Topics

Mere Pyarey Bachcho !

Aap is baat par ghhor karen ke namrud ko bhi yeh baat muloom thi aur Shadad bhi yeh baat achi terhan jaanta  tha ke woh jhutay kkhuda hain. Woh khud to Allah se hi dua mangte they lekin dosaron ko  apne samnay haath phelanay par majaboor karte they. Un ko yeh baat bohat achi terhan muloom thi ke woh makhlooq hain, khaaliq aur maalik to Allah ki zaat hai, Allah hi peda karta hai aur ilm bhi Allah sakata hai. Hamaray jadd amjad, hamaray dada hazrat Adam aleh salam ko bhi Allah ne hi Uloom sikhayiye they. Hazrat Adam aleh salam ki aulaad mein do giroh ya firqay ban gay. Aik giroh shetan ki baton mein aa kar shaitano walay kaam karne laga, hotay to woh ensaan hi hain lekin un ke saaray amal shaytani hotay hain. Shetan hasad ki wajah se aadmi ka dushman bana huaa hai. Is ne Adam aur Hawa ko b_hka kar kkhuda ki nafarmani karwai aur inhen jannat se nikalwa diya aur is terhan Adam aur Hawa ko jannat se niklana para. Dosra giroh payghambaroon aur un ke maan-ne walon ka giroh hai. Woh shetan ki baton mein nahi atay 


HAMAREY BACHCHEY Serial-1 (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI