Spiritual Healing
Ayyam ki be tarbiyati se aurton mein bohat se amraaz peida ho jatey
hain.Nalon mein dhukan ho jati hey,pate barda ho jata hey aur mukararah ayyam
se pehley shadeed dard ki khehfiyat se do
chaar hona parta hey.Yeh bhi dekha gaya hey ke ager ayyam saheeh waqt aur
poori muddat tak na ho to aurton ke chehrey per baal nikal aatey hain.Be
tarbiyati ki shikayat ager pooranni ho jaye aur mareez ki hesiyat ikhtiyaar ker
ley to reham mein wararm aa jata hey jeis ki
waja se aurtein tauleed ke kabil nahi rehtein.Eis ka aser rang o roop
per bhi parta hey aur jeism phoolna shiroo ho jata hey.Khoon galeez aur garaha
ho sakhta hey aur dard aur aaza shikni ka arzoo bhi la haq ho sakti hey.Ager
“nizaam-e-ayyam” aheista aheista kam ho ker umer se pehley bilkol band ho jaye
to aurton ke ander mardana khososiyaat peida hotey hoyey bhi dekhee gayee.
Jeis tarhan
khana khanay aur pani peeney ke baad fitry toaur per bol o baraz ka hona zaroorat
hey eisi tarhan “mahwaari”bhi aurton ki sehet ke liye lazmi hey.Eis ke liye eik
taaweez likha ja raha hey.Eis taaweez mein beismillah shareef likhna mana hey.
Ayyam ki be tarbiyaatti mein ager kamar mein dard ho to yeh taaweez
pusht per eis tarhan bandhein ke taaweez reerh ki hadi ke aakhri jaur se choota
hey.Nalon mein dukhan ho to yeh taaweez naaf ke ooper bandhein.
(note:taaweez ko dhagey mein
bandha jaye jeis ka rang beganni ya jamni ho.Kaprda ya keisi keism ki patti eistemaal
na ki jaye)
Nahaney ki zaraoot ya rafa e hajat ke waqt bhi yeh taaweez jeism se alag na karein.Taaweez ko mom jama ker liya jaye takey pani parhney se taaweez ke ooper likhey howey naksh kharab na hoon.Taaweez yeh hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.