Topics
Iktelaaj-e-kalb dil ki kamzori ki waja se ho,aam jismani kamzori ki
waja se,blood pressure,peham sadmat ya teiz adwiyaat ke eistemal ki bina per ho
sab ka elaaj eik hey lekin tareeqa muktalif hey.
YA HAYOO QABLA KULEY SHEYEE YAA HAYOO BAADA KULEY SHAYEE
Teen martaba parh ker pani per dam kar ke pee lein.
Sadma ki waja se ager iktilaf ki kaifiyet mustaqill ho gayee hey to
eis amal ko kaghaz per likh ker shehad(honey) mein dalein aur yeh shehad mareez
din mein kam az kam teen bar eistemal karey.
High blood pressure ki waja se ho to subah ke waqt nihar monh
cheeni ke sharbat per dam ker ke piyen.
low Blood pressure ki waja se ho to namak per dam ker ke eik sheeshi mein rakhlein aur khana khatey waqt yeh namak cherak ker khayen.
Ager aisey
halat na hon ke yeh maloom kiya ja sakey ke ikhtelaaj-e-kalb ki waja kya hey to
eik barey kaghaz per motey kalam se bohat khushkat اللہl likhein aur eis kaghaz ko
kisi gattey
per chipka dein.Raat ko soney se pehley eis gattey ko aisee jaga rakhein jahan
koi aur shaks na ho gehri nigah se eism اللہl
per nazar jamayein aur aankhein band ker ke yeh tasawur karein ke Allah ka noor
bareish ki tarhan hamarey ooper nazil ho raha hey.Takreeban 10 minut.baad aankhey
khol dein aur baat kiye baghair so jayen chand din ke eis amal se
ikhtlaj-e-kalb ki takleef allah ke karam se hamesha hamesha ke liye khatam ho
jayegi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.