Spiritual Healing
Dimaagh,halaq,masooron aur phephron ke mutaasir ho janey se keisi na maaloom waja ki bina per din ya raat ko sotey waqt,moonh mein khoon bhar jata hey aur mareez ko bar bar khoon ki kuliyaan karni parti hain.Aur eis tarhan jeism ka sara khoon nikal jata hey.Yeh halaat nihayat tashwishnaak aur khaternaak hoti hey.Elaaj yeh hey.Umdah keism ki royee le ker do phoiyoon per eik martaba
بِسْمِ
اللّهِ الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ
سَبِّحِ
اسْمَ رَبِّكَ الْأَعْلَى ۙ الَّذِي
خَلَقَ فَسَوَّى ۙ
وَالَّذِي
قَدَّرَ فَهَدَى ۙ وَالَّذِي
أَخْرَجَ الْمَرْعَى ۙ
فَجَعَلَهُ
غُثَاء أَحْوَى
Parh ker dam karein.Aur eik eik phoya donon kanoo mein raat ko sotey waqt
rakh lein.Agli raat yeh phoye nikaal ker doosrey do pioein per dam karein ke
kanon mein rakh lein.Amal ki muddat 7sath roz hey phoye jama ker ke behtye pani
mein ya kooyein mein daal dein.
Allah ke kalaam ki
barkat se bohat asaani ke sath marz khatam ho jata hey.Aisey kayee mareez merey
paas laaye gaye jo maheenon se hospital mein dhakhil they,mualij heeran aur
pareshaan they ke yeh khoon kahan se ata hey? Mareez ko bar bar khoon diya jata
tha aur yeh khoon bhi moonh ke rastey nikal jata tha.Eis fakeer ne Allah per
yakeen ke sath yeh elaaj tajweez kiya aur sub mareez khuda ke fazal se sehet
yaab ho gaye.Muaalij hazraat ke liye yeh baat muamma bani hoyee hey ke yeh
khoon keis tarhan band ho gaya?
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.