Topics

MOONH MEIN KHOON BHAR JANA.

         Dimaagh,halaq,masooron aur phephron ke mutaasir ho janey se keisi na maaloom waja ki bina per din ya raat ko sotey waqt,moonh mein khoon bhar jata hey aur mareez ko bar bar khoon ki kuliyaan karni parti hain.Aur eis tarhan jeism ka sara khoon nikal jata hey.Yeh halaat nihayat tashwishnaak aur khaternaak hoti hey.Elaaj yeh hey.Umdah keism ki royee le ker do phoiyoon per eik martaba

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ

سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى ۙ  الَّذِي خَلَقَ فَسَوَّى ۙ

وَالَّذِي قَدَّرَ فَهَدَى ۙ وَالَّذِي أَخْرَجَ الْمَرْعَى ۙ

فَجَعَلَهُ غُثَاء أَحْوَى

Parh ker dam karein.Aur eik eik phoya donon kanoo mein raat ko sotey waqt rakh lein.Agli raat yeh phoye nikaal ker doosrey do pioein per dam karein ke kanon mein rakh lein.Amal ki muddat 7sath roz hey phoye jama ker ke behtye pani mein ya kooyein mein daal dein.

           Allah ke kalaam ki barkat se bohat asaani ke sath marz khatam ho jata hey.Aisey kayee mareez merey paas laaye gaye jo maheenon se hospital mein dhakhil they,mualij heeran aur pareshaan they ke yeh khoon kahan se ata hey? Mareez ko bar bar khoon diya jata tha aur yeh khoon bhi moonh ke rastey nikal jata tha.Eis fakeer ne Allah per yakeen ke sath yeh elaaj tajweez kiya aur sub mareez khuda ke fazal se sehet yaab ho gaye.Muaalij hazraat ke liye yeh baat muamma bani hoyee hey ke yeh khoon keis tarhan band ho gaya?

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.