Topics

KHOOAB(Dream) MEIN DARNA.

Her waqt kuch na kuch sochtey rehney se,woh roshniyaan jo asaabi nizaam banti hain,muntashir ho ker zayaa ho jati hain.Nateejey mein dimaagh ka woh heisa jis per shaoori tahriqaat ka dar o madaar hey kamzoor par jata hey aur jab yeh soorat waqey ho jati hey darawoney khowaab ziyadah nazer aatey hain.Ager dimaagh ko kisi eik nuktey per markooz kar diya jaye to darawoney khowaab anaa bandh ho jatey hain.Eis ke liye chaltey phirtey othtey bethtey ,wazoo aur bagheir wazoo

"Asha nazeefatoon "  اَلشَّاۃُ نَظِیْفَۃٌ wird kartey hain.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.