Topics

AQEEDAH KHARAB HONA

Aqeedah jab kharab ho jata hey to insaan ke dimagh mein aisey waswasey aur khayalaat aaney lagtey hain jin mein khuda,rasool aur mazhab se bezaari payee jati hey aur yeh bezaari ghair ikhtiyaari hoti hey.Aqeedey ki kharabi aur zameer ki malaamat se nazer na aaney wala eik mutaffan phaura eis ke baaten mein peida ho jata hey jeis ki waja se who itna be chain rehta hey ke eis ki meisaal bari se bari bimaari mein bhi nahi milti.Allah Tallah hum sab ko apney hifzo amaan mein rakhey.Eis takleef dhey kefiyat se nijaat paaney ke liye kaurey ya dhuley hooey khadar ya lathey ka eik kurta silvaya jaye yeh kurta saarey jeism per eik eik baalisht zaaid ho aur takhnaun tak neecha ho.Asteen bhi eik eik baalesht khuli hoyee hon keisi aisey kamrey mein jeis mein andhera ho.(Andhera na ho to andhera kar liye jaye) yeh kurta pehn ker panderah15 minut tak tehaliyeh(walk) aur tehletey waqt

   بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ

الْحَمْدُ لِلَّـهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ ﴿٢﴾ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ ﴿٣﴾

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ ﴿٤﴾

al hamdo llila hey rabol aalameen ar rehmaner raheem maaliki youmedeen

Parthey rahiyeh.Pandhra15 minut ke baad andherey hi mein kurta utaar ker teh kar ke  eisi kamrey mein keisi mehfooz jaga rakh dein.Jab tak aqaayed durust na hon us waqt tak yeh amal kiya jaye.Sirf andhera shart hey. 

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.