farma’nbardaar kitarah aehkamaat ki ta’meel karta hai buraiyon se bachta hai, Galtiyon aur kotahiyon ki muaafi maangta hai. Naik amal karne ki koshish karta hai. Yehi sab kaam sufi bhi karta hai lekin woh ALLAH ke qurb ka matmani hota hai. ALLAH ko jaanta hai. ALLAH ko dekhta hai. Har shey par ALLAH ke muheet hone ka mushahidah karta hai aur Allah Rag e jaan se ziyadah qareeb hai is Ayat ke musaadiq khud ko Allah se qareeb mehsoos karta hai.

            Surah baqrah ki ayat 1 se 4 tak main taqarab e ilallah aur haq ul yaqeen ka pura nisaab biyaan hua hai. Shariyat mutehrah hamain rehnumaai atta karti hai ke emaan bilgeb(Haq ul yaqeen)

Haasil karne ke liye is tarah amal kiya jay eke ham jo kuch karte hain is main hamara zehn kaamil yaksoi ke saath Allah se wabastah ho jaye. Ilm e shariyat aur Ilm hazoori seekhne ke baad insaan ke shaoor main geb par yaqeen karne aur geb ki duniya ke makeeno ko dekhne ki silahiyat paida ho jati hai.

Nafs Ka Irfaan:

            Tasawwuf kea loom ya Ilm hazoori haasil hone ke baad insaan aalam e duniya se nikal kar aalam arwaah main aalam e malakoot o jabroot main ponch jata hai.

            Sadaq e maqaal, akal e halaal kamaane wala banda aur seerat e tayyaba Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam par amal karne wala umati apne nafs aur apni rooh se waaqfiyat haasil kar leta hai aur Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke Akhlaaq husna aur Irshadaat par dil o jaa’n se amal kar ke Allah ko pehchaan leta hai.

            “Pas Ae Rasool jab Aap faraaiz mansabi se farag hoon to ebaadat main mehnat Karen aur apne Rab ki tarf raagib rahein.”

(Surah Alam Nashrah – Ayat: 7-8)

“Aur woh tumhare saath hai jahan bhi tum ho.”

(Surah Alhadeed – Ayat : 4)

“Be’shak Allah saath hai in logon ke jo mataqi hain aur mohsin bhi hain.”

(Surah Nehal – Ayat : 128)

 

Tazkiya E Nafs:

            Ruhaaniyat ya tasawwuf ke dastoor ul amal “ tazkiya e nafs” ke baare main Allah Ta’lah ka irshad hai:

            “Allah hi woh zaat paak hai jis ne umiyon main aik azeem ul martabat Rasool ma’boos farmaya, jo unhain is ki ayaat parh kar sonata hai, aur in ken afoos ka tazkiya karta hai aur unhain kitaab aur hikmat sikhata hai.”

(Surah Jummah – Ayat:2)

Surah muzamil ki ibtadaai Aayaat “tazkiya e nafs” ke rehnuma asool

Batati hain jis se waazeh hota hai ke sufiaa Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke har pasandeedah amal ki itbaa karte hain aur tam’maam ger pasandeedah amaal se ijtinaab karte hain.

Ahl e Allah Khawateen o Hazraat ne tasawwuf ya ruhaaniyat ke asool unhi Aayaat ki roshini main muratab kiye hain.

“Ae kapron main liptane wale, raat ko khare raha karo. Magar thori si raat yani nisaf raat ya nisaf se kisi qadar kam kar do.. Ya nisaf se kuch barha do.. Aur Quran ko khoob saaf saaf parho. Ham tum par aik bhaari kalaam Daalne ko hain. Be’shak raat ko uthane main dil aur zuban ka khoob mel hota hai. Aur baat khoob theek nikalti hai. Be’shak tum ko din main kaam rehta hai aur apne Rab ka naam yaad karte raho.. Aur sab se qata ta’luq kar ke isi ki taraf mutawajo raho. Woh mashriq o magrib ka maalik hai. Is ke siwa koi qaabil e ebaadat nahin. To apne saare kaam is oi ke supard kar do.

Aur yeh log jo baatein kehte hain in par sabar karo aur khooburti ke saath in se alag ho jaao. Aur in juthlaane walo naaz o nehmat main rehne walo ko chhor do. Aur in logo ko thore dino ki aur muhlat de do.

(Surah Muzamil – Ayat : 1-11)

Tasawwuf main jitney amaal o ashgaal , saalik ko talqeen kiye jaate hain woh sab Allah aur us ke Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke ehkamaat ke mutaabiq hote hain.

Amaal O Ashgaal:

1)      Zikar Azkaar Hamd o Tasbeeh karna

2)      Concentration, Talaash, Jadojehad, Tafakkur

3)      Salaat Main Allah Se Ta’luq Qaaim Karna

4)      Allah Se Qareeb hone Ke Liye Roze rakhna

5)      Tazkiya e Nafs Ke Baad Taqwa Ikhtiyaar Karna

6)      Musalmaan Hone Ke Baad—Geb ki duniya ka mushahidah karna

7)      Har taraf se zehn hata kar yaqsoi ke saath apne andar ka khoj lgana yani muraqbah karna

8)      Gussa par control haasil kar ke apne andar affu wa darguzar ki sifaat paida karna

9)      Allah ta’lah bager garz ke apni makhlooq ki khidmat karte hain, sufi bhi is sifat ke hasool ke liye khaalitan Allah ki makhlooq ki khidmat karta hai.

10)  Sufi samawaat par barooj ki zeenat ko aankhon se dekh leta hai.

11)  Sufi ke andar khof aur gham nahin hota. Jo Allah ke doston ki pehchan hai.

12)  Sufi nafs ki zalmat ko door kar ke apne Rab ko pehchanta hai.

13)  Sufi Aasamaano, zameen aur taskheer kainaat ke formulon se waqif hota hai. Allah Ta’lah isse nasoti duniya main hi janat dikha dete hain aur dozakh ke azaab se woh khud ko bachane ki har lamha koshish karta hai.

14)  Sufi Allah ki har nemat par shukar ada karta hai aur jo haasil nahin is ka shikwa nahin karta.

15)  Sufi mua’malah feham hota hai. Woh kisi ki haq talfi nahin karta.

16)  Sufi bilakhof mazhab o milat , har shkas ka ehtaraam karta hai aur in ke kaam aana apna farz samajhta hai.

17)  Sufi jhoot ko pasand nahin karta aur jhoot nahin bolta.

18)  Sufi salaam main pehal karta hai.

19)  Sufi sakhi hota hai. Mehmaan nawazi sufia ki riwayat hai.

20)  Sufi koi lam ul yaqeen, en ul yaqeen aur haq ul yaqeen haasil hota hai.

21)  Murshad ke faiz, Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki nisbat aur Allah ke fazal o karam se Sufi raaskhoon fil’ilm ke gro main shamil ho jata hai.


Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.