Spiritual Healing

MOONH SE BADBOO ANA.

Maidey mein peivast aur taafoon ki waja se gas jab ooper ki

taraf rajoo karti hey to moonh se boo aney lagti hey.Ager masooron ke ander ya danton ke khalaa mein ghiza ke zaraat jama ho ker sard jaein tab bhi moonh se boo aati hey lekin woh boo jo gas ki shakal mein moonh se khaarij hoti hey doosrey logon ke liye intehayee zehni takleef ka sabab banti hey.Mareez ko eis ka itna ehsaas nahi hota lekin mukhaatib ke ooper eis bad boo se woh hi taasur kaayam hota hey jo keisi sakht badboo dar cheez se ho sakta hey.Eis ke dafayaa ke liye khaney ke nizaam al amal mein aitidaal bohat zaroory hey.Eis  mareez ko chahiye ke who waqt be waqt koi cheez na khaaye.Jo bhi khana ho sirf in auqaat mein khaye jo eis ne apney khaney ke liye muqader kiye hein.Baasi aur khamir wali ghizayein hergiz eistemaal na ki jayein.Khaaney halkey pholkey aur zood hazam honey chahiyein.Jab bhi paani piyein 3teen martabah

MARKOONA ROKOONI

مَرْکُوْنَ رُ کُوْنیِ

Parh ker ke piyein aur zuhr ki namaz ke baad

eik tasbeeh parh ker eik pound khaaleis shehad per dam karein.Yeh shehad din mein 3teen waqt subha naashtey se pehley,dopehar aur raat ko khaaney se pehley eik eik chamchi eistemaal karein.Daant her waqt bilkol saaf rehney chahiye khwaa manjan se kiye jayein ya meiswaak se.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.