Spiritual Healing

SHOHAR KA GUSA KHATAM KARNEY KE LIYE

Biwi shohar ki neisbat ziyadah mohabat karney wali hoti

hey.Eis ke ander mohabat ka talatum khaiz samander hi hey jeis ki bina per nasal e insaani ki baqa aur nasho numa jari hey ager biwi ke sath poori muhhabat ki jaye aur shohur ki taraf se eis ko zehni sukoon mayaser aa jaye to moaashrey ki ziyadah ter buraiyaan khatam ho sakti hain jeis ka aser barah e rasat aaney wali nasloon per parta hey.

Shohur ke na rawa salook se nijaat paaney ke liye eisha ki namaz ke baad biwi awal o aakhir 11 giyarah11 giyarah martabah darood shareef ke sath.

bismilahi er rahman er rahim bismillahi al wase o jala jalla lahoo 

بِسّمِ اللّهِ الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ

بِسّمِ اللّهِ اَلْوَاسِعُ جَلَّ جَلَا لُہُ

Musalley per beith key eik tasbeeh parhey aur dua karey.

Ager aisey halaat peida ho jayein ke shohar talaaq deney per amaadah ho ya eis ke ander biwi ko alheyda karney ki zid peida ho jaye ya biwi ko ghar se nikaal dey aur inteqaman esey ghar na bulaye to biwi ko chahiye ke raat ko soney se pehley ba wazoo mussaley per beth ker 41iktaleis bar surah QULH HO WALLA AHAD قُلْ ھُوَاللّٰہُ اَحَدُ poori surat parh ker baat kiye baghair bister mein chali jaye aur late ker aankhey band ker ley aur apney shohar ka tasawur kartey kartey so jayein.Eis amal ki muddat bhi 90nawey din hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.