Topics

Pacheeswan (25) Roza

Halki sehri kha kar Fajar ke baad do (2 hours) ghantey ke liye so jaen. Din bhar kalmah Tamjeed ka vird kar tey rahen. Zuhar ki namaz se pehlay aadha ghanta ya 20 minute tak so jaen. Namaz ba jamaat ada karen. Zuhar ki namaz ke baad 15 minute tak Muraqba karen ankhein band kar ke yeh tasawwur karen ke, " Allah mujhe dekh raha hey." Aftaari mein phali ya daliya istimal karen aur aadhi raat ke baad so jaen 


ALLAH KI TAJALLI KA DEEDAAR KIJIEY-ROMAN

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Ramazan Main Allah ki Tajalli Ka Didaar Kijiye