Spiritual Healing
Yeh baat zehn nasheen rehna chahiye ke dantoon ke amraaz ka taaluk
baraah e rast maidey se hota hey.Maidey ka nizaam ager saheeh rahey aur dantoon
ki safai ka poora ehtimam kiya gaya jaye to dantoon ke amraaz nahi hotey.
Pairiya mein masoorhon ke ander ratoobat jama ho ker sar jati hey aur phir yeh ratoobat peep miley khoon ke sath khaarij hoti rehti hey.Bohat na muraad marz hey mushkil se peecha chorta hey.Meidey ki durastigi aur danton ki safayee ke intizam ke sath sath subha suraj nikalney se pehley eik arsey tak palak ke patey per “ILA AJALIN MUSAMA” اِلیٰ اَجَلٍ مُسَمّٰی eik martabah dam ker ke palak ko khoob chabaya
jaye.Chabatey waqt eis
baat ka khayal rakhey ke luaab halak ke ander na jaye.Palak ke patey ko achi
tarhan chaba kar thook dein.eis amal ko din mein teen martabah dohrayein aur her
martabah yake baad deegerey eik eik pata ley ker teen patey chabayein.Eis amal
ke adhey ghantey baad tak na koi cheeze khayein na piyein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.