KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Qudrat apney pegaam ko pohchaaney key liye diye se
diya jalaati reheti hai. Mar’fat ki mashal aik haath se dusrey haath main
muntaqil hoti reheti hai. Sufi, wali, gaus, qutab, ma’joob, otaar, qalandar,
abdaal qudrat key haath hain jin main roshini ki mashal roshan hai. Yeh paakeezah
log is roshini sey apni zaat ko bhi roshan rakhtey hain aur dusro’n ko bhi
roshini ka in’ekaas detey hain. Sirf ta’reekh key oraaq hi nahin logo’n key
dilo’n par bhi is buzurg ki daastaanein aur chasham deed waqiaat zindah aur
mehfooz hain. In ki duaao’n sey murdo’n ko zindigi, beemaaro’n kw shifa,
bhooko’n ko giza, gareebo’n ko zar, behaal logo’n ko baal wa par, be sahaara
aur bekas logo’n ko olaad aur maal o mataa key inamaat miltey rehete hain.