Topics
Zehan ke woh khaliyey(cells) jo jismani saakht ki nasho noma mein
tanasub barkarar rakhtey hain ager kisi waja se mutasir ho jayein to insaani
chehra jawani mein bhi bachon jaisa nazer ata hey’eis ke liye chahiye ke suraj
tuloo honey se pehley aur raat ko sotey waqt wozoo ker ke “BEISMILLAH SHAREEF بسم اللہ شریف” ke baad eik hazar martabah “YA SHAFI یَا شَافِیْ parh ker donon hathon per dam karein aur hath
chehrey per pherein.Elaaj ki muddat kam se kam teen mah aur ziyadah se ziyadah
6 maheeney hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.