Topics

BAIT

Duniyaawi aloom ki tarah salasal taraqeeyat aur khankaahi nizaam main bait (Shagradi ikhtiyaar karna) buniyaadi amal hai. Bait farz nahin hai lekin duniya main bohat saare kaam aise hain jo farz nahin hain. Maslan kahin nahin likha hai keh engineer banna farz hai, barhi ka kaam seekhna farz hai, doctor banna lazam hai. Lekin behrhaal ta’leem haasil karna mua’shre ki buniyaadi zarurat hai. Quran hakeem main Allah Ta’lah ne bait ke fawaaid biyaan kiye hain.

Quran Kareem Aur Bait:

            Allah Ta’lah farmate hain:

            “Ae pegambar! Jo log aap ke saath bait karte hain, Allah ke sath bait karte hain, in ke haathon par Allah ka haath hota hai.”

            (Surat Fateh – Ayat: 10)

“Tehqeeq khareed li Allah ne musalmaano se in ki jaane’n aur in ke maal aur is ke badle main in ke liye Jannat hai:

            (Surat Tauba - Ayat:111)

“Ae emaan walo! Allah se daro aur is tak pohncne ke liye waseelah talaash karo”

            (Surat Mai’dah - Ayat:35)

Zarurat e Sheikh

            Mufsareen, muqtadeen aur akabaren ke nazdeek waseelah se muraad “MURSHAD” ka waseelah hai. Ya’ni ustaad shaagird ka rishta hai. Shah Abdurraheem (R.A), Shah Abdul Aziz Muhdas Dehlwi (R.A) ne waseelah se yehi ma’ni muraad liye hain. Oliya karaam ka faislah bhi yehi hai keh waseelah se muraad sheikh

Taraqiyat ke ilawah aur kuch nahin ho sakta, lekin munkareen taraqiyat kehete hain keh waseelah se muraad “ nek amaal” hain.

Shah Abdul Aziz Muhdas Dehlwi farmate hai:

            Agar nek amal waseelah hai to sheik taraqiyat bhi mureed ke liye nek amaal karaane kay a siraat e mustaqeem par chalaane ka aur irfaan zaat ke baad irfaan illahi haasil karne ka waseelah hai.

            Allamah Zamhashri (R.A), Shah Abdurraheem (R.A), Ba’yazeed Bistaami (R.A) Junaid Baghdaadi (R.A), Moinuddin Chishti (R.A) Nizaamuddin Oliya (R.A) aur tam’maam Oliya Karaam, Qaadriya, Chishtiya Aur Naqashbandiya Salasal aur majdad Alif Saani (R.A) Molana Room (R.A), Fareeduddin Attaar (R.A), Allama Iqbal (R.A) Aur Qalandar Baba Oliya (R.A) Lafz “Waseelah” se muraad “Sheikh” hi lete hain.

            Jab Ham insaani jablat aur fitrat par gor karte hain to aik baat ke ilawah dusri Kisi baat par zehan nahin rukta keh koi bhi Ilm seekhne ke liye ustaad ki zarurat hoti hai.

            Log etraaz karte hain keh kitaab Allah ki mojoodigi main sheikh ki kiya zarurat hai?

            Is etraaz ke jawaab main kuch hazraat yeh kehete hain keh jab Allah ki kitaab mojood hai to mu’alam kitaab ki zarurat sawaaliya nishaan ban jaye gi. Yeh baat amar musalimah hai keh duniya main koi fann aisa nahin hai keh jis main ma’hireen mu’alam aur ustaad ki zarurat na ho.

            Deen aik mukamal Ilm hai aur deen main shariyat bhi aik Ilm hai Aur shariyat mehtarah ke saath tariqat bhi aik Ilm hai. Deen toheed parast logo’n ke liye aik markaz hai.

            Shariyat is markaz ke saath wabastah rehne ke qawaaid o zawabat aur rehnuma asool hain. Tariqat is markaz par muheet anwaar o tajaliyaat ke hasool ka zariyah hai.

