Topics

Pyarey Bachcho !

Yaad rakho ke jo bachay  apne maa baap ki khidmat karte hain,  apne maa baap ka kehna mantay hain,  apne maa baap ka adab karte hain. Woh is duniya mein bhi khushaal rehtay hain aur jab doosri duniya mein chalay jayen ge to maa ki khidmat ke siilay mein inhen wahan bhi aasanyan aur asaishen naseeb hongi.

Adab karna, ehtram se paish aana aisa amal hai jis ka faida isi ko milta hai jo adab karta hai. Jis ka adab kya jata hai is ka bhala kya faida hota hai. Dekhen! Barray paiir sahib apni walida ka adab karte they to is ka faida inhen ko huaa. Un ki walida ne un ki tarbiyat farmai, inhen jo kuch karne ko kaha unhon ne apni walida ke ehtram mein waisa hi kya to is ka faida bhi un hi ko pouncha. Sheikh Abdul Qadar Jelani Rehmat Allah aleh jab itnay barray ho gay ke ilm haasil karne ke liye dosray shehar ja saken to unhon ne maa se bghdad jaane ki ijazat chahi. Un ki walida ne un ko kuch ashrafiaan den kyunkay pardes mein akhrajaat ke liye zaroorat hoti hai. Is zamane mein safar karna itna aasaan nahi  tha. Karen, rail, hawai jahaaz nahi they, log paidal ya ghoron par sawaar ho kar safar kya karte they. Aur phir rastay mein daku bhi lout liya karte they. Is liye un ki walida ne woh ashrafiaan un ki kameez ke andar chhupa kar si den. Jab woh rukhsat ho rahay they to un ki walida ne inhen nasiyaat ki ke betay kabhi jhoot nahi bolna, hamesha sach bolna. Aap ne is nasiyaat ko pallay bandh liya aur aik qaafley mein shaamil ho kar safar par rawana ho gay. Rastay mein qaafley par dakuon ne hamla kar diya, sab musafiron ko lout liya. Jis ke paas jo kuch  tha woh chean liya. Aik daku ne Abdul Qadar se poocha :

Ae Larke! Tairay Paas Kuch Hai ?

Aap Ne Jawab Diya Ke :

Haan! Mere Paas Chalees Ashrafiaan Hain.

Daku Bohat Heran Huaa. Is Ne Poocha :

Tairay Paas Yeh Ashrafiaan Kahan Hain ?

Unhon Ne Bataya Ke :

Meri Kameez Mein Chhupayi Hui Hain.

Daku Inhen Sardar Ke Paas Le Gaya Aur Kehnay Laga Ke :

Sardar! Yeh Larka Kehta Hai Ke Is Ke Paas Chalees Ashrafiaan Hain Jo Is Ki Kameez Mein Hain.

Sardar Ne Kameez Utarwa Kar Silai Udhair Kar Dekha To Ashrafiaan Mojood Theen. Is Ne Kaha :

Tum Bhi Ajeeb Bewaqoof Larke Ho. Agar Tum Nah Batatay Ke Tumahray Paas Ashrafiaan Hain To Yeh Ashrafiaan Bach Jatein.

Is Par Aap Ne Kaha :

Agar Ashrafiyan Bach Bhi Jatein To Mein Nah Bachta.

Dakuon Ke Sardar Ne Heran Ho Kar Daryaft Kya :

Kya Matlab Hai ?

Aap Ne Kaha :

“Meri amma ne mujhe naseehat ki thi ke beta kabhi jhoot nah bolna. Jab tumahray saathi ne mujh se poocha ke tumahray paas kuch maal hai to mein ne sach sach bata diya.

Dakuon ke sardar ke dil par is baat ka bohat assar huaa. Is ko khayaal aaya ke yeh chhota sa larka apni maa ki kahi hui baat par amal karne mein itna pakka hai ke baat maan-ne mein jo nuqsaan ho raha hai usay is ki bhi parwah nahi. Halaank yahan is waqt is ki maa mojood bhi nahi aur aik mein hon ke itna nafarman hon ke Allah thala ne jis kaam se mana kya hai mein wohi kiye ja raha hon. Is ne hukum diya ke :

Es qaafley ke sab musafiron ka sara samaan wapas kar do.

Es ne aindah ke liye tauba kar li aur dakay maarna chore diye. Yeh bohat mashhoor waqea hai. Aap ne pehlay bhi parha ho ga, is par ghhor karen ke konsi maa hai jo  apne bacha ko yeh kehti hai ke jhoot bolna achi baat hai. Sab hi maaen  apne bachon se kehti hain ke jhoot bolna buri baat hai.


HAMAREY BACHCHEY Serial-1 (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI