Topics

Chobeeswan (24) Roza

24 Ramazan ko sehri mein thos ghiza nah khaen. Daliya, doodh ya soji ka hareerah istimal karen aur Fajar ke baad do (2 hours) ghantey ke liye so jaen. Do (2 hours) ghantey se ziyadah nah soen. Alarm laga len ya kisi aur zareye se jag uthen. Zuhar ki namaz se pehlay adha ghanta ya 20 minute tak soney mein koi Hurj nahi hey. Zuhar ki namaz bajamaat ada karen. Zuhar ki namaz ke baad 15 minute tak muraqba karen. Ankhen band kar ke yeh tasawwur karen ke" Allah mujhe dekh raha hey." Purey din Quran pak ki tilawat aur kalmah Tamjeed ka vird kartey rahen Aftaar mein thos ghiza nah khaen. Phal ya daliya istimal karen. Hasbey mamool kalmah Tamjeed, Kalma tayyiba, kalmah shahadat aur durood khizri ka vird kartey rahen. Do (2) bajey raat ko tahajud ki namaz ke baad 300 baar " Ya Allah rehman Ya Raheem " parhen.


ALLAH KI TAJALLI KA DEEDAAR KIJIEY-ROMAN

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Ramazan Main Allah ki Tajalli Ka Didaar Kijiye