Topics

HIBS-E-RIYAH.

Nizam hazm ki kharabi maidhey ki khoshki,yaboost aur kabz ki waja se be shumar riyahi amraaz peida ho jatey hain.Riyahi amraz mein eik marz hibs e riyah bhi hey.Eis mein riyah asfal ki bajaye aala ki taraf rojoo karney lagti hey.Dil ke gird jama ho jaye to dil ke ooper dabao parta hey aur admi ka dam ghotney lagta hey.Sir ki taraf chali jaye to adha seesi ka sir dard sinus ho jata hey.Eis ka rukh hathon ki taraf ho jaye to hathoon mein dard aur baaz auqat sansanhat honey lagti hey.Ager maidey ke moonh per eis ka zakheera ho jaye to maidey mein hiddat peida ho jati hey jeis ki waja se cheenkein ba kasrat aati hain.Antoon mein yeh gas ager mustaqil daur karti rahey aur eis ka ber waqt aur saheeh tadaruk na ho to  jigar aur antoon ke kayee amraaz  peida ho jatey hain.

     Ghiza mein rad o badal aur perhaze ke sath hibs-e-riyah,sang rehney,kolanj ka dard,aant ka badhna,aantonn ki kamzauri,dast aur jumla amraaz maidey aur aantonn ke liye zard rang ki saaf shiffaf eik wilayeti sheeshi khareed ker eis mein paka hooa pani bhar dein aur eis mein mazboot quark laga dein.Pani bhartey waqt eis baat ka khayal rakhein ke sheeshi ka ooperi chothai heisa khali rahey.Eis sheeshi ko aisi jaga dhoop mein rakhain jahan subha se teen chaar bajey shaam tak dhoop rehti ho.Shaam ke waqt sheeshi otha lein.Eis pani mein zardey ka rang ghool ker roshnayee bana lein aur eis roshnayee se safaid cheeni ki teen adad platoon per alag alag yeh naksh likhein.


 Subha naashtey se pandarah minute pehley,Dopehar aur raat ko khaney se aadha minute kabal eik eik plate dhoop mein tayaar shudah pani se dho ker piyein

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.