            Jab koi bandah shirk o butt parasti se nikal kar Allah parast hota hai to wahan bhi isse ustaad ki zarurat pesh aati hai. Musalmaan hone ke baad shariyat seekhne ke liye bhi ustaad ki zarurat hai. Shariyat main arkaan namaz, oqaat namaz, rozah ke aadaab, hajj ke aadaab, muasharti qawaneen, parosiyo’n ke haqooq, Allah ke haqooq aur man hes ulqom musalmano’n ke islami aqaaid ke mutaabiq farz ki aagahi kai lam haasil karne ke liye bhi ustaad ki zarurat hai.

            Quran kareem Allah ki aakhiri kitaab hai jo aakhiri nabi syedna Hazoor Aleh As’salaat o Assalaam par naazil hui. Is ko samajhne ke liye bhi ustaad ki zarurat hai. Isi tarah tasawwuf ya ruhaaniyat seekhne ke liye bhi ustaad ki zarurat hai.

            Ham jab koi Ilm seekhna chahte hain to is baat ka itiminaan kar lete hain keh Ilm sikhaane wala sahib e Ilm hai. Agar hamein yeh baat ma’loom ho jaye keh Ilm sikhaane wala woh Ilm nahin jaanta jo ham seekhna chahte hain to ham is ki shaagardi ikhtiyaar nahin karte.

Shaoori Istidaad:

            Ruhaani aloom seekhne ke liye zaruri hai keh insaan jis shakhs ko murshad banaye is ke baare main tasadeeq kar li jaaye keh ustaad ruhaani aloom jaanta hai ya nahin?

            Ta’leem o tarbiyat ke bager shaoor ki daag bel nahin parti aur na la’shaoor ki darjah bandi hoti hai. Shaoor aur la’shaoor dono se muraad ta’leem o tarbiyat ka hasool hai.

            Duniya main jab koi cheez peda hoti hai to isse apni zaat ke ahsaas ke ilawah dusri baato’n kai lam nahin hota.

            Insaan ki pedaaish ke baad Allah Ta’lah ne farmaya:

            “Aur insaan ko woh Ilm sikhaya jo woh nahin jaanta tha”

            Aur Allah Ta’lah ne yeh bhi farmaya hai keh:

            “Aur ham ne Aadam koi lam Al’Asma sikhaya hai”

            Is ka matlab yeh hua keh insaan ke andar pehla shaoor is ka Ilm hai.

            Misaal: aik shakhs ka naam zed hai lekin zed ka naam zed ki pedaaish ke baad rakha gaya hai. Pedaaish se pehle is ka koi naam mua’shre main mu’ta’rif nahin tha. Peda hone ke baad zed main jo pehla shaoor bana woh maa’n ki qurbat hai ya’ni maa’n ki qurbat bhi Ilm  hai.

            Bacha maa’n ki qurbat ke Ilm  ke baad maa’n ka doodh peeta rehta hai aur maah wa saal guzarne ki munasbat se shaoor main izafah hota rehta hai aur shaoori sikat ke mutaabiq maa’n baap aur khaandaan ke afraad zindigi ki zaruriyaat se muta’liq bache ke andar aloom muntaqil karte rehte hain.

            Bail’aakhir bacha walden, khaandaan aur bradari ke shaoori naqoosh ko qabool kar ke is qaabil ho jata hai keh is ke shaoor main wusat peda ho jati hai aur phr shaoori wusat ke lehaaz se qom aur aqwaam aalam ka shaoor bacha ke saath zarab dar zarab ho kar aik shaoor laakho’n shaoor ke brabar ho jata hai.

            Qanoon yeh hai keh : jis shakhs main jitni ziyadah istdaad zakheerah ho jati hai isi munasbat se woh aalam faazal aur Genious hota hai.

            Lekin yeh baat apni jagah attal haqeeqat hai keh agar pehle din peda hone wale bache main shaoor na ho aur shaoori istadaad qabool karne ki silaahiyat na ho to bacha aalam faazal nahin hoga is ki misaal Handicapped bache hain.

Asaatizah Ka Kirdaar:

            Yeh baat bhi dhoop ki tarah roshan hai keh agar maahol main asaatizah ka kirdaar na ho tab bhi bacha aalam faazal aur daanishwar nahin ho sakta.

            Ma’hol main asaatizah ke kirdaar ka matlab yeh hai keh ta’leem o tarbiyat ke liye school, college aur niversitiyaa’n

Mojood hoon. Jis tarah duniyawi aloom seekhne ke liye school, college aur universitiyo’n ka hona zaruri hai, isi tarah Ilm  taraqiyat, tasawwuf ya ruhaani aloom seekhne ke liye darasgahain (Khaankai Nizaam) zaruri hai.

            Jab se khaankai nizaam par qadgan lagai gayi hai. Isi waqt se insaan be sakoon, be chain, pareshan , aids aur cancer jaise mozi marz ka shikaar ban gaya hai. Is liye keh insaan ka maadi wajood saraand aur ta’fan ke ilawa kuch nahin hai. Saraand aur ta;fn main imraaz hi peda ho sakte hain.

            Duniyawi aloom ke saath saath Quran Paak aur ahdees ki ta’leem ke mutabiq jismaani wajood ko zindah rakhne wali, saharah dene wali, rooh ka idraak zaruri hai aur rooh ke idraak ke liye bait ya’ni ruhaani ustaad ki shgardi zaruri hai. Tasawwuf ka asal asool yeh hai keh rooh (insaanki asal) noor aur roshiniyo’n se bani hui hai. Jab tak roshiniyo’n ka insaan maadi jism ko apna ma’mool banaye rakhta hai insaan zindah rehta hai aur jab roshiniyo’n ka insaan maadi anaasar se bane hue jism ko chhor deta hai to aadimi mar jata hai.

            Ruhaani ustaad, urf aam main jisse murshad kaha jata hai is qanoon se waqif hota hai aur yeh Ilm  isse apne murshad aur syedna Hazoor aleh Al’Salaat o Assalaam se muntaqil hota hai.

            Ruhaani shaagird ya mureed jab murshad ke halqh main aa jata hai to mureed ke andar Positive aur Negative roshiniyo’n ka nizaam ba’haal ho jata hai. Mureed ki roshiniyo’n main muraad lo roshiniyaa’n shaamil ho jaati hain. Is amal se batdareej ta’fan kam hota rehta hai. Jis munasbat se ta’fan kam hota hai isi munasbat se lateef roshniyo’n ka zakheerah hota rehta hai.

            Mureed hone se pehle zaruri hai keh sheikh ki zindigi ke ahwaal o amaal se mureeed mut’maeen hua agar mureed aur muraad main zehni ham aahngi na ho to mureed karna ya mureed hona dono aqal o shaoor ke khilaaf hain.

            Mukhtasaran is ka matlab yeh hai keh jab tak muraad aur mureed dono ke mizaaj main, aadaat o khasaail main, nishat o barkhaast main, wazah daarri main, tareeqat o shareeyat main puri tarah mutab’qat nahin hogi bait ka faidah nahin hoga.

Bait Ka Qa’noon:

            Aik jagah bait hone ke baad murshad ki ijazat ke bager mureed kisi dusri jagah bait nahin hosakta. Murshad ke wisaal ke baad bhi bait khatam nahin ki ja sakti. Albatah kisi sahib e ruhaaniyat ki sha’girdi ikhitiyaar ki ja sakti hai. Wisaal ke baad bait ko is liye khatam nahin kiya ja sakta keh wisaal ke baad bhi ruhaani fez jaari rehta hai.

            Ruhaani Ilm  dar’asal warsah hota hai. Ruhaani Ilm  darasal warsah hota hai. Jis tarah sulbi baap olaad ki behtareen tarbiyat karna apna maqsad e zindigi samajhta hai isi tarah murshad bhi shab o roz ruhaani olaad ki tarbiyat main mashgol rehta hai. Bari aziyate’n takleefe’n aur pareshaniya’n bardaasht kar ke apne shagird ke andar ruhaani tarz e fikar muntaqil karta rehta hai. Shagird ki kota’hiyo’n par sabar karta hai. Is ki ghalatiyo’n ko muaaf karta hai. Murshad apne shagird ke liye mukamal esaar hota hai.

