Spiritual Healing

CANCER YA SARTAAN.

Cancer khoon ko nuksaan puhunchaney wala eik marz hey.Eis ki wajoohaat mein chand wajhoo yeh hain.

Koi insaan jab eik,do ya chand khayalaat mein khod ko giraftaar ker leta hey.To who barki ro jo khayalaat ke zariye banti hey,zehreeli ho jati hey.Yeh zehreeli row choonkey khoon ke ander bhi zeher peida ker deti hey eis liye eis row ke adum tawazon ki bina per khoon mein khord been se bhi nazr na aney waley virus ban jatey hain.Yeh keerey keisi eik jaga ghar bana letey hain.Woh barki row jo zindagi ke masruf mein ani chahiye in keeroon ki khuraak ban jati hey.Nateejey mein khuraak ka choutey se chotta zarah jo barki row ke sath khoon mein dur karta hey bajaye faaidey ke nuksaan puhunchata hey.In keeroon ki khuraak khoon ke woh zaraat hotey hain jo surkh zaraat ya RBC keihlatey hain.Rafta rafta mareez ke ander surkh zarraat khatam ho ker safiade zarraat ki kasrat ho jati hey aur yeh jeism ke liye kabil-e-kabool

nahin rehtey.Chunachey yeh safaid zarraat luaab ya balgham ban ker khaarij honey lagtey hain aur itnee miqdaar mein khaarij hotey hain ke aadmi bilaakhir hadiyoon ka dhanchaa ban ker maut ke moonh mein chala jata hey.

Cancer ki doosri keism yeh bhi hey ke zehreely zarraat eik jaga jama ho jatey hain.In ke jama honey se woh ragein gal jati hain jo eis zakheerey ke kareeeb hoti hain.Nateejey mein khoon nizaam mein eik bohat khlaa waqey ho jata hey aur eis se maut waqey ho jati hey.

Yeh to hooey cancer ke mazharaat ya zahiri alamaat.Ab suneeye ke ilm e roohani ke roo se cancer eik aisa marz hey jo shareef alnafs aur ba ikhtiaar hey,sunta hey aur hawaas rakhta hey.Ager eis se dosti ker li jaye aur kabhi kabhi tanhayee mein ba shartey ke mareez gehri neend so raha ho,us ki khoshamad ki jaye aur yeh kaha jaye “miyaa cancer! Tum   achey ho,bohat meherbaan ho.Yeh aadmi bohat pareshaan hey.eisey maaf kerdo,Allah Tallah eis ki jaza dey ga”.To cancer mareez ko chaurh deta hey aur dost daary ka saboot deta hey.

Alawah azeen surkh rang mein jo barki row daurti hey wohi cancer ki khuraak hoti hain.Eis liye khoon ke surk zaraat ke ander daurd karney waley barki row cancer ki khaurak ban jati hey aur cancer ka mareez zindagi ko qaim rakhney wali barki row se mehroom ho ker khatam ho jata hey.Jo ke khoon mein daur karney wali surk barki row hi cancer ki khauraak banti hey eis liye eis baat ka ehtimaam kiya jaye ke mareez ke mahool ko poori tarhan surkh ker diya

 jaaye.Maslaan jeis kamrey mein mareez ka kayaam hey eis kamrey ki diwaarein, derwazey aur khirkiyoon ke pardey,palang ki chaaderein,takiyeh ke ghilaaf hata ke mareez ke pehenney waley kaprdey sab surkh ker diye jaein.Eis ke saath saath khaney ka surkh rang pani mein ghoul ker roshniyaan banalein.Eis roshniyoon se 


41Ikhtalees taaweez likhey jayein.Eik taaweez mareez ke galey mein mustaqill parda rehney dein aur baaki 40echalees taaweez rozana eik ke heisaab se chalees roz pani se dho ker pilayein

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.