Topics

Rohani Nazriya Ilaaj

Amraaz aur bimarion ko jama kya jaye toh in ki tadaad senkron se tajawaz kar jati hey. In amraaz ki noiyat aur wajohaat bhi allag allag hein. “Roohani nazriya ilaaj”ke mutabiq amraaz ke do rukh hein. Aik jismani aur doosra zehni ya Rohani. Jismani nizaam mein kisi be etdaali, keemiyai ya tabee tabdeeli ka naam marz hey. roohani nazriya ilaaj mein har marz ke khadd-o-khaal hotay hein aur har marz ka roohani wujood bhi hota hey. Yeh dono rukh aik dosray se wabsta hein. Mojooda daur mein nafsiati aur tabee amraaz ka jo kirdaar samnay aaya hey is ki roshni mein is ko samjhna mushkil nahi hey. roohani ilm ka nazriya ilaaj yeh hey ke amraaz ke jismani wujood ke sath sath roohani ya zehni wujood par zarb laga li jaye aur zehni tor par is ki nifi ki jaye toh bohat jald Shifa haasil ho jati hey. Nah sirf jald Shifa haasil ho jati hey balkay paicheeda o laa ilaaj amraaz se nijaat bhi mumkin hey.

Chunkay bimarion ka roohani pehlu is kitaab ka mauzo nahi hey. Is liye hum tafseel mein jaye baghair aik aisa umomi programme darj kar rahay hein jis ke zariye amraaz mein qowat Shifa ka ziyada se ziyada zakheera kya ja sakta hey. Jis qader zakheera ziyada ho ga aur mareez ki qowat yaqeen irtkaz haasil kere gi, woh Shifa ke qareeb hota jaye ga.

Raat ko jald so jayen aur subah beedar ho jayen. Beedar ho jayen. Beedar honay ka waqt namaz Fajar se nisf ghanta qabal hona chahiye.
Ba wudu ho kar saans ki mashq number 1 injaam den.

Zehan ko tamam khayalat se azad kar ke chehal qadmi karen aur ya Hafeez ka vird karte rahen. Yahan taq ke namaz Fajar ka waqt aa jaye.

Namaz Fajar ke baad muraqba mein baith kar yeh tasawwur kya jaye ke sahib muraqba arsh Ellahi ke neechay betha hua hey. Aur arsh se ism “ya Shafi” ki noorani shu’ayen is ke oopar nazil ho rahi hein.

Das se pandrah minute yeh tasawwur kya jaye.

Chand mah is muraqba par amal karne se mareez ki tabiyat sahet ki janib mael ho jati hey aur bil akhir mareez acha ho jata hey. 


MURAQABA

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Ghaare Hira ke naam
jahan Nabi Aakhir ulzman Alaihiesalat o valslam ne Muraqba kya aur
Hazrat Jibrayel (a. s) Quran ki ibtidayi ayaat le kar zameen par utre