Nizaam E Tarbiyat:

            Tarbiyat ke do tareeqe hain:

            Aik tareeqah yeh hai ke daant dipat kar tarbiyat ki jaye, gussah kar ke kisi kaam se roka jaaye. Is tarz e amal se tarbiyat to ho jati hai lekin bande ko jab bhi moqa milta hai aur khof daaman e ger nahin hota woh is kaam ko zaroor karta hai jis se mana kiya gaya tha.

            Tarbiyat ka dusra tareeqah yeh hai keh kotahiyo’n par sabar kiya jaye aur ghalatiyo’n ko muaaf kiya jaaye. Is qadar muaaf kiya jaaye keh bandah sharmindah ho kar in kotahiyo’n aur ghalatiyo’n ko chhor de. Aisa shakhs ghalatiyo’n ko nahin dohraata bal’keh tarbiyat karne wale ustaad se mohabat karta hai.

            Jaa’n nisaari ki aakhiri had tak is ka saath deta hai.

Ruhaani Ustaad Ki Khasusiyaat:

            Oliya Allah ne ruhaani ustaad ki jo khasusiyaat biyaan ki hain woh darj e zel hai:

Haqooq ul ebaad poore karta ho.

Aakhrat ki zindgi par yaqeen rakhta ho.

Allah Ta’lah ke deedaar ka mushtaaq ho.

Kamaal ka dawa na karta ho.

Karamat dikhaane ka shoqeen na ho.

Isse Oliya Allah ki qurbat haasil ho.

Seerat e tayyabah par is ka amal ho aur seerat e tayyabh ke mutabiq apne shagirdo’n ki tarbiyat kare.

Har haal o qaal main is ka mant’haaye nazar Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka akhlaaq husnah ho.

Raaskhoon fil’ilm ho.

Har baat ko man’jaanib Allah samajhta ho.

Is ki majlis main bethne se duniya ki mohabbat main kami aur Allah Ta’lah ki mohabbat main yaksoi mehsoos hoti ho.

Jo kuch murideen se chahata ho khud bhi is par amal kare kiyon keh amal ke bager ta’leem ka asar nahin hota.

Su’aaleh aur mu’alam ho.

Zarurat mando’n ki darkhawst ko gor se sun kar is ka tadraak kare.

Allah ki makhlooq ki khidmat karne se khush ho.

Murshad jo kuch Allah ne diya hai is par dil ki gehraiyo’n se shukar kare aur jo kuch haasil nahin hai is ka shikhwah na karta ho.

Ilm tareeqat haasil karne ke liye ishq be had zaruri hai. Allah aur is ke Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam se ishq ke bager koi musalmaan momin nahin hota.

Allah Ta’lah farmate hain:

“Momineen shid’dat ke sath Allah se mohabbat karte hain.”

“Ae nabi (Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam) kehe dijiye keh agar tum Allah se mohabbat karte ho to mera itabaa karo Allah tum se mohabbat kare ga.”

(Surat Al-Imran – Ayat: 31)

Jis se Allah mohabbat karta hai woh Allah ka mehboob hai. Is se zaahir hua keh Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki itaa’t se bande ko maqam mehboobiyat atta ho jata hai.

Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka irshaad hai keh:

“jis main mohabat nahin is main emaan nahin.”

Hadees qudsi hai:

Main chhupa hua khazanah tha, main ne mohabbat ke sath makhlooq ko peda kiya ta’keh makhlooq mujhe pehchaane.

Bait karne se pehle murshad ke intikhaab main agar diqat pesh aaye to tasawur karna chahiye keh is ki qurbat se dil main asar peda hota hai ya nahin ya’ni dil main Allah ki mohabbat mehsoos hoti ho aur gunaho’n se bezaari.

Hadees shareef main Oliya allah ki yeh alamat biyaan ki gayi hain:


Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.