Topics

Kya aap ko pata hai ke dost kon hota hai ?

Dost woh hota hai jisay aap pasand karte hain. Jis ki adaten aap jaisi hoti hain. “Aulia Allah”  yani allah ke dost bachpan hi se Allah Taala ki farmai hui baton par amal karte hain, har kaam Allah Taala ki khushnodi ke liye karte hain. Allah ke mehboob Hazrat Mohammad (sal allah aleh o waslim} se mohabbat karte hain, jhoot nahi boltay, kisi ko takleef nahi pohanchate, darakht laga kar khush hotay hain, parhte hain, likhte hain, ustaad ka adab karte hain aur jo kuch ustaad parhatay hain usay yaad rakhtay hain. Amma abba ka kehna mantay hain aur un se pyar karte hain, behan bhaiyon ka khayaal rakhtay hain, barron ko salam karte hain aur choton se mohabbat karte hain. Aisay bachay Allah Taala ke dost hotay hain .


HAMARE BACHCHEY Serial-2 (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI