Topics

MAKHLOOQAAT

Makhlooqaat Ka Huliya:

          Kainaat main teen makhlooqaat markazi hesiyat rakhti hain……Farishte, jinaat aur insaan

Do makhlooq mukalaf hain aur aik makhlooq ger mukalaf hai.

Har makhlooq ke afraad libaas pehnete hain. Har makhlooq ke azaa haath aur per sab hain lekin khadokhaal aur naqoosh main farq hai.

Aik makhlooq ki aankh makhruti hai , naak chipti aur khari hai, chehrah kitaabi ya gol hai.

Dusri makhlooq ki aankhein badaam ki hain. Aankh ki putli main gehre rang ked ore hain, sutwaan naak kin ok gaayib hai, cheherah bewazi aur sar kashkol ki tarah hai.

Teesri makhlooq ki aankh mashroom ki tarah gol hai, naak guldastah ki tarah hai. Cheherah poore chaand ki tarah gol hai aur is makhlooq ka sar saanp ke sar se mushabah hai.

Aik makhlooq qad main barah se solah fit daraaz ya is se bhi ziyadah lambi hai.

Dusri makhlooq afwaan shabaab ki umar main nazar aati hai. Qad mutwaazan hai.

Teesri makhlooq paanch se chhe fit ko taah ya daraaz hai aur jism roshiniyon ka muraqah hai.

Aik makhlooq ke jism main double barqi ro dorti hai.

Dusri makhlooq ke jism main akhari barqi ro dorti hai.

Teesri makhlooq aisi roshini se murakab hai jise roshini nahin kaha ja sakta.

Aik makhlooq ke hawaas mehdood

Dusri makhlooq ke hawaas mehdoodiyat main la’mehdood.

Teesri makhlooq ke hawaas la’mehdood.

Aik makhlooq aik ghante main teen meel pedal musafat te karti hai.

Dusri makhloooq aik ghante main pedal sataayis meel chalti hai.

Teesri makhloooq ki parwaaz aik so assi hazaar (180) meel hai.

Pehli makhlooq anaasir (maadiyat) ke khol main band hai.

Dusri makhlooq roshini ke khol main band hai.

Teesri makhlooq ( aik laakh chhiaaysi hazaar do so biaasi meel fi second – (186282) ) roshini ki raftaar main muqeed hai.

Aik makhlooq ki bisaat zameen, dusri makhloooq ki bisaat khal’la, teesri makhlooq ki bisaat samawaat aur bet ul mamoor hai.

Aik makhlooq ko khane aur peene ki ishtiha ko pura karne ke liye araba anasir ki zarurat hai.

Dusri makhlooq ki ishtiha puri hone main phosphorus ka amal dakhal hai.

Teesri makhlooq main ishtiha ka taqazaah be rang roshiniyo’n se pura hota hai.

Khal’la :

            Khal’la aik taana baana hai is taane bane main makhlooq naqsh hai. Jese kapre par embriodery ya qaaleen par sher buna hua hai hota hai. Khal’la ka dusra rukh mehz taana hai is par bhi makhlooq ke khado’khaal naqsh hain. Khal’la ka teesra rukh aisi lehro’n se murakab hai jis main taana baana nazar nahin aata.

            Teeno makhlooqaat main lamas ka ahsaas hai, khush hone aur na’khush hone ke jazbaat hain lekin yeh ahsaas kahein bhaari aur kahein lateef hai, jahan bhaari aur bohat bhaari hai,

Wahan kashish saqal hai. Jahan halka hai wahan kashish saqal to hai lekin kashish saqal khal’la ka safar karne main mazaham nahin hoti, jahan lataafat hai wahan kashish  saqal (Gravity) Khatam ho jati hai.

Teeno’n makhlooqaat main har makhlooq ke andar lateef his majood hai sirf darjah bandi ka farq hai.

Aik makhlooq ke oopar kasaafat ka pardah ziyadah hai.

Dusri makhlooq par kasaafat ka pardah kam hai.

Teesri makhlooq par kasaafat ka pardah nahin hai.

Daono makhlooqaat teesri makhlooq ki tarah kasaafat ke parde aur ta’reeki ke khol se khud ko aazaad kar den to woh apne andar Allah ka noor dekh leti hain.

Quran hakeem main hai:

            “Allah Assamaano’n aur zameen ka noor hai is noor ki misaal aisi hai jaise taaq main main chiraag, chiraag sheeshe ki qandeel main hai. Qandeel goya keh moti ki tarah chamakta hua sitarah hai. Zetoon k embark drakht se roshan kiya jata hai. Na shaqi hai na garbi, qareeb hai keh roshan ho jaye agarcheh aag ne isse na chhuwa ho, noor ala noor hai. Allah jise chahta hai apne noor ko dikha deta hai aur Allah logo’n ke liye misaale’n biayaan karta hai aur Allah har cheez ko jaanne wala hai.”

            ( Surat Noor – Ayat : 35)

           Roohani musaafir (Saalik) jab rastah ke nasheeb o faraaz se guzarta hai to is ky shaoor main aik jhamaka hota hai aur is ki baatini aankh khl jati hai.

            Tasawwuf rehnumaai karta hai keh Allah se dosti ki shart yeh hai keh bandah woh kaam kare jo Allah ko pasand hai. Acha insaan wohi kaam kar ke khush hota hai jis se Allah khush hota hai.

Bees Hazaar Farishte:

            Har aadimi ke saath hazaar farishte huma waqt kaam karte hain. Is ki misaal yeh hai keh har aadimi Allah Ta’lah ka Computer hai jis mian bees hazaar chips hain. Aik chip bhi kaam na kare to pure nizaam main khalal par jata hai.

Do Kharab Cells:

            Insaani dimaag main do kharab cells hain har cell kisi na kisi his ( Sense) kisi na kisi az’zu, kisi na kisi Tissue, kisi na kisi shariyaan aur rag patho’n se mutaliq hai. Do kharab main aik cell bhi mutaasir ho jata hai to insaani jism par is ke manfi asraat muratab hote hain.

 Saans Aur Hawa:

            Hawa naak ya moonh ke zariye jism main jaati hai aur mukhtakif naaliyo’n se guzarti hui pure jism main daakhil hoti hai jaise jaise hawa aage barhti hai haw aka dabaao ziyadah hota rehta hai aur in naaliyo’n ka qat batdareej chhota ho jata hai aur phepharo’n main mojood teen million theliyo’n main hawa ponch jati hai. Ham kaano’n se sunte hain, aawaaz ki lehren kaan main daakhil hoti hain. Kaan ke pardah par baalo’n ki zarb se peda hone waali goonj main ham mayni pehnaate hain.

Khoon Ki Raftaar:

            Allah Ta’lah ki sanaai main insaan jis tarf bhi mutawajo hota aur Allah ki nishaaniyo’n main tafa’kur karta hai is ke ooper ajaaibaat ki duniya roshan ho jaati hai. Jism ke andar wareedo’n aur shariyaano’n main dorne wala khoon chobees ghante main pichhatar hazaar meel safar karta hai. Aadimi aik ghante main teen meel chalta hai. Agar woh musalsal bager waqfe ke 26 hazaar 380 ghante chalta rahe. Tab 75 hazaar meel ka safar poora hoga.

            Allah ne insaan ke iradah wa ikhtiyaar ke bager jism ko mutehrak rakhne ke liye dil ki duty laga di hai keh phelne aur sukarne ki silahiyat se saare jism ko aur jism ke aik aik azzu ko khoon faraham karta rahe.

            Sab ta’reefe’n Allah Rabb ul Aalmeen ke hain.

            Jo aalmeen ki khidmat karta hai.

            Jo aalmeen ko rizq deta hai.

            Jo aalmeen main aabaad makhlooq ko zindah rakhne ke liye aur marne ke baa’d ki zindgi ke liye wasaail faraham karta hai.

Allah Ki Aadat:

            Tasawwuf ke taalib Ilm ko murshad batata hai keh jab bandah ka Allah se ta’luq qaaim ho jaata hai to is ke andar Allah ki sifaat muntaqil ho jati hain. Khalaq khuda ki khidmat Allah ka zaati wasaf hai jo bandah makhlooq ki khidmat karta hai filhaqeeqat is ne woh kaam shuru kar diya hai jo allah kar roa hai. Jitna ziyadah makhlooq ki khidmat main inhimaak barhta hai is hi munaasbat se bandah Allah se qareeb ho jaata hai. Koi nabi, koi sufi ya wali aisa nahin hai jis ne nihayat khush dilli ke saath Allah

Ki makhlooq ki khidmat na ki ho.

            Sufi apne shaagirdo’n ko batata hai.

            Makhlooq ki khidmat Allah ki pasandeedah aadat hai.

            Sufi bila imtiaaz mazhab o milat se mohabat karta hai.

            Jo bandah makhlooq se nafrat karta hai aur ta’firqah daalta hai woh Allah ka dost nahin hai.

            Allah ka dost khudgarz nahin hota.

            Allah ka dost khush rehta hai aur woh sab ko khush dekhna chahata hai. Sufi talqeen karta hai keh aisi baato’n se Allah khush hota hai jin baato’n main khaloos niyat ho, akhwat ho, hamdardi ho. Eesaar ho.

Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya hai:

“Momin ki farasat se daro keh woh Allah ke noor se dekhta hai”

Momin main aisi farasat kaam karti hai jo noor ki duniya ka mushahidah karti hai.

            Jarri botiya’n, phal, phool aur pode bhi makhlooq hain. Jis tarah insaan ki pedaish marhalah waar prosis se hoti hai is tarha nabataat, jamadaat ki hayaat o mumaat bhi marhalah waar prosis par qaaim hai. Allah ne kainaat main har she ko jore jore banaya hai.

            Ya’ni har she ke do rukh hain… aur har rukh miqdaaro’n ( khaliyo’n) se murakab hai. Har khaliya ki berooni deewar main Oxigen, hydrogen aur carbon ka amal dakhal hai.

 Har Shae Ki Buniyaad Paani Hai:

            Har shae ki buniyaad paani hai, paani ke oopar hi takhleeq ka daar o madaar hai, paani na ho to zameen be aab o giyaah banjar ban jaati hai. Insaan, jinaat, podo’n, darakhto’n aur dusri tamaam makhlooqaat ki nasho numa ke liye nami, hawa aur garmi ka hona zaruri hai. Phosphorus, potashium aur naytrogan na ho tab bhi nasho numa nahin hogi aur yeh sab cheeze’n qudrat ne paani main jama kar di hain.

Darakhto’n main agar patte na hoon to darakhto’n ki zindigi makhdoosh ho jaati hai. Har patte main gas hoti hai, masamaat hote hain, in masamaat main carbon khoon ki tarah dorta hai aur yehi masamaat Oxgen ko bahir nikaalte hain.

Darakhto’n Ki Duniya:

            Patto’n ki aik puri duniya hai. Patte darakht ko zindah rakhte hain aur yehi patte agar beemaar ho jaain to darakht m beemaar ho jaata hai. Yehi patte jab zameen par girte hain to zameen ke oopar nabataat ke liye khaad ka kaam dete hain. Insaan ke paas aisi koi taaqat nahin hai keh wo itni bari zameen par khaad daal sake, bearish barasti hai, bijili karakti hai, bijili ki karak se bearish ki boondon se kheton ko besh baha naytrogen muhaya hoti hai. Allah Ta’lah farmate hain keh:

            “Aur tamaam jaandaar cheeze’n ham ne paani se banae’n. Phir yeh log eemaan kiyun nahin laate.”

            ( Surat Anbiya – Ayat : 30)

           “ Aur woh aisa hai jis ne aasmaan se paani barsaya, phir ham ne is ke zariyah se har qisam ke nabataat ko nikaala. Phir ham ne is se sabz shaakh nikaali keh is se ham oopar tale daane charhe hue nikaalte hain aur khajoor ke darakhto’n se ya’ni in ke guchhe main se khoshe hain jo bojh se neeche ko latake huwe hain aur is hi paani se ham ne angoor ke bag aur zetoon aur anaar ke darakht peda kiye hain jo aik dusre se milte julte hain aur aik dusre se milte julte nahin hain. Har aik ke phal ko to dekho jab woh phalta hai aur phir is ke pakne ko dekho… in main nishaaniya’n hain un logo’n ke liye jo yaqeen rakhte hain.”

            (surat inaam – Ayat : 99)

            “Aur wohi hai jis ne tumhare waste aasmaan se paani barsaya. Jis ko tum peete ho aur is darakht se seeraab hote hain. Aur is paani se tumhare liye kheti aur zetoon aur khajoor aur angoor aur har qisam ke phal peda karta hai. Beshak is main tafakkur krne ke liye daleel hai.”

            (Surat nehal – Ayat : 10-11)

            “Aur woh Rab aisa hai js ne tum logo’n ke liye zameen ko farsh banaya aur is main tumhare waste raaste banaye aur aasmaan se paani barsaaya phir ham ne is hi paani ke zariyah se mukhtalif aqsaam ke nabataat peda kiye ta ke tum khud bhi khaao aur apne jaanwaro’n ko bhi khilaao. In cheezon main aqal waalo’n ke liye nishaaniyaa’n hain.”

            (Surat Taha – Ayat : 53-54)

“Aur ham ne insaan ko matti ke johar se peda kia phir isse nutfah bana kar mehfooz jagah main qaraar de diya. Phir nutfah

(paani ki phatki) ko ham ne jamme hue khoon ke lothre ko gosht ka tukra kar diya.”

            (Surat Mominoon – Ayat : 13-14)

“Phir is ki nasal haqeer paani ke nichor se peda ki.”

            (Surat Al’Sajdah – Ayat :8)

“Kiya ham ne tum ko haqeer paani ken ichor se peda nahin kiya.”

            (Surat Al’mursalaat – Ayat : 20)

“Woh uchalte hue paani se peda hua.”

            (Surat Al’Tariq – Ayat : 6)

Baarish Barsaane Ka formala:

            Allah Ta’lah farmaate hain:

            “Aur yeh jo bohat si rang birangi cheeze’n is ne tumhare liye peda kar rakhi hain in main nishaani hai in logo’n ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain.”

            (Surat Al’nahl – Ayat : 13)

Tasawwuf kai lam hamari rehnumaai karta hai keh duniya main har cheez rangeen hai. Aur aik dusre ke liye lazam wa malzoom hai, har cheez dusri cheez ke liye esaar kar rahi hai, phoolo’n main rang wa boo, bhanware aur makhiyo’n ko apni tarf khenchti hai. Anjeer ke andar aik zojeen chhota sa gunchah hota hai, aik khaas qisam ki bhar guncho’n main andde de jaati hai, jab bache nikalte hain to nar anjeer maadah anjeer main chale jaate hain.

            Baa’z bele’n barahraast zameen se giza haasil nahin kartin balkeh dusre darakhto’n k eras par palti hain aur yeh darakht raftah raftah khushk ho jate hain, darakhto’n ki jarre’n kiyun keh paani jazab kar leti hain is liye zameen par daldal nahin banti, fiza jab darakhto’n ke saans se bhar jaati hai to baadal wazni ho kar barasne lagte hain.

            Registaan main agar be shumaar baans khare kar diye jaae’n aur in baanso’n ko mukhtalif rango’n se rang diya jaaye to qanoon yeh hai keh registaan main bearish barse gi aur jab tak

Yeh baans lage rahen ge bearish barasti rahe gi ta aankeh registaan nakhlistaan aur jangal main tabdeel ho jaaye.

            Heewanaat ki zindigi ka daar o madaar Oxgen par hai aur nabataat ki zindgi ka inhisaar carbon par hai. Agar oxgen kam ho jaye to heewanaat hilaak ho jayein ge aur carbon ka zakheerah na rahe to nabataat fana ho jayein ge. Yeh Allah ka banaya hua nizaam hai. Aur aik aisa Ilm hai jisse insaan ko wadiyat kar diya gaya hai. Puri kainaat Allah Ta’lah ka kunba hai aur is kunba ka har fard dusre fard se ham rishtah hai, har shey dusri shey ke kaam aa rahi hai. Har shey khoraak ban kar dusri shey ke liye esaar kar rahi hai.

Fitrat Ke Qawaneen:

            Zameen ke oopar mojood makhlooqaat ki yeh bohat mukhtasar roidaad is liye likhi gayi hai keh hamare andar tafakur peda ho, ham yeh dekh sakein aur samajh saken aur is baat par yaqeen Karen keh nizaam kaainaat main yeh qadar mushtarak hai keh har cheez dusri cheez se aik makhfi rishte main bandhi hui hai aur yeh makhfi rishta aisa mazboot rishta hai keh makhlooq main se koi aik fard bhi is rishte se inkaar nahin kar sakta aur na is rishte ko tor sakta ai, jab tak koi shey dusri shey ke kaam aa rahi hai is ka wajood hai warnah wo shey mit jaati hai. Yeh pura nizaam hai jo zameen main, paani ki duniya main, fiza main, khala main , aasmaano’n main, insaano’n main aur tam’maam makhlooqaat main jaari hai.

Kaainaati System:

            Qudrat yeh bhi chahti hai keh zameen ka koi khitta koi hissah qudrat ke fez se mehroom na rahe. Insaan darakhto’n ki

Khidmat karta hai aur darakht insaano’n ki khidmat par maamoor hain. Insaan heewanaat ki hifaazat karta hai aur heewanat insaano’n ke kaam aate hain.

            Hawa beejo’n ko apne dosh par utha kar door daraaz maqamaat tak pohnchaati hai. Dariya, nadiyaa’n, naale beejo’n aur jarro’n ko zameen ke har khitte tak pohnchaate hain. Yehi qanoon qomo’n ke arooj o zawaal main bhi naafaz hain. Jab koi qom is system se tajawaz karti hai aur eesaar se kaam nahin leti to qudrat isse fana kar deti hai.

            Quran hakeem main irshaad hai:

            “ Agar tum ne kainaati system se moonh pher liya to yeh zameen kisi aur ke qabzah main de di jaye gi.”

            Zameen par sirf wohi qome’n baaqi rehti hain jo mazaahir fitrat ke jaari wa saari qanoon se waqif hain aur herat angez takhleeq aur nizaam aafareenash ka mutaleah karti hain, sab se bara zulam aur jahalat yeh hai keh kisi qom ko yeh ma’loom na ho keh aasmaani duniya ka mushaidah kiye bager koi qom kainaati system se waqif nahin hoti.

            Zameen ke khazaano’n ko istemaal kiye bager qom zindah nahin rehti, zameen ke khazaano’n ke istemaal ka amal aur tareeqah quran main tafakkur (Concertration aur muraqbah) karna hai.

            Hazrat  Ibrahim aleh Assalaam ne kainaat main tafakkur aur Allah whdah la shareek ki paratish ko apni olaad aur ummat ke liye farz qaraar diya hai.

            Allah Ta’lah farmaate hain:

            “Main tujhe banana wala hoon insaano’n ke liye imam.”

            “Teri olaad main se zaalim log mehroom ho jayin ge.”

            (Surat Al’Baqrah – Ayat : 124)

Seeraat E Mustaqeem:

            Aaj ka dor khud garzi, maslihat koshi aur afratafri ka dor hai. Bila’shubah deen ko qom ke liye bhool bhaliyaa’n banana wale log zaalim aur sarkash hain. Seedhi si baat yeh hai keh khaaliq ne makhlooq ko peda kiya hai. Khaaliq ne zindah rehne ke liye wasaail atta kiye hain. Marne ke ba’d ki zindigi par bhi allah ki haakmiyat hai.

            Jis bande ka dili ta’luq Allah se qaaim ho jata hai. Woh siraat e mustaqeem par gaamzan hai aur siraat e mustaqeem par gaamzan khawateen o hazraat allah ke dost hain. Jinhain na khof hota hai aur na gham.

Allah ki kitaab jo Allah ke mehboob Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam par naazil hui. Jis main la’reb, shak nahin. Jo kitaab roshan daleelo’n ke saath hadayat hai mataqi logo’n ke liye jis kitaab ka har har lafz noor hai, yeh noor insaan aur khaaliq ke darmiyan ta’luq qaaim karta hai. Yehi noor zameen o aasmaan ki kunah hai jab koi insaan quran o hadees ki roshni main tasawwuf ke tareeqah par is noor ko talaash karta hai to Allah is noor ki hadayat deta hai jisse chahe.



Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.