Topics

SIR MEIN DARD

Eik sooti romaal per

بِسّمِ اللّهِ الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ

رَ ضَیْنَا بِا الْقَضَیْنَا فَاتُوْ بُرْھَا نْ اَلْفَ مَرَّۃٍ

RADAINA  BIL QADAINA  FATOO BURHAN ALFA  MARATIN

parh ker phoonk marein aur girah(knot) laga dein.Yeh roomaal sir mein eis tarhan bandhey ke girah kanpati ke ooper aa jaye.Ager dard paurana ho to yeh roomaal subha saweerey bandh ker raat ko soney se pehley chand minute ke liye khol dein aur phir bandh lein aur kayee roz tak yeh silsila jari rakhein.Wozoo ya ghusal kartey waqt roomaal khol leney mein koi harj nahi hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.