Topics

HIFAAZAT DOURANEY SAFAR.

Safr pe janey se pehley ya jaye rihaeish se nikalney ke baad 


Parh ker asmaan ki tarf moonh ker ke phoonkh mar dein.Inshallah taalah dauran e safar her afat aur na gahani hadesa se mehfooz rahein gey.Dauran e safar gheibi imdad bhi hasil ho gi.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.