Spiritual Healing
Insaan ke ander do dimaagh kam kartey hain.Lekin donon dimaagh baik
waqt eik sath poori tarhan muteharik nahi rehtey.Eik dimaagh hamesha magloob
rehta hey aur doosra ghalib.Ager keisi waja se ghalib aur magloob reheny ka mal
mutaasir ho jaye to zawaal ke baad behoshi ke daurey parney legtey hein.Eis ka elaaj
yeh hey:-mareez ko chahiye ke daurah
parney ke waqt se adhey ghantey pehley araam aur beister mein late
jaye aur یَا حَفِیْظُ YA HAFEEZO ka
wird karta rahey.Neend aye to so jaye. یَا حَفِیْظُ ka wird eis waqt
tak kiya jaye jeis waqt daurah parta hey.Lekin daurah parney ke waqt ke baad
bhi eik ghantey tak beister per rahey.Eis amal ki muddat 40chalees roz hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.