Spiritual Healing

EHSAAS KAMTARY.

Ehsas kamtary qoowat e irradi ki kamzory se waqey hota hey.jab yeh samjhah jata hey ke hum kisi shaks ke samney nahin ja saktey,baat nahin kar saktey hum doosrey logon se kamtar hain ya doosrey loog hum se kamtar hain.Tarze fikr saheeh ho ya galat donon ka taluk dimaagh ke in khaliyoon se hey jo zindagi mein kam aney waley jazbaat ko taqhleek kartey hain.aur jazbaat admi key qoowat e iraady ke taabey hotey hain.eis liye jab insaan ke ander jazbaat eis ke iradey ke taabey nahin rehtey to eis ki zindagi mein khala waqey ho jata hey.Eis khala ka dabaao hi darasal ehsaas kamtary ki soorat mein zaher hota hey.

Nihayat asaan aur sahel elaaj yeh hey ke admi her waqt ba wozoo rahey.Ba wozoo rehney mein eis baat ki ehtiyat lazim hey ke bolo baraz ya ikhraaj e riyah ke kudrati amal ko roka na jaye kyon ke eis se bhi dimag per zor parta hey.zaroorat parney per dobarah wozoo kar liya jaye.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.