Spiritual Healing

NEEND KUM ANAA YA BILKOL NA ANA.

Neend kam aaney ki wojoohaat mein bari waja dimaagh mein kushki asaabi kashaakash,dimaaghi kashmakash ya belfaaz e deeger dimaaghi khalafshaar.Zehni dabao fikr o alam aur khoof o ranj hotey hain.Pehley in batoon se jahan tak mumkin dimaagh ko khali karna zaroory hey.Aisa karna irtikaaz e tawajho ke amal se bohat asaan ho jata hey.

Sab kamoon se faarigh honey ke baad araam de bister per late jayein.Jeism ko dheela chaur dein.Aankhey band ker lein aur yeh tasawoor karein ke gardan se naaf tak jeism per sheeshey ka eik bara jar rakha hooa ho aur eis mein halki thandi aur farhat ameiz roshniyaan bhari hooyee hain.Jab yeh tasawor kaayem ho jaye to surh al bakra ki pehli ayat

الم ذَلِكَ الْكِتَابُ لاَ رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِيْنَ سے  يُؤْقِنُونَ تک

tak parhna shiroo ker dein.Chand baar parhney se neend ki meethi aaghosh naseeb ho jaye gi.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.